SHAWORDS

vaan zerki pasand na idraak chaahiye — Ismail Merathi

HomeIsmail MerathiGhazal
"vaan zerki pasand na idraak chaahiye ijz-o-niyaaz-e-dida-e-namnaak chaahiye aaina ban ki shaahid-o-mashhud ek hai us ru-e-paak ko nazar-e-paak chaahiye sair-o-suluk-e-jaan nahin be-jazba-e-nihaan is raah mein ye tausan-e-chaalaak chaahiye guzre ummid-o-bim se ye hausla kise rind-e-kharaab-o-aarif-e-bebaak chaahiye har chashma aaina hai rukh-e-aaftaab kaa haan sath-e-aab be-khas-o-khaashaak chaahiye nash-o-numaa-e-sabza-o-gul mein nahin darang abr-e-karam ko tishnagi-e-khaak chaahiye islaah-e-haal-e-aashiq-e-dil-khasta hai zarur maashuq jaur-pesha-o-saffaak chaahiye jo ain-e-naa-e-nosh ho us baada-nosh ko jaam-o-subu na khum-kada-o-taak chaahiye sayyaad ke asar pe ravaan ho to said hai vo said hi nahin jise fitraak chaahiye"
Urdu

واں زیرکی پسند نہ ادراک چاہئے عجز و نیاز دیدۂ نمناک چاہئے آئینہ بن کہ شاہد و مشہود ایک ہے اس روئے پاک کو نظر پاک چاہئے سیر و سلوک جاں نہیں بے جذبۂ نہاں اس راہ میں یہ توسن چالاک چاہئے گزرے امید و بیم سے یہ حوصلہ کسے رند خراب و عارف بے باک چاہئے ہر چشمہ آئنہ ہے رخ آفتاب کا ہاں سطح آب بے خس و خاشاک چاہئے نشو و نمائے سبزہ و گل میں نہیں درنگ ابر کرم کو تشنگیٔ خاک چاہئے اصلاح حال عاشق دل خستہ ہے ضرور معشوق جور پیشہ و سفاک چاہئے جو عین نائے نوش ہو اس بادہ نوش کو جام و سبو نہ خمکدہ و تاک چاہئے صیاد کے اثر پہ رواں ہو تو صید ہے وہ صید ہی نہیں جسے فتراک چاہئے

Hindi

वाँ ज़ेरकी पसंद न इदराक चाहिए इज्ज़-ओ-नियाज़-ए-दीदा-ए-नमनाक चाहिए आईना बन कि शाहिद-ओ-मशहूद एक है उस रू-ए-पाक को नज़र-ए-पाक चाहिए सैर-ओ-सुलूक-ए-जाँ नहीं बे-जज़्बा-ए-निहाँ इस राह में ये तौसन-ए-चालाक चाहिए गुज़रे उम्मीद-ओ-बीम से ये हौसला किसे रिंद-ए-ख़राब-ओ-आरिफ़-ए-बेबाक चाहिए हर चश्मा आइना है रुख़-ए-आफ़्ताब का हाँ सतह-ए-आब बे-ख़स-ओ-ख़ाशाक चाहिए नश-ओ-नुमा-ए-सब्ज़ा-ओ-गुल में नहीं दरंग अब्र-ए-करम को तिश्नगी-ए-ख़ाक चाहिए इस्लाह-ए-हाल-ए-आशिक़-ए-दिल-ख़स्ता है ज़रूर माशूक़ जौर-पेशा-ओ-सफ़्फ़ाक चाहिए जो ऐन-ए-ना-ए-नोश हो उस बादा-नोश को जाम-ओ-सुबू न ख़ुम-कद-ओ-ताक चाहिए सय्याद के असर पे रवाँ हो तो सैद है वो सैद ही नहीं जिसे फ़ितराक चाहिए

vaañ zerkī pasand na idrāk chāhiye
Ismail Merathi
Ismail Merathi
Ismail Merathi
poet105 quotes

More by Ismail Merathi

View all →
Quote
"nahin maalum kyaa vaajib hai kyaa farz mire mazhab mein hai teri razaa farz shuur-e-hasti-e-mauhum hai kufr fanaa baad-e-fanaa baad-e-fanaa farz nahin aagaah mast-e-baada-e-shauq kahaan sunnat kidhar vaajib kujaa farz reh-e-taslim mein az-ru-e-fatvaa duaa vaajib pa tark-e-muddaaa farz na chhuTe kufr mein bhi vaz-e-imaan ki har haalat mein hai yaad-e-khudaa farz nahin dekhaa kisi ne husn-e-mastur ba-qadr-e-fahm lekin kar liyaa farz na maanungaa na maanungaa kabhi main mujhe karte hain kyuun us se judaa farz na kholungaa na kholungaa zabaan ko ki hai ikhfaa-e-raaz-e-dilrubaa farz balaa se koi maane yaa na maane chalo ham kar chuke apnaa adaa farz"
Ismail MerathiIsmail Merathi
Quote
"hai be-lab-o-zabaan bhi ghul tere naam kaa mahram nahin hai gosh magar is payaam kaa khush hai malaamat ahl-e-kharaabaat kai liye is silsile mein naam nahin nang-o-naam kaa nakhvat hai jis ke kaasa-e-sar mein bhari hui kab mustahiq hai mahfil rindaan mein jaam kaa jaagir-e-dard par hamein sarkaar-e-ishq ne tahrir kar diyaa hai vasiqa davaam kaa vaadi-e-ishq mein na milaa koi ham-safar sunte the naam khizr alaihis-salaam kaa aasudgi na DhunD ki jaataa hai kaarvaan le mustaaar barq se vaqfa qayaam kaa kholaa hai mujh pe sirr-e-haqiqat majaaz ne ye pukhtagi sila hai khayaalaat-e-khaam kaa khaataa nahin fareb-e-tamannaa-e-do-jahaan khugar nahin hai tausan-e-himmat lagaam kaa mat rakh tamaa se chashm-e-tamatto ki hai yahaan daana har ek mardumak-e-dida-daam kaa pahunchaa diyaa hudud-e-do-aalam se bhi pare mutrib ne raag chheD diyaa kis maqaam kaa zulmat mein kyaa tamiz safed-o-siyaah ki furqat mein kuchh hisaab nahin subh-o-shaam kaa jis ki nazar hai sanat-e-abru-nigaar par hai vo qatil-e-tegh na kushta niyaam kaa khaane ko ai haris gham-e-ishq kam nahin ye ho to kuchh bhi fikr na kar qarz-o-vaam kaa main be-qaraar-e-manzil-e-maqsud be-nishaan raste ki intihaa na Thikaanaa maqaam kaa gar dekhiye to khaatir-e-naashaad shaad hai sach puchhiye to hai dil-e-naakaam kaam kaa uTThe tiri naqaab to uTh jaae ek baar sab tafraqa ye roz-o-shab-o-subh-o-shaam kaa"
Ismail MerathiIsmail Merathi
Quote
"hai jaan-e-hazin ek lab-e-ruh-fazaa do ai kaash ki is ek ki ho jaaein davaa do thaa khaar-e-jigar hijr mein tanhaa gham-e-duri hain aafat-e-jaan vasl mein ab sharm-o-hayaa do mastaana-ravish kyuun na chale vo nigah-e-naaz aankhein hain ki hain jaam-e-mai-e-hosh-rubaa do ji tang hai kyaa kijiye aur josh-e-balaa ye dil ek hai kyaa dijiye aur zulf-e-dotaa do hai ain inaayat jo nishaan puchhiye meraa ye bhi nahin manzur to apnaa hi pataa do kyaa daam-e-fareb us ne bichhaayaa hai dil-aavez do aan phansein aur jo ho jaaein rihaa do gar naaz-khud-aaraa ko hai yaktaai kaa daavaa kyuun aaina dekhaa ki hue jalva-numaa do bebaaki-o-shokhi bhi hai aur sharm-o-hayaa bhi do mahram-e-asraar hain to parda-kushaa do do gesu-o-do zulf-e-balaa-khez hain chaaron haan kaakul-e-khamdaar bhi hain un ke sivaa do vo tarz-o-ravish haae vo andaaz-o-adaa haif kyaa bachte dil-o-jaan kujaa chaar kujaa do seri-e-nazar bhi na hui haae mayassar aankhein jo huiin chaar lage tir-e-qazaa do"
Ismail MerathiIsmail Merathi
Quote
"zaraa gham-zadon ke bhi gham-khvaar rahnaa karein naaz to naaz-bardaar rahnaa faraakhi-o-usrat mein shaadi-o-gham mein bahar-haal yaaron ke tum yaar rahnaa samajh nardbaan apni naakaamiyon ko ki hai shart-e-himmat talabgaar rahnaa karo shukr hai ye inaayat khudaa ki balaaon mein aksar giraftaar rahnaa agar aadmi ko na ho mashghala kuchh bahisht-e-barin mein ho dushvaar rahnaa khabar bhi hai aadam se jannat chhuTTi kyuun khilaaf-e-jibillat thaa be-kaar rahnaa samajhte hain sheron ko bhi narm chaara ghazaalaan-e-shahri se hoshyaar rahnaa"
Ismail MerathiIsmail Merathi
Quote
"saaqi-e-khum-khaana thaa jo subh-o-shaam roz-e-aadina thaa masjid mein imaam jis ne chashm-e-mast-e-saaqi dekh li taa-qayaamat us pe hushyaari haraam is lab-e-jaan-bakhsh ki baatein thiin yaa moajazaat-e-isi-e-gardun-maqaam ho gayaa us ko qayaamat kaa yaqin jis ne dekhaa sarv-qaamat kaa khiraam chashma-e-aab-e-baqaa ki lahr thi vo ibaarat vo ishaarat laa-kalaam marhabaa itr-e-garebaan ki shamim hai moattar jis se ruhaani mashaam thi zabaan yaa qaate-e-auhaam yaa zulfiqaar-e-haidari thi be-niyaam jis ne dekhaa nargis-e-shahlaa kaa khvaab is ne paayaa ramz-e-qalbi laa-yanaam qaala atmamto alaikum nemati ho gaiin sab khubiyaan us par tamaam jis ne chaaTi utba-e-uliyaa ki khaak talkhi-e-dauraan se ho kyuun talkh-kaam ai sabaa sahraa-e-jaan mein kar talaash kis taraf hain vo suraadiq vo khiyaam khalvat-e-lailaa mein tu guzre agar to ye kah denaa hamaaraa bhi payaam tishnigaan-e-shauq hain gum-karda-raah tu bhi chal bahr-e-khudaa do-chaar gaam bahr mein barpaa huaa josh-o-kharosh habbazaa rushhaat-e-kaasaatil-kiraam saunp di thi dast-e-qudrat ne tujhe naaqa-e-lailaa-e-maani ki zamaam"
Ismail MerathiIsmail Merathi
Quote
"ghair-e-tavakkul nahin chaaraa mujhe apne hi dam kaa hai sahaaraa mujhe hirs-o-tama ne to Duboyaa hi thaa sabr-o-qanaaat ne ubhaaraa mujhe jo vo kahe us ko sazaa-vaar hai chun-o-charaa kaa nahin yaaraa mujhe be-adabon ki adab-aamoziyaan in ke bigaDne ne sanvaaraa mujhe koshish-e-be-sud mushavvash na kar qaar na ban jaae kinaaraa mujhe zishti-e-pindaar dilaataa hai yaad qissa-e-askandar-o-daaraa mujhe nang-e-muzillat se chhuDaa le gayaa josh-e-hamiyyat kaa haraaraa mujhe auj-e-maaali pe uDaa le gayaa tausan-e-himmat kaa taraaraa mujhe aah nahin rukhsat-e-ifshaa-e-raaz qissa to maalum hai saaraa mujhe fursat-e-auqaat hai bas mughtanim ye nahin milne ki dobaaraa mujhe"
Ismail MerathiIsmail Merathi

More on Yaad

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"kahe detaa huun go hai to nahin ye baat kahne ki tiri khvaahish nahin dil mein ziyaada der rahne ki bachaa kar dil guzartaa jaa rahaa huun har ta’alluq se kahaan us aable ko taab hai ab choT sahne ki rag-o-pai mein na hangaama kare to kyaa kare aakhir ijaazat jab nahin is ranj ko aankhon se bahne ki bas apni apni tarjihaat apni apni khvaahish hai tujhe shohrat kamaane ki mujhe ik she'r kahne ki jahaan kaa huun vahin ki raas aaegi fazaa mujh ko ye duniyaa bhi bhalaa koi jagah hai mere rahne ki jo kal 'irfaan' par guzri sunaa kuchh us ke baare mein khabar tum ne suni tufaan mein dariyaa ke bahne ki"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
N
Naeem Sameer