SHAWORDS

yusuf ki tarah raunaq-e-baazaar rahe hain — Naseem Ansari

HomeNaseem AnsariGhazal
"yusuf ki tarah raunaq-e-baazaar rahe hain bikne ke liye shauq se tayyaar rahe hain ham ne kabhi suraj se ujaalaa nahin maangaa ik chaand se chehre ke talabgaar rahe hain divaanon ko zanjir kaa kuchh khauf nahin hai taa-umr to zulfon mein giraftaar rahe hain kyaa hogaa nasha zar se kharidi hui mai mein ham aankhon se piine ke gunahgaar rahe hain lekin hamein be-maaya-o-bekaar na jaano maanaa tiri basti mein baDe khvaar rahe hain bhule se kabhi un ko siyahkaar na kahnaa jo log haqiqat mein siyahkaar rahe hain behtar hai karo un ki sataaish sar-e-mahfil kah do ki baDe saahib-e-kirdaar rahe hain maanaa ki baDe sahl hain tere liye ham log duniyaa ke liye uqda-e-dushvaar rahe hain har gosha-e-taarik munavvar kiyaa ham ne har bazm mein ham the jo ziyaa-baar rahe hain"
Urdu

یوسف کی طرح رونق بازار رہے ہیں بکنے کے لئے شوق سے تیار رہے ہیں ہم نے کبھی سورج سے اجالا نہیں مانگا اک چاند سے چہرے کے طلب گار رہے ہیں دیوانوں کو زنجیر کا کچھ خوف نہیں ہے تا عمر تو زلفوں میں گرفتار رہے ہیں کیا ہوگا نشہ زر سے خریدی ہوئی مے میں ہم آنکھوں سے پینے کے گنہ گار رہے ہیں لیکن ہمیں بے مایہ و بے کار نہ جانو مانا تری بستی میں بڑے خوار رہے ہیں بھولے سے کبھی ان کو سیہ کار نہ کہنا جو لوگ حقیقت میں سیہ کار رہے ہیں بہتر ہے کرو ان کی ستائش سر محفل کہہ دو کہ بڑے صاحب کردار رہے ہیں مانا کہ بڑے سہل ہیں تیرے لئے ہم لوگ دنیا کے لئے عقدۂ دشوار رہے ہیں ہر گوشۂ تاریک منور کیا ہم نے ہر بزم میں ہم تھے جو ضیا بار رہے ہیں

Hindi

यूसुफ़ की तरह रौनक़-ए-बाज़ार रहे हैं बिकने के लिए शौक़ से तय्यार रहे हैं हम ने कभी सूरज से उजाला नहीं माँगा इक चाँद से चेहरे के तलबगार रहे हैं दीवानों को ज़ंजीर का कुछ ख़ौफ़ नहीं है ता-उम्र तो ज़ुल्फ़ों में गिरफ़्तार रहे हैं क्या होगा नशा ज़र से ख़रीदी हुई मय में हम आँखों से पीने के गुनहगार रहे हैं लेकिन हमें बे-माया-ओ-बेकार न जानो माना तिरी बस्ती में बड़े ख़्वार रहे हैं भूले से कभी उन को सियहकार न कहना जो लोग हक़ीक़त में सियहकार रहे हैं बेहतर है करो उन की सताइश सर-ए-महफ़िल कह दो कि बड़े साहिब-ए-किरदार रहे हैं माना कि बड़े सहल हैं तेरे लिए हम लोग दुनिया के लिए उक़्दा-ए-दुश्वार रहे हैं हर गोशा-ए-तारीक मुनव्वर किया हम ने हर बज़्म में हम थे जो ज़िया-बार रहे हैं

yūsuf kī tarah raunaq-e-bāzār rahe haiñ
Naseem Ansari
Naseem Ansari
Naseem Ansari
poet13 quotes

More by Naseem Ansari

View all →
Quote
"mere kahne se to dil un par miraa aayaa na thaa aaine ko main ne khud patthar se Takraayaa na thaa jo huaa jo kuchh huaa meri khataa meraa qusur toD kar ahd-e-vafaa kyaa vo bhi pachhtaayaa na thaa main ne dekhi hai amir-e-shahr ki vo muflisi daulat-e-duniyaa thi lekin gham kaa sarmaaya na thaa ham ne sochaa ab faraaz-e-daar se dekhein use zindagaani kaa koi manzar hamein bhaayaa na thaa tujh ko hi maqsud thi apne liye kuchh bandagi varna aadam ne tiri jannat ko Thukraayaa na thaa"
Naseem AnsariNaseem Ansari
Quote
"in dinon har shahr kaa naqsha bayaabaani to hai hain dar-o-divaar lekin phir bhi viraani to hai hai qabaa-e-gul bahar-surat bahaaron ki naqib laakh zanjirein na hon par chaak-daamaani to hai ye alag hai doston ke naam le sakte nahin ham ne apne qaatilon ki shakl pahchaani to hai har havas-pesha ne apnaayaa hai sheva ishq kaa husn ki baazaar mein har samt arzaani to hai qatl kar ke bhi yahaan naadim nahin hote hain log us ne dil toDaa magar us ko pashemaani to hai ishq mein ham ne mataaa-e-zindagaani phunk di aql vaalon ki nazar mein ye bhi naadaani to hai sab se chhup saktaa hai lekin khud se chhup saktaa nahin yaani tere har amal par ik nigahbaani to hai sab gunaahon kaa ta'alluq jism ki miTTi se hai aur ibrat-gaah-e-hasti mein badan faani to hai husn-e-fitrat ke liye bhi shart hai sharm-o-hijaab gul ke honTon par hansi aur aankh mein paani to hai sach to ye hai qaaid-e-millat ki har taqrir mein maslahat ke naam par kuchh kuchh sanaa-khvaani to hai sirf yak-tarfa nahin apne junun ki daastaan main huaa divaana lekin vo bhi divaani to hai kuchh na kuchh to jhaanktaa hai pairahan ki oT se satr-poshi mein bhi shaamil thoDi uryaani to hai haq-paraston ke liye dushvaar hai duniyaa magar ik sutun-e-daar tak jaane mein aasaani to hai saare rishte munqataa vo kar chukaa ham se 'nasim' ik ta'alluq phir bhi us se apnaa insaani to hai"
Naseem AnsariNaseem Ansari
Quote
"malaamat kaa hadaf aakhir miraa tarz-e-bayaan kyon ho tiri mashq-e-sitam ko bas miri urdu zabaan kyon ho piyein jab mai to lutf-e-mai mein kuchh jiddat bhi laazim hai vahi saaqi vahi miinaa vahi pir-e-mughaan kyon ho koi rahbar nahin miltaa koi rahzan hi mil jaae hamesha ham-safar aakhir ye gard-e-kaarvaan kyon ho kisi se kuchh nahin kahtaa to divaane ko mat chheDo ki divaana to divaana hai us se sargiraan kyon ho chale hain shaikh masjid ko magar mai-kash kahaan jaaein jo mai-khaana nahin khultaa phir aakhir ye azaan kyon ho ye duniyaa ek zindaan hai Thikaana laa-makaan teraa yahaan har samt divaarein yahaan meraa makaan kyon ho kise fursat hamaare baad ham ko yaad rakhne ki sirhaane qabr par apni koi sang-e-nishaan kyon ho main tere paas jab aauun to le lenaa hisaab apnaa magar duniyaa mein har lamha ye vaaiz kaa bayaan kyon ho qafas mein aati rahti hai safir-e-gul sabaa ham tak to gulshan se bichhaDne par yahaan aah-o-fughaan kyon ho"
Naseem AnsariNaseem Ansari
Quote
"ham bhi to kabhi raunaq-e-baazaar rahe hain bikne ke liye shauq se tayyaar rahe hain ham ne kabhi suraj se ujaalaa nahin maangaa ik chaand se chehre ke talabgaar rahe hain divaane ko zanjir kaa kuchh khauf nahin hai ham vo hain jo zulfon mein giraftaar rahe hain darkaar nahin ham ko ye paimaana-o-saaghar ham aankhon se piine ke gunahgaar rahe hain bhule se kabhi un ko siyahkaar na kahnaa jo log haqiqat mein siyahkaar rahe hain maanaa ki baDe sahl hain tere liye ham log duniyaa ke liye uqda-e-dushvaar rahe hain har gosha-e-taarik munavvar kiyaa ham ne har bazm mein ham the jo ziyaa-baar rahe hain"
Naseem AnsariNaseem Ansari

More on Maa

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"kyaa apne shahr mein koi aisaa makaan hai samjhun jise ki asl mein vo ik jahaan hai DhunDo haqiqat is mein na afsaana hi koi is kaa bayaan kuchh nahin us kaa bayaan hai apnaa shi'aar ab hai faqat amn-dushmani ye aur baat faakhta apnaa nishaan hai likhne ko ek harf na kahne ko ek lafz yuun to qalam hai haath mein munh mein zabaan hai vo lams jis ke baa'd zamaane guzar gae vo lams ab bhi taaza hai ab bhi javaan hai ho jaaegaa yaqin sabhon kaa hi kal jo aaj meraa yaqin aur sabhon kaa gumaan hai shatranj ki bisaat ki thi apni mez par shatranj ki bisaat ki saaraa jahaan hai"
M
M. Qamruddin
Quote
"charaaghon se kuchh to churaayaa gayaa hai jo thi aag us ko bujhaayaa gayaa hai likhaa thaa jinhein sirf apne lahu se mire un khaton ko jalaayaa gayaa hai hazaaron daf'a us ne ki bevafaai mujhe bevafaa kyon bataayaa gayaa hai mujhe khud nikalnaa paDaa apne ghar se ye mat sochnaa ki bhagaayaa gayaa hai khabar ye mili hai ki mere hi ghar mein kisi ghair ko ab basaayaa gayaa hai mujhe hi sataa kar mujhe hi rulaa kar ye ilzaam mujh par lagaayaa gayaa hai tumhein kyaa bataaun mohabbat mein 'raavat' mujhe kis qadar aazmaayaa gayaa hai"
Divyansh RawatDivyansh Rawat
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb