"qaafiye ki band galiyon kaa gadaagar kar diyaa us ne kaise kaam par mujh ko muqarrar kar diyaa ham kai the aur hamaare raaste bhi the kai vo akelaa thaa so us ne maa'raka sar kar diyaa jis ne chori ki thi sau pachchaas par chhoDaa use jo saDak par jaa rahaa thaa us ko andar kar diyaa chhat zamin par aa rahi naazuk the shahtir is qadar gir paDi divaar bhi aisaa palastar kar diyaa raushni ab raah se bhaTkaa bhi deti hai miyaan us ki aankhon ki chamak ne mujh ko be-ghar kar diyaa jhuTh-muTh aakhir gale mil kar ba-zo'm-e-khud 'zafar' aglaa pichhlaa sab hisaab us ne baraabar kar diyaa"
TuTte patton kaa mausam har taraf chhaayaa huaa — Zafar Iqbal
"TuTte patton kaa mausam har taraf chhaayaa huaa chaand murjhaayaa huaa saa phuul gahnaayaa huaa kaun se 'aks-e-'ajab kaa muntazir huun subh se raah par baiThaa huun aaina hai chamkaayaa huaa aag jangal mein lagi hai saat dariyaaon ke paar aur koi shahr mein phirtaa hai ghabraayaa huaa hain zabaan par zard zahrili havaa ke zaaiqe dasht mein rakkhaa mujhe zarre ko tarsaayaa huaa aasmaan par to azal se khaak uDti hai 'zafar' kaun saa baadal hai ye aankhon mein lahraayaa huaa"
ٹوٹتے پتوں کا موسم ہر طرف چھایا ہوا چاند مرجھایا ہوا سا پھول گہنایا ہوا کون سے عکس عجب کا منتظر ہوں صبح سے راہ پر بیٹھا ہوں آئینہ ہے چمکایا ہوا آگ جنگل میں لگی ہے سات دریاؤں کے پار اور کوئی شہر میں پھرتا ہے گھبرایا ہوا ہیں زباں پر زرد زہریلی ہوا کے ذائقے دشت میں رکھا مجھے ذرہ کو ترسایا ہوا آسماں پر تو ازل سے خاک اڑتی ہے ظفرؔ کون سا بادل ہے یہ آنکھوں میں لہرایا ہوا
टूटते पत्तों का मौसम हर तरफ़ छाया हुआ चाँद मुरझाया हुआ सा फूल गहनाया हुआ कौन से 'अक्स-ए-'अजब का मुंतज़िर हूँ सुब्ह से राह पर बैठा हूँ आईना है चमकाया हुआ आग जंगल में लगी है सात दरियाओं के पार और कोई शह्र में फिरता है घबराया हुआ हैं ज़बाँ पर ज़र्द ज़हरीली हवा के ज़ाइक़े दश्त में रक्खा मुझे ज़र्रे को तरसाया हुआ आसमाँ पर तो अज़ल से ख़ाक उड़ती है 'ज़फ़र' कौन सा बादल है ये आँखों में लहराया हुआ

More by Zafar Iqbal
View all →"us ki har tarz-e-taghaaful pe nazar rakhti hai aankh hai dil to nahin saari khabar rakhti hai lab tak aaegi magar aa ke palaT jaaegi TuTaa-phuTaa sahi ye aah bhi ghar rakhti hai dil se ubhraa hai judaai kaa chamaktaa suraj raat bhi aaj tab-o-taab-e-sahar rakhti hai chaand ki chaandni deti hai qaraar aankhon ko dil ki maujon ko magar zer-o-zabar rakhti hai mujh se aage hain mire saath nikalne vaale ik yahi baat mujhe garm-e-safar rakhti hai tu ne ai muntazir-e-marg na sochaa varna zindagi bhi isi vaadi mein guzar rakhti hai be-dili teri koi dam ki hai mehmaan ki ye tuda-e-barf hai siine mein sharar rakhti hai"
"qaafiya chaahiye khaane ke liye yaa'ni matle' mein khapaane ke liye khosha-chinon ko khabar hai shaayad main kamaataa huun luTaane ke liye sab se pahle suni us ne miri baat bazm se mujh ko uThaane ke liye muft mein us se laDaai le li koi pahunchaa na chhuDaane ke liye huaa ijaad khushi kaa Tiika gham ki mi'aad baDhaane ke liye kuchh havaa chaahiye aakhir mujh ko saans kaa sankh bajaane ke liye kuchh fazaa ki bhi zarurat hai mujhe apni be-par ki uDaane ke liye Tuut jaane ke liye juDtaa huun she'r likhtaa huun miTaane ke liye shaa'iri asl kahaan hai ki 'zafar' daant hain ye to dikhaane ke liye"
"pichhe pichhe aataa huun aankhein miche aataa huun uupar aa nahin sakte aap main hi niche aataa huun chal nahin saktaa apne aap khud ko khinche aataa huun kahin gae hote hain phuul jis baaghiche aataa huun Dartaa huun be-shar'i se bin paaeinche aataa huun naak apni hi toDungaa muTThi bhinche aataa huun jaaungaa aache bhi 'zafar' abhi to iiche aataa huun"
"roz is dil ki sifaarish nahin ki jaa sakti aap se aur guzaarish nahin ki jaa sakti aap ke khvaab to ham dekhte rahte hain bahut ik zaraa aap ki khvaahish nahin ki jaa sakti aap ko gher ke laanaa to nahin naa-mumkin magar is abr se baarish nahin ki jaa sakti aate jaate to hain is dil ke makaan mein itnaa kahiye kyaa is mein rihaaish nahin ki jaa sakti ye jo koshish hai rah-e-raast pe laane ki mujhe isse baDh kar koi saazish nahin ki jaa sakti ye adab-gaah-e-mohabbat hai so ham jaante hain aap ke saamne jumbish nahin ki jaa sakti hone vaalaa hi nahin kaam paDaa hai jo 'zafar' ye nahin hai koi koshish nahin ki jaa sakti"
"ye zamin aasmaan kaa mumkin nahin saare jahaan kaa mumkin aql ki khaar-zaar vaadi mein rakh liyaa hai gumaan kaa mumkin kuchh mire haal-e-zaar kaa imkaan kuchh tiri aan-baan kaa mumkin hain vahi naa-rasaai ke naghme aur vahi mehrbaan kaa mumkin kuchh ziyaada tabaah kar na sake jism ke saath jaan kaa mumkin aage aage huun main mire pichhe hai mire qadr-daan kaa mumkin dur-tar hai suraagh kaa saahil dhund mein hai nishaan kaa mumkin laa-makaani hi laa-makaani hai kho chukaa hai makaan kaa mumkin is buDhaape mein bhi 'zafar' aa kar koi dekhe javaan kaa mumkin"
More on Maa
View all →"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
"kyaa apne shahr mein koi aisaa makaan hai samjhun jise ki asl mein vo ik jahaan hai DhunDo haqiqat is mein na afsaana hi koi is kaa bayaan kuchh nahin us kaa bayaan hai apnaa shi'aar ab hai faqat amn-dushmani ye aur baat faakhta apnaa nishaan hai likhne ko ek harf na kahne ko ek lafz yuun to qalam hai haath mein munh mein zabaan hai vo lams jis ke baa'd zamaane guzar gae vo lams ab bhi taaza hai ab bhi javaan hai ho jaaegaa yaqin sabhon kaa hi kal jo aaj meraa yaqin aur sabhon kaa gumaan hai shatranj ki bisaat ki thi apni mez par shatranj ki bisaat ki saaraa jahaan hai"
"charaaghon se kuchh to churaayaa gayaa hai jo thi aag us ko bujhaayaa gayaa hai likhaa thaa jinhein sirf apne lahu se mire un khaton ko jalaayaa gayaa hai hazaaron daf'a us ne ki bevafaai mujhe bevafaa kyon bataayaa gayaa hai mujhe khud nikalnaa paDaa apne ghar se ye mat sochnaa ki bhagaayaa gayaa hai khabar ye mili hai ki mere hi ghar mein kisi ghair ko ab basaayaa gayaa hai mujhe hi sataa kar mujhe hi rulaa kar ye ilzaam mujh par lagaayaa gayaa hai tumhein kyaa bataaun mohabbat mein 'raavat' mujhe kis qadar aazmaayaa gayaa hai"
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
"tere tasavvuraat se aage nahin gayaa ye dil tavahhumaat se aage nahin gayaa jo biich raah chhoD gayaa shukr hai vo shakhs meri tavaqqu'aat se aage nahin gayaa shaayad use pasand thiin jhuTi numaaishein lekin main dil ki baat se aage nahin gayaa jazbaat-e-dil ko vo bhi na kuchh Dhang de sakaa main bhi takallufaat se aage nahin gayaa tohfa bhi us ke vaaste kangan liyaa 'zarim' vallah main us ke haath se aage nahin gayaa"
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"