SHAWORDS

zarron mein kunmunaati hui kaaenaat huun — Bashir Badr

HomeBashir BadrGhazal
"zarron mein kunmunaati hui kaaenaat huun jo muntazir hai jismon ki main vo hayaat huun donon ko pyaasaa maar rahaa hai koi yazid ye zindagi husain hai aur main furaat huun neza zamin pe gaaD ke ghoDe se kuud jaa par main zamin pe aabla-paa khaali haat huun kaisaa falak huun jis pe samundar savaar hai suraj bhi mere sar pe hai main kaisi raat huun andhe kuein mein maar ke jo pheink aae the un bhaaiyon se kahiyo abhi tak hayaat huun aati hui train ke jo aage rakh gai us maan se ye na kahnaa ba-qaid-e-hayaat huun baazaar kaa naqib samajh kar mujhe na chheD khaamosh rahne de main tire ghar ki baat huun"
Urdu

ذروں میں کنمناتی ہوئی کائنات ہوں جو منتظر ہے جسموں کی میں وہ حیات ہوں دونوں کو پیاسا مار رہا ہے کوئی یزید یہ زندگی حسین ہے اور میں فرات ہوں نیزہ زمیں پہ گاڑ کے گھوڑے سے کود جا پر میں زمیں پہ آبلہ پا خالی ہات ہوں کیسا فلک ہوں جس پہ سمندر سوار ہے سورج بھی میرے سر پہ ہے میں کیسی رات ہوں اندھے کنویں میں مار کے جو پھینک آئے تھے ان بھائیوں سے کہیو ابھی تک حیات ہوں آتی ہوئی ٹرین کے جو آگے رکھ گئی اس ماں سے یہ نہ کہنا بقید حیات ہوں بازار کا نقیب سمجھ کر مجھے نہ چھیڑ خاموش رہنے دے میں ترے گھر کی بات ہوں

Hindi

ज़र्रों में कुनमुनाती हुई काएनात हूँ जो मुंतज़िर है जिस्मों की मैं वो हयात हूँ दोनों को प्यासा मार रहा है कोई यज़ीद ये ज़िंदगी हुसैन है और मैं फ़ुरात हूँ नेज़ा ज़मीं पे गाड़ के घोड़े से कूद जा पर मैं ज़मीं पे आबला-पा ख़ाली हात हूँ कैसा फ़लक हूँ जिस पे समुंदर सवार है सूरज भी मेरे सर पे है मैं कैसी रात हूँ अंधे कुएँ में मार के जो फेंक आए थे उन भाइयों से कहियो अभी तक हयात हूँ आती हुई ट्रेन के जो आगे रख गई उस माँ से ये न कहना ब-क़ैद-ए-हयात हूँ बाज़ार का नक़ीब समझ कर मुझे न छेड़ ख़ामोश रहने दे मैं तिरे घर की बात हूँ

zarroñ meñ kunmunātī huī kā.enāt huuñ
Bashir Badr
Bashir Badr
Bashir Badr
poet340 quotes

More by Bashir Badr

View all →
Quote
"hamaaraa dil savere kaa sunahraa jaam ho jaae charaaghon ki tarah aankhein jalein jab shaam ho jaae kabhi to aasmaan se chaand utre jaam ho jaae tumhaare naam ki ik khub-surat shaam ho jaae ajab haalaat the yuun dil kaa saudaa ho gayaa aakhir mohabbat ki haveli jis tarah nilaam ho jaae samundar ke safar mein is tarah aavaaz de ham ko havaaein tez hon aur kashtiyon mein shaam ho jaae mujhe maalum hai us kaa Thikaanaa phir kahaan hogaa parinda aasmaan chhune mein jab naakaam ho jaae ujaale apni yaadon ke hamaare saath rahne do na jaane kis gali mein zindagi ki shaam ho jaae"
Bashir BadrBashir Badr
Quote
"suraj chandaa jaisi joDi ham donon din kaa raaja raat ki raani ham donon jagmag jagmag duniyaa kaa mela jhuTaa sachchaa sonaa sachchi chaandi ham donon ik duuje se mil kar puure hote hain aadhi aadhi ek kahaani ham donon ghar-ghar dukh-sukh kaa ik dipak jale bujhe har dipak mein tel aur baati ham donon duniyaa ki ye maayaa kankar patthar hai aansu shabnam hiiraa moti ham donon chaaron or samandar baDhti chintaa hai lahar lahar lahraati kashti ham donon parbat-parbat baadal-baadal kiran-kiran ujle par vaale do panchhi ham donon main dahliz kaa dipak huun aa tez havaa raat guzaarein apni apni ham donon"
Bashir BadrBashir Badr

More on Zindagi

View all →
Quote
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
Farooque AdilFarooque Adil
Quote
"tirgi shama bani raahguzar mein aai saaat ik aisi bhi kal apne safar mein aai jis jagah chehra hi meyaar-e-vafaa Thahraa hai khaak hi khaak vahaan dast-e-hunar mein aai teri nazron mein thi duniyaa to yahi kyaa kam thaa hashr ye hai ki tu duniyaa ki nazar mein aai baar-haa yaaron ne saahil se kahaa thaa ham hain baar-haa naav magar apni bhanvar mein aai zindagi samjhun ise yaa ki ise maut kahun vo jo mehmaan ki surat mire ghar mein aai yuun bhi taarikh ki taarikh raqam hoti hai nikli taarikh mahal se to khanDar mein aai khvaab hi khvaab ki taabir huaa to jaanaa zindagi kyuun kisi aankhon ke asar mein aai shama jalte hi bujhi aur dhuaan aisaa uThaa lazzat-e-shaam yahaan khvaab-e-sahar mein aai zindagi kuchh hai 'ataa' sher-o-adab hai kuchh aur ye do-rangi ki vabaa kaisi hunar mein aai"
Ata AbidiAta Abidi
Quote
"ye hai mai-kada yahaan rind hain yahaan sab kaa saaqi imaam hai ye haram nahin hai ai shaikh ji yahaan paarsaai haraam hai jo zaraa si pi ke bahak gayaa use mai-kade se nikaal do yahaan tang-nazar kaa guzar nahin yahaan ahl-e-zarf kaa kaam hai koi mast hai koi tishna-lab to kisi ke haath mein jaam hai magar is pe koi kare bhi kyaa ye to mai-kade kaa nizaam hai ye janaab-e-shaikh kaa falsafa hai 'ajib saare jahaan se jo vahaan piyo to halaal hai jo yahaan piyo to haraam hai tujhe apne husn kaa vaasta mere shauq-e-did pa rahm khaa zaraa muskuraa ke naqaab uThaa ki nazar ko shauq-e-salaam hai na sunnaa to huur o qusur ki ye hikaayatein mujhe vaa'izaa koi baat kar dar-e-yaar ki dar-e-yaar hi se to kaam hai na to e'tikaaf se kuchh gharaz na savaab-o-zuhd se vaasta tiri diid aisi namaaz hai na sujud hai na qayaam hai ye durust ki 'aib hai mai-kashi ye ba-jaa ki baada haraam hai magar ab savaal ye aa paDaa ki tumhaare haath mein jaam hai jo uThi to subh-e-davaam thi jo jhuki to shaam hi shaam thi tiri chashm-e-mast mein saaqiyaa miri zindagi kaa nizaam hai miraa farz hai ki paDaa rahun tiri baargaah mein saaqiyaa koi tishna-lab hai ki sair hai yahi dekhnaa tiraa kaam hai isi kaaenaat mein ai 'jigar' koi inqalaab uThegaa phir ki buland ho ke bhi aadmi abhi khvaahishon kaa ghulaam hai"
Jigar MoradabadiJigar Moradabadi