SHAWORDS

vo shab ke saae mein fasl-e-nashaat kaaTte hain — Azhar Adeeb

HomeAzhar AdeebGhazal
"vo shab ke saae mein fasl-e-nashaat kaaTte hain ham apni zaat ke hujre mein raat kaaTte hain ajiib log hain is ahd-e-be-muravvat ke zabaan kaaT na paaein to baat kaaTte hain ye lamha ahl-e-mohabbat pe sakht bhaari hai ye lamha ahl-e-mohabbat ke saath kaaTte hain thakan se puuraa badan chuur chuur hotaa hai pahaaD kaaTte hain ham ki raat kaaTte hain ye rang le ke kahaan aa gae ho tum 'azhar' yahaan to log musavvir ke haath kaaTte hain"
Urdu

وہ شب کے سائے میں فصل نشاط کاٹتے ہیں ہم اپنی ذات کے حجرے میں رات کاٹتے ہیں عجیب لوگ ہیں اس عہد بے مروت کے زبان کاٹ نہ پائیں تو بات کاٹتے ہیں یہ لمحہ اہل محبت پہ سخت بھاری ہے یہ لمحہ اہل محبت کے ساتھ کاٹتے ہیں تھکن سے پورا بدن چور چور ہوتا ہے پہاڑ کاٹتے ہیں ہم کہ رات کاٹتے ہیں یہ رنگ لے کے کہاں آ گئے ہو تم اظہرؔ یہاں تو لوگ مصور کے ہاتھ کاٹتے ہیں

Hindi

वो शब के साए में फ़स्ल-ए-नशात काटते हैं हम अपनी ज़ात के हुजरे में रात काटते हैं अजीब लोग हैं इस अहद-ए-बे-मुरव्वत के ज़बान काट न पाएँ तो बात काटते हैं ये लम्हा अहल-ए-मोहब्बत पे सख़्त भारी है ये लम्हा अहल-ए-मोहब्बत के साथ काटते हैं थकन से पूरा बदन चूर चूर होता है पहाड़ काटते हैं हम कि रात काटते हैं ये रंग ले के कहाँ आ गए हो तुम 'अज़हर' यहाँ तो लोग मुसव्विर के हाथ काटते हैं

vo shab ke saa.e meñ fasl-e-nashāt kāTte haiñ
Azhar Adeeb
Azhar Adeeb
Azhar Adeeb
poet48 quotes

More by Azhar Adeeb

View all →
Quote
"lahje aur aavaaz mein rakkhaa jaataa hai ab to zahr alfaaz mein rakkhaa jaataa hai mushkil hai ik baat hamaare maslak ki apne aap ko raaz mein rakkhaa jaataa hai ik shoala rakhnaa hotaa hai siine mein ik shoala aavaaz mein rakkhaa jaataa hai ham logon ko khvaab dikhaa kar manzil kaa raste ke aaghaaz mein rakkhaa jaataa hai yahaan to uDte uDte thak kar girne tak chiDiyaa ko parvaaz mein rakkhaa jaataa hai aakhir-e-shab jo khvaab dikhaai dete hon 'azhar' un ko raaz mein rakkhaa jaataa hai"
Azhar AdeebAzhar Adeeb
Quote
"kyaa teraa kyaa meraa khvaab jis ki qismat is kaa khvaab baabaa aankhein neamat hain mat dekhaa kar baabaa khvaab saare saron par dastaarein khvaab aur divaane kaa khvaab main ne ujrat maangi thi us ne haath pe rakkhaa khvaab baanT aate hain bachchon mein roz ik jhuTaa sachchaa khvaab shab bhar aankh mein bhigaa thaa puure din mein sukhaa khvaab ik saf mein mahmud aur main ye auqaat aur aisaa khvaab ham us shahr ke log jahaan taaza havaa kaa jhonkaa khvaab aksar pakDe jaate hain pahlaa jurm aur pahlaa khvaab"
Azhar AdeebAzhar Adeeb
Quote
"kuchh ab ke rasm-e-jahaan ke khilaaf karnaa hai shikast de ke adu ko maaf karnaa hai havaa ko zid ki uDaaegi dhuul har surat hamein ye dhun hai ki aaina saaf karnaa hai vo boltaa hai to sab log aise sunte hain ki jaise us ne koi inkishaaf karnaa hai mujhe pata hai ki apne bayaan se us ne kahaan kahaan pe abhi inhiraaf karnaa hai charaagh le ke hatheli pe ghumnaa aise havaa-e-tund ko apne khilaaf karnaa hai vo jurm ham se jo sarzad nahin hue 'azhar' abhi to un kaa hamein e'tiraaf karnaa hai"
Azhar AdeebAzhar Adeeb
Quote
"ghaneri chhaanv ke sapne bahut dikhaae gae savaal ye hai ki kitne shajar ugaae gae mili hai aur hi taabir aa ke manzil par vo aur khvaab the raste mein jo dikhaae gae mire lahu se mujhe munhadim karaayaa gayaa dayaar-e-ghair se lashkar kahaan bulaae gae diye banaa ke jalaai thiin ungliyaan ham ne andheri shab ki adaalat mein ham bhi laae gae falak pe uDte huon ko qafas mein Daalaa gayaa zamin pe reingne vaalon ko par lagaae gae hamaare naam ki takhti bhi un pe lag na saki lahu mein gundh ke miTTi jo ghar banaae gae mile the pahle se likkhe hue adaalat ko vo faisle jo hamein baad mein sunaae gae tamaam saad sitaare bigaD gae 'azhar' sulagti ret pe jab zaaiche banaae gae"
Azhar AdeebAzhar Adeeb

More on Raat

View all →
Quote
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
M
Muztar Muzaffarpuri
Quote
"raakh ke Dher pe kyaa shoala-bayaani karte ek qisse ki bhalaa kitni kahaani karte husn itnaa thaa ki mumkin hi na thi khud-nigari ek imkaan ki kab tak nigaraani karte shola-e-jaan ko bujhaate yunhi qatra qatra khud ko ham aag banaate tujhe paani karte phuul saa tujh ko mahaktaa huaa rakhte shab bhar apne saanson se tujhe raat ki raani karte naddiyaan dekhein to bas sharm se paani ho jaaein chashm-e-khun-basta se paidaa vo ravaani karte sab se kahte ki ye qissa hai puraanaa saahab aah ki aanch se tasvir puraani karte dar-o-divaar badalne mein kahaan ki mushkil ghar jo hotaa to bhalaa naql-e-makaani karte koi aa jaataa kabhi yunhi agar dil ke qarib ham tiraa zikr pae-yaad-dahaani karte sach to ye hai ki tire hijr kaa ab ranj nahin kyaa dikhaave ke liye ashk-fishaani karte dil ko har lahza hi di aql pe ham ne tarjih yaar-e-jaani ko kahaan dushman-e-jaani karte shab isi tarah basar hoti hai meri 'irfaan' harf-e-khush-rang ko andoh-e-maaani karte"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"phir khuun mein vahshat raqsaan hai tajdid sitam karne ke liye ik taaza zakhm ki khvaahish hai ik sadma kam karne ke liye ham din-bhar duniyaa-daari mein hans hans ke baatein karte hain phir saari raat pighalte hain ik ashk raqam karne ke liye vo vasl ki jis ne ham donon ko yaksar be-buniyaad kiyaa ab fursat hai aa mil baiThein us vasl kaa gham karne ke liye ik kaari zakhm ki chaahat ne kyaa kyaa na hamein gulzaar kiyaa ham kis kis se mansub hue ik hijr baham karne ke liye insaan ke jiine marne ke majburi ke mukhtaari ke ye saare khel zaruri hain taamir adam karne ke liye"
Irfan SattarIrfan Sattar