Quote
"dasht-e-tanhaai se guzarne kaa tajraba likh rahaa huun Darne kaa us ki raftaar se to lagtaa hai vo kahin bhi nahin Thaharne kaa niind TuuTi to mujh ko chain paDaa khvaab dekhaa thaa apne marne kaa chakh liyaa hai mujhe udaasi ne zakhm-e-shirin nahin ye bharne kaa tan se patthar bandhe hue hain mire main nahin sath par ubharne kaa"
