SHAWORDS

tu agar dekhe saadgi meri — Ananya Rai Parashar

"tu agar dekhe saadgi meri phir tabi'at hai shaa'iri meri dard-o-gham mein vafaa milaai gai aur takhliq ki gai meri mujh ko itnaa bataao sach sach tum yaad aati nahin kabhi meri har andheraa miTaa sakun main yahaan duur tak jaae raushni meri ab bhi tujh se vafaa nibhaaungi ab bhi baaqi hai zindagi meri kitne din se tiraa guzar na huaa kitni viraan hui gali meri main bhi shab mein falak pe hoti huun kaun dekhegaa chaandni meri teri saanson ki khushbuon mein huun tujh ko zaahir na ho kami meri phir 'ananyaa' tujhe vo yaad aayaa kah rahi aankhon ki nami meri"
Urdu

تو اگر دیکھے سادگی میری پھر طبیعت ہے شاعری میری درد و غم میں وفا ملائی گئی اور تخلیق کی گئی میری مجھ کو اتنا بتاؤ سچ سچ تم یاد آتی نہیں کبھی میری ہر اندھیرا مٹا سکوں میں یہاں دور تک جائے روشنی میری اب بھی تجھ سے وفا نبھاؤں گی اب بھی باقی ہے زندگی میری کتنے دن سے ترا گزر نہ ہوا کتنی ویراں ہوئی گلی میری میں بھی شب میں فلک پہ ہوتی ہوں کون دیکھے گا چاندنی میری تیری سانسوں کی خوشبوؤں میں ہوں تجھ کو ظاہر نہ ہو کمی میری پھر اننیاؔ تجھے وہ یاد آیا کہہ رہی آنکھوں کی نمی میری

Hindi

तू अगर देखे सादगी मेरी फिर तबी'अत है शा'इरी मेरी दर्द-ओ-ग़म में वफ़ा मिलाई गई और तख़्लीक़ की गई मेरी मुझ को इतना बताओ सच सच तुम याद आती नहीं कभी मेरी हर अँधेरा मिटा सकूँ मैं यहाँ दूर तक जाए रौशनी मेरी अब भी तुझ से वफ़ा निभाउँगी अब भी बाक़ी है ज़िंदगी मेरी कितने दिन से तिरा गुज़र न हुआ कितनी वीराँ हुई गली मेरी मैं भी शब में फ़लक पे होती हूँ कौन देखेगा चाँदनी मेरी तेरी साँसों की ख़ुशबुओं में हूँ तुझ को ज़ाहिर न हो कमी मेरी फिर 'अनन्या' तुझे वो याद आया कह रही आँखों की नमी मेरी

tū agar dekhe sādgī merī
Ananya Rai Parashar
Ananya Rai Parashar
Ananya Rai Parashar
poet9 quotes

More by Ananya Rai Parashar

View all →

More on Zindagi

View all →
Quote
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"is ishq-e-junun-khez mein kyaa kyaa nahin hotaa divaana hai jo qais se lailaa nahin hotaa kuchh hashr lahad par abhi barpaa nahin hotaa aae ho to Thahro koi zinda nahin hotaa kyuun kar ye kahun husn kaa nashsha nahin hotaa hotaa to bahut hai magar itnaa nahin hotaa kuchh kahiye to sharmaa ke jhukaa lete hain gardan bhule se bhi ab vaada-e-fardaa nahin hotaa milte hain vo dil surkh hui jaati hai chuTki naazuk hain bahut khun-e-tamannaa nahin hotaa deti hai mazaa mai kaa hamein talkhi-e-tauba jab haath mein paimaana-e-sahbaa nahin hotaa vo hashr ke din kushte ko Thukraa chuke sau-baar kuchh jaan si paD jaati hai zinda nahin hotaa boli ye tamannaa jo ruke vo dar-e-dil par ghar aap kaa hai aap se pardaa nahin hotaa tiron ko jagah dete hain jo siine mein apne un logon ke ai jaan kaleja nahin hotaa sahraa se qadam ghar ki taraf khaak uThaaun kaanTe se judaa paanv kaa chhaalaa nahin hotaa baiThe nazar aate hain vahi teri gali mein jin kaa kahin duniyaa mein Thikaanaa nahin hotaa furqat mein hai kyuun nazaa ki taklif gavaaraa mar jaaein 'riyaaz' aap se itnaa nahin hotaa"
Riyaz KhairabadiRiyaz Khairabadi
Quote
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
Farooque AdilFarooque Adil
Quote
"jab tak mizaaj-e-dost mein kuchh barhami rahi goyaa bujhi bujhi si miri zindagi rahi jis par nigaah-e-lutf-e-karam aap ki rahi hairat se har nigaah use dekhti rahi go main rahaa kashaakash-e-dauraan se ham-kanaar lekin mire labon pe hansi khelti rahi laayaa hai ishq ne mujhe aise maqaam par khud-aagahi rahi na khudaa-aagahi rahi josh-e-junun ne manzil-e-maqsud paa liyaa aql-e-salim dekhti hi dekhti rahi sab kuchh mujhe 'khayaal' ki duniyaa mein mil gayaa lekin tumhaare husn-e-nazar ki kami rahi"
Faiz Ul Hasan KhayalFaiz Ul Hasan Khayal
Quote
"tirgi shama bani raahguzar mein aai saaat ik aisi bhi kal apne safar mein aai jis jagah chehra hi meyaar-e-vafaa Thahraa hai khaak hi khaak vahaan dast-e-hunar mein aai teri nazron mein thi duniyaa to yahi kyaa kam thaa hashr ye hai ki tu duniyaa ki nazar mein aai baar-haa yaaron ne saahil se kahaa thaa ham hain baar-haa naav magar apni bhanvar mein aai zindagi samjhun ise yaa ki ise maut kahun vo jo mehmaan ki surat mire ghar mein aai yuun bhi taarikh ki taarikh raqam hoti hai nikli taarikh mahal se to khanDar mein aai khvaab hi khvaab ki taabir huaa to jaanaa zindagi kyuun kisi aankhon ke asar mein aai shama jalte hi bujhi aur dhuaan aisaa uThaa lazzat-e-shaam yahaan khvaab-e-sahar mein aai zindagi kuchh hai 'ataa' sher-o-adab hai kuchh aur ye do-rangi ki vabaa kaisi hunar mein aai"
Ata AbidiAta Abidi