SHAWORDS

vaqt ke saath saath chalnaa thaa — A.R. Sahil 'Aleeg'

"vaqt ke saath saath chalnaa thaa khud ko thoDaa bahut badalnaa thaa is mein ghalati ghaDi ki thoDi hai vaqt thaa vaqt par nikalnaa thaa us ki fitrat pe tanz mat kiije rang girgiT ko to badalnaa thaa sab phisalte hain is javaani mein kahne vaale tujhe sanbhalnaa thaa tark-e-ulfat ki kyaa zarurat thi gar tumhein zaaiqa badalnaa thaa"
Urdu

وقت کے ساتھ ساتھ چلنا تھا خود کو تھوڑا بہت بدلنا تھا اس میں غلطی گھڑی کی تھوڑی ہے وقت تھا وقت پر نکلنا تھا اس کی فطرت پہ طنز مت کیجئے رنگ گرگٹ کو تو بدلنا تھا سب پھسلتے ہیں اس جوانی میں کہنے والے تجھے سنبھلنا تھا ترک الفت کی کیا ضرورت تھی گر تمہیں ذائقہ بدلنا تھا

Hindi

वक़्त के साथ साथ चलना था ख़ुद को थोड़ा बहुत बदलना था इस में ग़लती घड़ी की थोड़ी है वक़्त था वक़्त पर निकलना था उस की फ़ितरत पे तंज़ मत कीजे रंग गिरगिट को तो बदलना था सब फिसलते हैं इस जवानी में कहने वाले तुझे सँभलना था तर्क-ए-उल्फ़त की क्या ज़रूरत थी गर तुम्हें ज़ाइक़ा बदलना था

vaqt ke saath saath chalnā thā
A.R. Sahil 'Aleeg'
A.R. Sahil 'Aleeg'
A.R. Sahil 'Aleeg'
poet19 quotes

More by A.R. Sahil 'Aleeg'

View all →
Quote
"shaam ke tan par saji jo surmai poshaak hai ham charaaghon ki faqat ye raushni poshaak hai chaand peshaani kaa Tiikaa chaandni poshaak hai raat ne pahni hai jo vo saahiri poshaak hai khaak kaa ye jism hai aur khaak hi poshaak hai zindagi ki ye nahin ye ruuh ki poshaak hai is ko jannat mein qadam rakhne pe hai paabandiyaan jis kisi bad-zehn ki bhi kaafiri poshaak hai har gali nukkaD nagar ab ban chukaa maqtal yahaan be-gunaahon ki lahu tar chikhti poshaak hai sab ki taqriron mein vaise hai khudaa sab kaa hi ik haan magar har dil ki apni mazhabi poshaak hai us ghazal ke harf 'saahil' muskuraae kis qadar muddaton se jis ne pahni maatami poshaak hai"
A.R. Sahil 'Aleeg'A.R. Sahil 'Aleeg'
Quote
"Dhali jo raat bahut der muskuraai sabaa fazaa ko de ke gai aaj phir badhaai sabaa bhale hi aaj chaman ko tu raas aai sabaa gulon ke lab pe magar hai tiri buraai sabaa uThaa ke haath duaa maangne lage hain charaagh to kar rahi hai bhalaa kaisi rahnumaai sabaa chaDhi jo dhuup to daaman jhaTak diyaa us ne ufuq se karne lagi khul ke bevafaai sabaa mahak uThi hai tamanna bhi zakhm khaane ki kaTaar haath mein le kar gali mein aai sabaa ghubaar zehn jigar mein uThaa diyaa gham kaa sitam ke shahr se sidhe hi dil mein aai sabaa ajiib Dhang ki masti hai in pahaaDon ki badan par oDh li hans kar kabhi bichaai sabaa gulaab khvaab sitaare dhanak udaas charaagh paDi hai fasl-e-mohabbat kaTi-kaTaai sabaa na jaane kis ke ishaare pe raat-din 'saahil' sunaa rahi hai kahaani suni-sunaai sabaa"
A.R. Sahil 'Aleeg'A.R. Sahil 'Aleeg'
Quote
"siyaasi nafraton ki zad mein aaeinge hamin kab tak bhigo kar shaah rakkhegaa lahu mein aastin kab tak kai kankar vafaa ki jhiil mein main pheink aaya huun ubhar kar sath pe aaeinge dekhein tah-nashin kab tak bharam ke paanv ki zanjir ko sach toD hi degaa kisi ke jhuuT par koi karegaa bhi yaqin kab tak rakhegaa vaqt un ke ru-baru bhi aaina ik din jahaan ke aib hi dekhaa kareinge nukta-chin kab tak nigaahon se hi vo har shakhs ko kaafir banaa degaa bachegi ye havas ke saae se ru-e-zamin kab tak na jaane kab rihaa is qaid se ham honge ai 'saahil' sataaeinge hamaari ziist ko ye kufr-o-din kab tak"
A.R. Sahil 'Aleeg'A.R. Sahil 'Aleeg'
Quote
"ashkon se apni aankhein bhigotaa rahaa ghazaal baiThaa nadi ke tiir pe rotaa rahaa ghazaal afsos ye hai us ko ghazaala na mil saki khud ko ghamon mein khuub Dubotaa rahaa ghazaal sahraa-navardiyon use raas aai is qadar shaanon pe khaak-e-ishq bhi Dhotaa rahaa ghazaal vahshat kaa ehtiraam junun mein kiyaa ba-chashm maazi ke khaar dil mein chubhotaa rahaa ghazaal ranj-o-surur-o-kaif javaani ke chaar din kyaa kyaa tumhaare 'ishq mein khotaa rahaa ghazaal aankhon mein laal Dore se paDte chale gae aansu ye kis hunar se pirotaa rahaa ghazaal saahil tamaam roz ghamon ke 'azaab mein be-khauf jism-o-jaan se hotaa rahaa ghazaal"
A.R. Sahil 'Aleeg'A.R. Sahil 'Aleeg'
Quote
"labon pe muskaan dil mein dahshat ajiib khilqat miri ghazaala khataa pe apne nahin kare hai kabhi nadaamat miri ghazaala so jaisaa chaahaa banaayaa rab ne badan kaa khaaka ye us ki marzi har ek Dhab mein hain apne apne kasaao kasrat miri ghazaala qaraar de de mujhe tu kaafir na chhuT paaegi ye ibaadat rahegi qadmon mein sirf tere ye meri jannat miri ghazaala nahin hai mumkin ki kaT sake ye khudaa kaa likkhaa ye sochtaa huun vo mil kahe mujh se kuchh to meri badal de qismat miri ghazaala anaa se maangun jahaan se maangun main tujh ko kis kis khudaa se maangun bani hai mere hi jaan-o-ji ki tu sakht aafat miri ghazaala main chaahtaa huun banaa le 'saahil' mujhe tu apni hi zindagi kaa nahin hai mujh ko zamaane-bhar se koi bhi haajat miri ghazaala"
A.R. Sahil 'Aleeg'A.R. Sahil 'Aleeg'

More on Fitrat

View all →
Quote
"javaan ho gaiin sab buDhi aatmaaein miri Dhaki hui hain amar-bel se jaTaaein miri main piiTh moD luun ye fitrat-e-husain nahin khaDi hain mere muqaabil ye karbalaaein miri tu aasmaani farishta sahi ye qurb bhi dekh nikal rahi hain paron se tire havaaein miri main chhuptaa phirtaa huun nange badan ke saae mein darakht baiTh gae oDh ke ridaaein miri kiyaa thaa chheDne ko manaa sukhe jangal ko ab aag mil ke sabhi bastiyaan bujhaaein miri badal sake to badal apne ism-e-aazam se bichhi hui hain chaTaanon pe bad-duaaein miri"
Musavvir SabzwariMusavvir Sabzwari
Quote
"kab tak ghuT kar jiite rahte sachchaai ke maare khvaab palkon ki dahliz se baahar nikle phir banjaare khvaab fitrat se hi aavaara hain kab Thahre jo Thahreinge kaise palkon par aTke hain kuchh khush-rang tumhaare khvaab ab maulaa hi jaane in mein apnaa kaun paraayaa kaun hans-hans kar har shab milte hain yuun to itne saare khvaab jivan ki is aapaa-dhaapi mein jo pichhe chhuT gae jaane ab kis haal mein honge vo qismat ke maare khvaab taa'biron ki faslein kaisi ugti hain kal dekheinge ham ne bhi boe hain shab bhar rang-birange pyaare khvaab kab 'akhilesh' tavaqqo' ki thi barfili is ghaaTi se aankhon se barseinge us ki ban kar yuun angaare khvaab"
Akhilesh TiwariAkhilesh Tiwari
Quote
"iztiraab-e-dil-e-bimaar se Dar lagtaa hai nabz ki surat-e-raftaar se Dar lagtaa hai husn ke ishva-e-tarraar se Dar lagtaa hai laghzish-e-fitrat-e-khuddaar se Dar lagtaa hai manzil-e-hashr bahut duur sahi par ab bhi pursish-e-bakht-e-siyahkaar se Dar lagtaa hai ik alamnaak fasaana hai junun-e-ulfat jis ki tafsir ke izhaar se Dar lagtaa hai jaada-e-hosh se haT jaaein na mai-kash ke qadam jaam ki garmi-e-raftaar se Dar lagtaa hai yaa to naamus-e-mohabbat pe thaa marnaa bar-haq yaa to zikr-e-rasan-o-daar se Dar lagtaa hai rukh badal de na mohabbat kaa ye aashufta-sari e'tibaar-e-nigah-e-yaar se Dar lagtaa hai ye aqidat hi kahin darpai-e-aazaar na ho sharf-e-paa-bosi-e-aghyaar se Dar lagtaa hai toD Daalein na kahin aap miraa shisha-e-dil aap ki shumi-e-guftaar se Dar lagtaa hai gham-o-aalaam se is darja saraasima huun ki mujhe aks-e-rukh-e-yaar se Dar lagtaa hai bhuul jaaun na kahin apni hi hasti kaa maqaam aap ki chashm-e-fusun-baar se Dar lagtaa hai bad-gumaani hui is darja dakhil-e-fitrat un ko ab saaya-e-divaar se Dar lagtaa hai phir barangekhta ho jaaein na jazbaat-e-nihaan shoala-saamaani-e-rukhsaar se Dar lagtaa hai baahami rabt mein ban jaae na hadd-e-faasil ikhtilaafaat ki divaar se Dar lagtaa hai kuchh to badle hue haalaat se vahshat hai 'azim' kuchh to bigDe hue aasaar se Dar lagtaa hai"
A
Azeem Hyderabadi
Quote
"mohabbat hai aziyyat hai hujum-e-yaas-o-hasrat hai javaani aur itni dukh bhari kaisi qayaamat hai vo maazi jo hai ik majmua ashkon aur aahon kaa na jaane mujh ko is maazi se kyuun itni mohabbat hai lab-e-dariyaa mujhe lahron se yunhi chahal karne do ki ab dil ko isi ik shughl-e-be-maani mein raahat hai tiraa afsaana ai afsaana-khvaan rangin sahi mumkin mujhe rudaad-e-ishrat sun ke ro dene ki aadat hai koi roe to main be-vajh khud bhi rone lagtaa huun ab 'akhtar' chaahe tum kuchh bhi kaho ye meri fitrat hai"
Akhtar AnsariAkhtar Ansari
Quote
"zamaan-e-hijr miTe daur-e-vasl-e-yaar aae ilaahi ab to khizaan jaae aur bahaar aae sitam-zarifi-e-fitrat ye kyaa muamma hai ki jis kali ko bhi sunghun main bu-e-yaar aae chaman ki har kali aamaada-e-tabassum hai bahaar ban ke miri jaan-e-nau-bahaar aae hain tishna-kaam ham un baadalon se puchhe koi kahaan bahaar ki pariyon ke takht utaar aae tire khayaal ki be-taabiyaan maaaz-allaah ki ek baar bhulaaein to laakh baar aae vo aaein yuun mire aaghosh-e-ishq mein 'akhtar' ki jaise aankhon mein ik khvaab-e-be-qaraar aae"
Akhtar ShiraniAkhtar Shirani