SHAWORDS

TuuTe hain aainon ki tarah baar baar ham — Meena Khan

HomeMeena KhanGhazal
"TuuTe hain aainon ki tarah baar baar ham khud par hue hain jab bhi kabhi aashkaar ham hote hain teri yaad mein jab be-qaraar ham rote hain pahron baiTh ke be-ikhtiyaar ham teri hansi kaa qarz chukaane ke vaaste chhup chhup ke rote rahte hain zaar-o-qataar ham dil bhar gayaa hai karb-e-musalsal se ai khudaa ab DhunDte hain har ghaDi raah-e-faraar ham murjhaa gae hain shaakh-e-tamannaa ke gul sabhi ab kyaa manaaein 'minaa' ye jashn-e-bahaar ham"
Urdu

ٹوٹے ہیں آئنوں کی طرح بار بار ہم خود پر ہوئے ہیں جب بھی کبھی آشکار ہم ہوتے ہیں تیری یاد میں جب بے قرار ہم روتے ہیں پہروں بیٹھ کے بے اختیار ہم تیری ہنسی کا قرض چکانے کے واسطے چھپ چھپ کے روتے رہتے ہیں زار و قطار ہم دل بھر گیا ہے کرب مسلسل سے اے خدا اب ڈھونڈتے ہیں ہر گھڑی راہ فرار ہم مرجھا گئے ہیں شاخ تمنا کے گل سبھی اب کیا منائیں میناؔ یہ جشن بہار ہم

Hindi

टूटे हैं आइनों की तरह बार बार हम ख़ुद पर हुए हैं जब भी कभी आश्कार हम होते हैं तेरी याद में जब बे-क़रार हम रोते हैं पहरों बैठ के बे-इख़्तियार हम तेरी हँसी का क़र्ज़ चुकाने के वास्ते छुप छुप के रोते रहते हैं ज़ार-ओ-क़तार हम दिल भर गया है कर्ब-ए-मुसलसल से ऐ ख़ुदा अब ढूँडते हैं हर घड़ी राह-ए-फ़रार हम मुरझा गए हैं शाख़-ए-तमन्ना के गुल सभी अब क्या मनाएँ 'मीना' ये जश्न-ए-बहार हम

TuuTe haiñ ā.inoñ kī tarah baar baar ham
Meena Khan
Meena Khan
Meena Khan
poet10 quotes

More by Meena Khan

View all →
Quote
"jami huun barf ki surat pighalnaa chaahti huun main hisaar-e-zaat se baahar nikalnaa chaahti huun main diyaa ban kar nihaan-khaanon mein jalnaa chaahti huun main kisi ki ruuh ke saanche mein Dhalnaa chaahti huun main judaa hoti hi aai hai hamesha 'hir' raanjhe se ab is rasm-e-mohabbat ko badalnaa chaahti huun main main jis miTTi se aai huun usi miTTi mein milne tak hazaaron baar gir kar bhi sambhalnaa chaahti huun main khizaan ke Dar se ghabraa kar palaTnaa chaahtaa hai vo har ik mausam mein jis ke saath chalnaa chaahti huun main miTaa Daalaa hai yak-jehti ko is firqa-parasti ne kisi surat bhi ye surat badalnaa chaahti huun main main chaahti huun ki ban jaaun kisi ki aarzu 'minaa' kisi kaa khvaab ban kar dil mein palnaa chaahti huun main"
Meena KhanMeena Khan
Quote
"yuun aap jo aasuda-e-gham karte raheinge ham dard-e-dil-o-jaan ko kam karte raheinge samjhe the ki vo shikve gile bhuul gae hain maalum na thaa dil pe raqam karte raheinge rakkheinge tire gham ko zamaane se chhupaa kar tanhaai mein ham aankh ko nam karte raheinge aazaar pe aazaar diye jaaeinge hans kar har haal mein vo ham pe karam karte raheinge kyaa apni haqiqat hai sivaa teri ataa ke ham khud ko tiri zaat mein zam karte raheinge jazbaat se meaar se yaa khun-e-jigar se ham parvarish-e-lauh-o-qalam karte raheinge imaan ki daulat hai kahin kufr kaa ghalba sab zikr-e-khudaa zikr-e-sanam karte raheinge haalaat na badlein na sahi phir bhi ai 'minaa' koshish to magar ahl-e-qalam karte raheinge"
Meena KhanMeena Khan
Quote
"ham par karegaa rahmatein parvardigaar bhi haalaat apne honge kabhi saazgaar bhi tu ne bhulaa di chaahatein qaul-o-qaraar bhi ham muntazir rahe tire sarhad ke paar bhi haalaanki kar chukaa thaa vo tark-e-taalluqaat par kaash muD ke dekhtaa bas ek baar bhi Deraa jamaa liyaa hai khizaan ne kuchh is tarah ab khush na kar sakegi ye fasl-e-bahaar bhi apni nigaah mein to rahe surkh-ru sadaa insaan mein honaa chaahiye itnaa vaqaar bhi ye apne rahnumaaon ke vaadon kaa hai asar be-e'tibaar ho gayaa ab e'tibaar bhi ye kaisaa daur aa gayaa 'minaa' ki ab yahaan sikkon ke mol biktaa hai apnon kaa pyaar bhi"
Meena KhanMeena Khan
Quote
"zindagi jaisaa lubhaaungi chali jaaungi main tire khvaab mein aaungi chali jaaungi us ne dekhaa hi nahin 'azm-e-musammam meraa hijr oDhungi bichhaaungi chali jaaungi ye kahaani to musannif ki chalegi barson main to kirdaar nibhaaungi chali jaaungi main vo jugnu huun jo taaron ke sahaare ke baghair bahr-e-zulmaat miTaaungi chali jaaungi zindagi mujh ko zaraa itni to mohlat denaa sham'-e-ummid jalaaungi chali jaaungi jaan luTaani bhi paDi mujh ko vatan par jo kabhi khaak maathe pe lagaaungi chali jaaungi ik nazar dekh lein bas ye miri aankhein tujh ko 'ahd phir apnaa nibhaaungi chali jaaungi dil miraa ho gayaa jazbaat se aari 'minaa' ashk bhi ab na bahaaungi chali jaaungi"
Meena KhanMeena Khan
Quote
"jab jab bhi ham ne ham-nashin dil kaa kahaa nahin kiyaa aisaa lagaa hai zindagi kaa haq adaa nahin kiyaa kahne ko yuun to aap se shikve hazaar the magar ham ne kabhi khilaaf-e-dil koi gilaa nahin kiyaa dil ke muaamlaat the dil mein hi dafn kar liye us bevafaa se ham ne phir zikr-e-vafaa nahin kiyaa kuchh to huaa zarur hai ham se agar khafaa hai vo ham ne to jaan-bujh kar us ko khafaa nahin kiyaa kaar-e-jahaan mein khub-tar guzri hai apni zindagi lekin ye dil pe bojh hai kaar-e-khudaa nahin kiyaa tanhaaiyon mein khud se hi ham mahv-e-guftugu rahe us ke sivaa kisi se phir ahd-e-vafaa nahin kiyaa aisaa bhi daur-e-zist thaa shah-rag se vo qarib thaa ab hai vo be-niyaaz to ham ne pata nahin kiyaa aaeinge lauT kar vo hi dil ko yaqin thaa is liye ham ne kisi ke vaaste darvaaza vaa nahin kiyaa"
Meena KhanMeena Khan

More on Yaad

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"kahe detaa huun go hai to nahin ye baat kahne ki tiri khvaahish nahin dil mein ziyaada der rahne ki bachaa kar dil guzartaa jaa rahaa huun har ta’alluq se kahaan us aable ko taab hai ab choT sahne ki rag-o-pai mein na hangaama kare to kyaa kare aakhir ijaazat jab nahin is ranj ko aankhon se bahne ki bas apni apni tarjihaat apni apni khvaahish hai tujhe shohrat kamaane ki mujhe ik she'r kahne ki jahaan kaa huun vahin ki raas aaegi fazaa mujh ko ye duniyaa bhi bhalaa koi jagah hai mere rahne ki jo kal 'irfaan' par guzri sunaa kuchh us ke baare mein khabar tum ne suni tufaan mein dariyaa ke bahne ki"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
N
Naeem Sameer
Quote
"murattab aur bhi ik goshvaara ho rahaa hai to kyaa hai gar abhi ham ko khasaara ho rahaa hai hamaare paas to ham se ziyaada tu nahin thaa so tu kyaa ab to khud se bhi kinaara ho rahaa hai hamaare khvaab mein ahmiyat-e-shab thi ziyaada so ab vo khvaab aankhon mein sitaara ho rahaa hai tumhaari aarzu hone se pahle bhi to ham the guzaara ho rahaa thaa so guzaara ho rahaa hai hayaa-aalud aankhein hain na aanchal hai na chilman ye kis viraan duniyaa kaa nazaara ho rahaa hai abhi ham faisla karne ki ujlat mein nahin hain magar lagtaa hai jiine se khasaara ho rahaa hai khalaa se is zamin par sang-rezo ki ye baarish kisi jaanib se kyaa koi ishaara ho rahaa hai"
Irfan SattarIrfan Sattar