SHAWORDS

ye jo hai 'aashiqi tabarruk hai — Bilal Sabir

HomeBilal SabirGhazal
"ye jo hai 'aashiqi tabarruk hai aur ye daaimi tabarruk hai ek ne'mat to hain miri aankhein haan par in mein nami tabarruk hai khatm hogi kisi ke aate hi yaa'ni teri kami tabarruk hai thoDi thoDi si di gai sab ko zindagi ‘aalami tabarruk hai aap kyon baanTte hain saj-dhaj kar bevafaai koi tabarruk hai fikr hai faatiha miraa 'saabir' aur miri shaa'iri tabarruk hai"
Urdu

یہ جو ہے عاشقی تبرک ہے اور یہ دائمی تبرک ہے ایک نعمت تو ہیں مری آنکھیں ہاں پر ان میں نمی تبرک ہے ختم ہوگی کسی کے آتے ہی یعنی تیری کمی تبرک ہے تھوڑی تھوڑی سی دی گئی سب کو زندگی عالمی تبرک ہے آپ کیوں بانٹتے ہیں سج دھج کر بے وفائی کوئی تبرک ہے فکر ہے فاتحہ مرا صابرؔ اور مری شاعری تبرک ہے

Hindi

ये जो है 'आशिक़ी तबर्रुक है और ये दाइमी तबर्रुक है एक ने'मत तो हैं मिरी आँखें हाँ पर इन में नमी तबर्रुक है ख़त्म होगी किसी के आते ही या'नी तेरी कमी तबर्रुक है थोड़ी थोड़ी सी दी गई सब को ज़िंदगी ‘आलमी तबर्रुक है आप क्यों बाँटते हैं सज-धज कर बेवफ़ाई कोई तबर्रुक है फ़िक्र है फ़ातिहा मिरा 'साबिर' और मिरी शा'इरी तबर्रुक है

ye jo hai 'āshiqī tabarruk hai
Bilal Sabir
Bilal Sabir
Bilal Sabir
poet14 quotes

More by Bilal Sabir

View all →
Quote
"nahr ki dhaaron se nikle aur nadi mein phans gae yaa'ni bach kar dosti se 'aashiqi mein phans gae bevaqufon mein gine jaate hain saada-dil yahaan kis sadi ke log hain ham kis sadi mein phans gae gham ke taare aankh ke sayyaare se TuuTe hain aur ham khushi paane ko duniyaa-e-hansi mein phans gae ham hain vo 'ushshaaq jin ke vaaste hai jaal-e-husn ik gali se bach gae to dusri mein phans gae ab talak us shakhs ke das din nahin guzre yaa phir mere achchhe vaqt ke purze ghaDi mein phans gae us ne meri fikr ke gul chume the ik din 'bilaal' tab se misre un labon ki taazgi mein phans gae"
Bilal SabirBilal Sabir
Quote
"masale hal nahin hue mere tum mukammal nahin hue mere jin palon ke liye vo meraa thaa bas vahi pal nahin hue mere kyaa karungaa main kal bhi duniyaa mein tum agar kal nahin hue mere mere 'aaqil to ghair the lekin mere paagal nahin hue mere chand aankhein miri huiin lekin un ke kaajal nahin hue mere anginat baagh mere hain phir bhi phuul aur phal nahin hue mere roz-e-avval bhi vo badan chhu kar haath kyon shal nahin hue mere lafz chandan ke jaise bhi rakh kar she'r sandal nahin hue mere tu bataa tere yaar tere hain Thiik hai chal nahin hue mere"
Bilal SabirBilal Sabir

More on Zindagi

View all →
Quote
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"is ishq-e-junun-khez mein kyaa kyaa nahin hotaa divaana hai jo qais se lailaa nahin hotaa kuchh hashr lahad par abhi barpaa nahin hotaa aae ho to Thahro koi zinda nahin hotaa kyuun kar ye kahun husn kaa nashsha nahin hotaa hotaa to bahut hai magar itnaa nahin hotaa kuchh kahiye to sharmaa ke jhukaa lete hain gardan bhule se bhi ab vaada-e-fardaa nahin hotaa milte hain vo dil surkh hui jaati hai chuTki naazuk hain bahut khun-e-tamannaa nahin hotaa deti hai mazaa mai kaa hamein talkhi-e-tauba jab haath mein paimaana-e-sahbaa nahin hotaa vo hashr ke din kushte ko Thukraa chuke sau-baar kuchh jaan si paD jaati hai zinda nahin hotaa boli ye tamannaa jo ruke vo dar-e-dil par ghar aap kaa hai aap se pardaa nahin hotaa tiron ko jagah dete hain jo siine mein apne un logon ke ai jaan kaleja nahin hotaa sahraa se qadam ghar ki taraf khaak uThaaun kaanTe se judaa paanv kaa chhaalaa nahin hotaa baiThe nazar aate hain vahi teri gali mein jin kaa kahin duniyaa mein Thikaanaa nahin hotaa furqat mein hai kyuun nazaa ki taklif gavaaraa mar jaaein 'riyaaz' aap se itnaa nahin hotaa"
Riyaz KhairabadiRiyaz Khairabadi
Quote
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
Farooque AdilFarooque Adil
Quote
"jab tak mizaaj-e-dost mein kuchh barhami rahi goyaa bujhi bujhi si miri zindagi rahi jis par nigaah-e-lutf-e-karam aap ki rahi hairat se har nigaah use dekhti rahi go main rahaa kashaakash-e-dauraan se ham-kanaar lekin mire labon pe hansi khelti rahi laayaa hai ishq ne mujhe aise maqaam par khud-aagahi rahi na khudaa-aagahi rahi josh-e-junun ne manzil-e-maqsud paa liyaa aql-e-salim dekhti hi dekhti rahi sab kuchh mujhe 'khayaal' ki duniyaa mein mil gayaa lekin tumhaare husn-e-nazar ki kami rahi"
Faiz Ul Hasan KhayalFaiz Ul Hasan Khayal
Quote
"aaina toD de rihaa kar de bevafaa ik yahi vafaa kar de rishta-e-dard toD de dil se rang ko phuul se judaa kar de zindagi-bhar tujhi ko chaahaa hai qarz kuchh to miraa adaa kar de de rahaa hai zakaat-e-husn agar mire haq se zaraa baDhaa kar de muddatein ho gaiin tujhe dekhe ab to milne kaa silsila kar de phir koi gul khile sar-e-mizhgaan phir dar-e-khvaab koi vaa kar de ik sitaare ko bakhsh kar mire khvaab phir use meraa aaina kar de baiThtaa jaa rahaa hai jaan kaa ghubaar ab use mujh se maavaraa kar de ai faqir-e-dayaar-e-laili-jaan mire haq mein bhi kuchh duaa kar de"
Ayub KhawarAyub Khawar