SHAWORDS

yuun tabi'at to paDhaai mein lagaa rakkhi thi — Javed Akram Farooqi

"yuun tabi'at to paDhaai mein lagaa rakkhi thi is ki tasvir kitaabon mein sajaa rakkhi thi khud-kushi karne se pahle kisi doshiza ne phuul se haathon mein khushbu-e-hinaa rakkhi thi vo dupaTTe jo kabhi sar se Dhalakte hi na the raat un mein bhi bahut tez havaa rakkhi thi beTi sasuraal mein do din bhi khushi se na rahi shart daulat ne gharibi se lagaa rakkhi thi phuul se hanste hue bachchon ki khaatir maan ne apne aanchal mein kaDi dhuup chhupaa rakkhi thi 'aam laDkon ki tarah ham ne bhi taa'lim ke baa'd naukri milne ki ummid lagaa rakkhi thi mere honTon ko kabhi izn-e-takallum na milaa varna main ne bhi tire haq mein du'aa rakkhi thi"
Urdu

یوں طبیعت تو پڑھائی میں لگا رکھی تھی اس کی تصویر کتابوں میں سجا رکھی تھی خودکشی کرنے سے پہلے کسی دوشیزہ نے پھول سے ہاتھوں میں خوشبوئے حنا رکھی تھی وہ دوپٹے جو کبھی سر سے ڈھلکتے ہی نہ تھے رات ان میں بھی بہت تیز ہوا رکھی تھی بیٹی سسرال میں دو دن بھی خوشی سے نہ رہی شرط دولت نے غریبی سے لگا رکھی تھی پھول سے ہنستے ہوئے بچوں کی خاطر ماں نے اپنے آنچل میں کڑی دھوپ چھپا رکھی تھی عام لڑکوں کی طرح ہم نے بھی تعلیم کے بعد نوکری ملنے کی امید لگا رکھی تھی میرے ہونٹوں کو کبھی اذن تکلم نہ ملا ورنہ میں نے بھی ترے حق میں دعا رکھی تھی

Hindi

यूँ तबी'अत तो पढ़ाई में लगा रक्खी थी इस की तस्वीर किताबों में सजा रक्खी थी ख़ुद-कुशी करने से पहले किसी दोशीज़ा ने फूल से हाथों में ख़ुशबू-ए-हिना रक्खी थी वो दुपट्टे जो कभी सर से ढलकते ही न थे रात उन में भी बहुत तेज़ हवा रक्खी थी बेटी ससुराल में दो दिन भी ख़ुशी से न रही शर्त दौलत ने ग़रीबी से लगा रक्खी थी फूल से हँसते हुए बच्चों की ख़ातिर माँ ने अपने आँचल में कड़ी धूप छुपा रक्खी थी 'आम लड़कों की तरह हम ने भी ता'लीम के बा'द नौकरी मिलने की उम्मीद लगा रक्खी थी मेरे होंटों को कभी इज़्न-ए-तकल्लुम न मिला वर्ना मैं ने भी तिरे हक़ में दु'आ रक्खी थी

yuuñ tabī'at to paḌhā.ī meñ lagā rakkhī thī
Javed Akram Farooqi
Javed Akram Farooqi
Javed Akram Farooqi
poet26 quotes

More by Javed Akram Farooqi

View all →
Quote
"qatl hone khud hi qaatil ke makaan tak aa gae zindagi ki justuju mein ham kahaan tak aa gae main ne kuchh maangaa nahin tere sivaa allaah se ik du'aa ke badle saaton aasmaan tak aa gae ham zabaan rakhte hue bhi be-zabaan hain shahr mein kapkapaate lafz gungi daastaan tak aa gae muskuraati chaandni kaa jism niilaa ho gayaa dhuup ke zahrile paanv saaebaan tak aa gae kam se kam dastaar to rahne de sar par muflisi ghar ke saare raaz bachchon ki zabaan tak aa gae ab buzurgon ki nasihat yaad aati hai hamein phuul chunte chunte shahr-e-sakht-jaan tak aa gae muskuraati bhuuk aur aansu bhari aankhein liye lauT kar mazdur maghrib ki azaan tak aa gae mere haathon mein abhi tak dosti kaa lams hai doston ke haath mein tir-o-kamaan tak aa gae"
Javed Akram FarooqiJaved Akram Farooqi
Quote
"phulon ko chhune se nashtar zakhmi hogaa ab ke sar mein lag kar patthar zakhmi hogaa kaafi din ke baad safar se lauTaa huun main jism thakan se chuur hai bistar zakhmi hogaa mausam ke chehre ki shiknein kahti hain aanhkein hongi yaa phir manzar zakhmi hogaa maujein dariyaa ke siine par kyaa likhti hain sochaa to main andar andar zakhmi hogaa barg-e-gul par suraj ke neze mat rakkho bholi-bhaali titli kaa par zakhmi hogaa aaankhon ki basti mein jab baazaar sajegaa kachche sapnon kaa saudaagar zakhmi hogaa main haathon mein khanjar le kar soch rahaa huun lauTungaa to meraa bhi ghar zakhmi hogaa"
Javed Akram FarooqiJaved Akram Farooqi
Quote
"sahar hi aai na vo shaahid-e-sahar aayaa ghubaar-e-shab kaa musaafir hi mere ghar aayaa thakan ki dhuup Dhali bhi nahin thi sar se abhi azaab-e-hukm-e-safar mujh pe phir utar aayaa diyaa jalaate hue haath kaanpte kyuun hain kahaan se khauf badan mein havaa kaa dar aayaa ye lamha lamha bikharti hui anaa kaa vajud na ye zamin na vo aasmaan nazar aayaa ridaa rahi na badan par koi qabaa shaadaab ye kaun dhuup mein dekho barahna-sar aayaa badan tamaam huaa hai lahu-luhaan miraa nai ruton kaa musaafir ba-chashm-e-tar aayaa bahut aziiz hai apne vatan ki khaak hamein jo khvaab aankhon mein aayaa vo mo'tabar aayaa"
Javed Akram FarooqiJaved Akram Farooqi
Quote
"lahraa rahe hain shaakhon pe parcham bahaar ke rakkhe hain titliyon ne abhi gham utaar ke khvaabon ke phuul palkon ki dahliz par na rakh murjhaa na jaaein dhuup mein mausam vaqaar ke har pal hain zindagi ke taqaaze nae nae lagne lage hain khud ko bhi ab ham udhaar ke basti mein aaj bhi miri chulhe nahin jale zinda hai phir bhi subh shab-e-gham guzaar ke gum ho gayaa hai ajnabi chehron mein apnaa-pan khaamosh ho gae mujhe mahram pukaar ke zakhmon ki khushk kyaariyaan shaadaab ho gaiin kitne karam hain mujh pe mire gham-gusaar ke bechaini be-qaraari hamein raas aa gai lamhe the zindagi mein bahut kam qaraar ke"
Javed Akram FarooqiJaved Akram Farooqi
Quote
"phuul se lahje mein talvaar kahaan se aai tujh mein ye jurat-e-inkaar kahaan se aai main to samjhaa thaa ki thak jaaungaa chalte chalte mere qadmon mein ye raftaar kahaan se aai ye to sab maan ki du'aaon kaa asar hai varna gardish-e-vaqt taraf-daar kahaan se aai kholiyaan zakhmi parindon ki tarah se taDpein TuTti raat mein ye car kahaan se aai main to pardes mein rahtaa huun mire bhaai bataa mere aangan mein ye divaar kahaan aai gir gai hai to ye ehsaas hai nange sar huun sochtaa huun ki ye dastaar kahaan se aai bint-e-iflaas ne Thukraa diyaa shahzaada-e-zar is qabile mein ye khuddaar kahaan se aai"
Javed Akram FarooqiJaved Akram Farooqi
Quote
"yaqin se bhi gae ehtimaal se bhi gae ham apne 'ahd mein khvaab-o-khayaal se bhi gae du'aa ke haath kaTe khvaahishon ke dil TuuTe javaab se bhi gae ham savaal se bhi gae tamaam log khudaa-tars hote jaate hain amir-e-shahr ‘uruj-o-zavaal se bhi gae kise yaqin dilaaein ki ham bhi zinda hain anaa ke zakhmi khudaa indimaal se bhi gae bahut hi mahngaa paDaa un ko shauq-e-ham-safari palaT ke aae to khud apni chaal se bhi gae junun hai zinat-e-tahzib-e-mahfil-e-yaaraan amin-e-hosh-o-khirad 'arz-e-haal se bhi gae hamaaraa zikr hai dimak-zada kitaabon mein ham ahl-e-'ilm-o-hunar the misaal se bhi gae badan ko toD rahi hai nai ruton ki thakan ye karb-e-hijr ke lamhe visaal se bhi gae palaT ke jaane ki himmat muhaajiron mein na thi vatan se bhi gae ahl-o-'ayaal se bhi gae hamaare dost saf-e-dushmanaan mein shaamil hain ham aise saada-mizaaj apni Dhaal se bhi gae"
Javed Akram FarooqiJaved Akram Farooqi

More on Raat

View all →
Quote
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
M
Muztar Muzaffarpuri
Quote
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"chaahe khoTe hain yaa khare hain ham Dast-e-qudrat ke laaDle hain ham 'aks-e-rafta ko dekhiye saahib kitne maa'sum lag rahe hain ham raat jivan kaa giit gaati hai khvaab-e-tanvim dekhte hain ham 'umr lag jaaegi sanbhalne mein kis bulandi se yuun gire hain ham ek hangaam hai taghayyur kaa kunj-e-nisyaan mein paDe hain ham ab bhi mehndi kaa rang gahraa hai sandalin haath par rache hain ham ik tamaashaa hai kaar-zaar-e-hayaat dekh kar ser ho chuke hain ham jhilmilaate hain aarzu ke kanval dil-jharoke se jhaankte hain ham"
Bushra MasuudBushra Masuud