SHAWORDS

yuun baiThe rah ke sar-e-rahguzaar kyaa karnaa — Arslan Abbas

HomeArslan AbbasGhazal
"yuun baiThe rah ke sar-e-rahguzaar kyaa karnaa vo jaa chukaa hai to ab intizaar kyaa karnaa ye soch kar main tujhe haal-e-dil nahin kahtaa ki apne saath tujhe sogvaar kyaa karnaa agar ye farz hai to aa mu’aashre pe karein bas ek fard pe jaan ko nisaar kyaa karnaa mile hain dard to khush ho ke thaam lo yaaro ki raah-e-'ishq hai aah-o-pukaar kyaa karnaa mohabbaton kaa hadaf ruh-e-nur hai 'abbaas' badan to miTTi hai miTTi se pyaar kyaa karnaa"
Urdu

یوں بیٹھے رہ کے سر رہ گزار کیا کرنا وہ جا چکا ہے تو اب انتظار کیا کرنا یہ سوچ کر میں تجھے حال دل نہیں کہتا کہ اپنے ساتھ تجھے سوگوار کیا کرنا اگر یہ فرض ہے تو آ معاشرے پہ کریں بس ایک فرد پہ جاں کو نثار کیا کرنا ملے ہیں درد تو خوش ہو کے تھام لو یارو کہ راہ عشق ہے آہ و پکار کیا کرنا محبتوں کا ہدف روح نور ہے عباسؔ بدن تو مٹی ہے مٹی سے پیار کیا کرنا

Hindi

यूँ बैठे रह के सर-ए-रहगुज़ार क्या करना वो जा चुका है तो अब इंतिज़ार क्या करना ये सोच कर मैं तुझे हाल-ए-दिल नहीं कहता कि अपने साथ तुझे सोगवार क्या करना अगर ये फ़र्ज़ है तो आ मु’आशरे पे करें बस एक फ़र्द पे जाँ को निसार क्या करना मिले हैं दर्द तो ख़ुश हो के थाम लो यारो कि राह-ए-'इश्क़ है आह-ओ-पुकार क्या करना मोहब्बतों का हदफ़ रूह-ए-नूर है 'अब्बास' बदन तो मिट्टी है मिट्टी से प्यार क्या करना

yuuñ baiThe rah ke sar-e-rahguzār kyā karnā
Arslan Abbas
Arslan Abbas
Arslan Abbas
poet7 quotes

More by Arslan Abbas

View all →
Quote
"apne hisse mein 'ajab ranj-o-fughaan the jaanaan apne lamhaat-e-bahaaraan bhi khizaan the jaanaan tu ne dekhaa hi nahin dil ki nigah se varna sard aankhon mein sabhi zakhm ayaan the jaanaan ik tire hijr ki phaili hui rut se pahle ham kisi karb se maanus kahaan the jaanaan ye jo sargardaan hain galiyon mein udaasi ban kar ye kabhi shahr mein farhat kaa nishaan the jaanaan ab tire dar se pare duur khaDe sochte hain ham tire saath ke qaabil hi kahaan the jaanaan log kahte hain tire khvaab sajaane vaale tere 'abbaas' se pahle bhi yahaan the jaanaan"
Arslan AbbasArslan Abbas
Quote
"kuchh dinon se hansi ki zad mein hai dil-e-gham bebasi ki zad mein hai zindagi kaa tumhein bataaein kyaa zindagi zindagi ki zad mein hai pyaas si kyaa hai ye darun-e-jaan ruuh kis tishnagi ki zad mein hai muddaton se bahut udaas hai dil jaane ye kis kami ki zad mein hai chaaraagar aaj dil kaa haal na puchh aaj dil be-dili ki zad mein hai mujh ko mat ham-safar banaa ki miri zaat aavaargi ki zad mein hai ye miraa haal jo sanvartaa nahin ye tiri be-rukhi ki zad mein hai har kisi mein hai shor ik barpaa har koi khaamushi ki zad mein hai jaane ab kis tarah kaTe 'abbaas' zindagi rah-ravi ki zad mein hai"
Arslan AbbasArslan Abbas
Quote
"sad-khataavaar hain lekin ye jasaarat nahin ki ham ne khush rah ke tire gham se khayaanat nahin ki ham ne be-sud tire saath mohabbat ki hai itni be-sud ki paane ki bhi chaahat nahin ki dil ko is sabr pe kuchh daad to de ki is ne tujh ko kho kar bhi miri jaan qayaamat nahin ki vo jahaan-zaad thaa us ne bhi sitam kam na kiye ham junun-zaad the ham ne bhi shikaayat nahin ki koi ik ghaav thaa jo she'r nahin ho paayaa koi ik choT thi jo dil ne 'ibaarat nahin ki vo jo ik chehra thaa aankhon kaa dilaasa 'abbaas' ham ne us chehre ki ‘umron se ziyaarat nahin ki"
Arslan AbbasArslan Abbas

More on Dil

View all →
Quote
"is ishq-e-junun-khez mein kyaa kyaa nahin hotaa divaana hai jo qais se lailaa nahin hotaa kuchh hashr lahad par abhi barpaa nahin hotaa aae ho to Thahro koi zinda nahin hotaa kyuun kar ye kahun husn kaa nashsha nahin hotaa hotaa to bahut hai magar itnaa nahin hotaa kuchh kahiye to sharmaa ke jhukaa lete hain gardan bhule se bhi ab vaada-e-fardaa nahin hotaa milte hain vo dil surkh hui jaati hai chuTki naazuk hain bahut khun-e-tamannaa nahin hotaa deti hai mazaa mai kaa hamein talkhi-e-tauba jab haath mein paimaana-e-sahbaa nahin hotaa vo hashr ke din kushte ko Thukraa chuke sau-baar kuchh jaan si paD jaati hai zinda nahin hotaa boli ye tamannaa jo ruke vo dar-e-dil par ghar aap kaa hai aap se pardaa nahin hotaa tiron ko jagah dete hain jo siine mein apne un logon ke ai jaan kaleja nahin hotaa sahraa se qadam ghar ki taraf khaak uThaaun kaanTe se judaa paanv kaa chhaalaa nahin hotaa baiThe nazar aate hain vahi teri gali mein jin kaa kahin duniyaa mein Thikaanaa nahin hotaa furqat mein hai kyuun nazaa ki taklif gavaaraa mar jaaein 'riyaaz' aap se itnaa nahin hotaa"
Riyaz KhairabadiRiyaz Khairabadi
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"kahe detaa huun go hai to nahin ye baat kahne ki tiri khvaahish nahin dil mein ziyaada der rahne ki bachaa kar dil guzartaa jaa rahaa huun har ta’alluq se kahaan us aable ko taab hai ab choT sahne ki rag-o-pai mein na hangaama kare to kyaa kare aakhir ijaazat jab nahin is ranj ko aankhon se bahne ki bas apni apni tarjihaat apni apni khvaahish hai tujhe shohrat kamaane ki mujhe ik she'r kahne ki jahaan kaa huun vahin ki raas aaegi fazaa mujh ko ye duniyaa bhi bhalaa koi jagah hai mere rahne ki jo kal 'irfaan' par guzri sunaa kuchh us ke baare mein khabar tum ne suni tufaan mein dariyaa ke bahne ki"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud