Quote
"huun kaalbud-e-khaak mein mehmaan koi din aur qismat mein hai paabandi-e-zindaan koi din aur hai daftar-e-aalam ko zarurat abhi meri karni hai mujhe khidmat-e-unvaan koi din aur aane hi ko hai mausam-e-gul khair manaa le daamaan koi din aur garebaan koi din aur ai abr yunhi qatra-fashaan rah abhi kuchh roz mai-khvaaron pe hotaa rahe ehsaan koi din aur aamaada-e-rukhsat hai miraa ahd-e-javaani khaatir kaa lahu chuus le armaan koi din aur kuchh roz Thahar aur bhi ai shama-e-shab-afroz pur-nur rahe meraa shabistaan koi din aur kyuun ru-kash-e-aalam hai nihaal-e-jigar-afgaar rahnaa thaa navaa-sanj-e-ghazal-khvaan koi din aur"
