"ziist ki yuun to shaam tak pahunche 'ishq mein par salaam tak pahunche guftugu jab hui nigaahon mein vasl ke ham payaam tak pahunche roz us ki gali mein Thahrein ham kyaa pata kab vo baam tak pahunche aakhirash vo hue pashemaan hi log jo intiqaam tak pahunche kyon na mil baiTh kar sulh kar lein masala kyon nizaam tak pahunche raaz-e-dil dost se bhi mat kahnaa kyaa pata ye tamaam tak pahunche daur jab intikhaab kaa aayaa hukmraan tab 'avaam tak pahunche dard kuchh aur de zamaana to shaa'iri ik maqaam tak pahunche"
ziist kaise hasin ho jaae — Anand Panday Tanha
"ziist kaise hasin ho jaae aadmi jab machine ho jaae mutmain hain khulus se ham to aap ko bas yaqin ho jaae khvaahish-e-nafs hai yahi har dam saath ik naaznin ho jaae log hain be-shumaar jab dil mein kaise maalik makin ho jaae ishq naadaan kaa jab huaa kaamil phir koi kyon zahin ho jaae bhar gayaa zindagi se dil ab to maut shaayad muiin ho jaae janm hogaa ki maghfirat hogi faisla ab mubin ho jaae koi 'tanhaa' ghazal sunaae to ruuh taaza-tarin ho jaae"
زیست کیسے حسین ہو جائے آدمی جب مشین ہو جائے مطمئن ہیں خلوص سے ہم تو آپ کو بس یقین ہو جائے خواہش نفس ہے یہی ہر دم ساتھ اک نازنین ہو جائے لوگ ہیں بے شمار جب دل میں کیسے مالک مکین ہو جائے عشق ناداں کا جب ہوا کامل پھر کوئی کیوں ذہین ہو جائے بھر گیا زندگی سے دل اب تو موت شاید معین ہو جائے جنم ہوگا کہ مغفرت ہوگی فیصلہ اب مبین ہو جائے کوئی تنہاؔ غزل سنائے تو روح تازہ ترین ہو جائے
ज़ीस्त कैसे हसीन हो जाए आदमी जब मशीन हो जाए मुतमइन हैं ख़ुलूस से हम तो आप को बस यक़ीन हो जाए ख़्वाहिश-ए-नफ़्स है यही हर दम साथ इक नाज़नीन हो जाए लोग हैं बे-शुमार जब दिल में कैसे मालिक मकीन हो जाए इश्क़ नादाँ का जब हुआ कामिल फिर कोई क्यों ज़हीन हो जाए भर गया ज़िंदगी से दिल अब तो मौत शायद मुई'न हो जाए जन्म होगा कि मग़्फ़िरत होगी फ़ैसला अब मुबीन हो जाए कोई 'तन्हा' ग़ज़ल सुनाए तो रूह ताज़ा-तरीन हो जाए

More by Anand Panday Tanha
View all →"mil chuke hain gulaab se pahle aap ke intikhaab se pahle ham tiraa e'tibaar kar leinge mutmain huun javaab se pahle muntazir niind kah rahi hai ye duur huun iztiraab se pahle pyaar kaa bhi sabaq zaruri hai ilm ki har kitaab se pahle thaam lein haath dafatan un kaa puchhnaa kyaa janaab se pahle aap mein bhi nasha kahaan kam hai kaash aate sharaab se pahle tab kahin vo jhalak dikhaaegaa paak ho lein savaab se pahle jaavedaan kaun hai zamaane mein puchh lein ye habaab se pahle ai khudaa bakhsh de hamein jannat dasht sahraa saraab se pahle"
"agar vo khubsurat hai bhali hai hamaari ruuh bhi to sandali hai abhi raftaar pakDegi mohabbat abhi to vo dabe pairon chali hai yaqinan aa gae hain bazm mein vo nahin to is qadar kyon khalbali hai duaa phir ghaib se maan ne hamein di hamaari ik musibat phir Tali hai dikhaavaa hai mahz shaaistagi ye tumhaari jab nazar hi manchali hai abhi munh pher lenaa ai qazaa tu ba-mushkil zindagi phuli phali hai mayassar hai sabhi kuchh zindagi mein kami par aap ki be-had khali hai"
More on Zindagi
View all →"vo mujhe zindagi bataataa hai phir bhalaa kyon nazar churaataa hai main usi ko uThaa rahaa thaa par vo mujhe hi faqat giraataa hai yaad us ko kiyaa yahaan main ne par mujhe vo vahaan bhulaataa hai raaz saare bataa diye main ne kyon magar raaz vo chhupaataa hai log masruf hain mohabbat mein aur vo dil miraa dukhaataa hai"
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
"is ishq-e-junun-khez mein kyaa kyaa nahin hotaa divaana hai jo qais se lailaa nahin hotaa kuchh hashr lahad par abhi barpaa nahin hotaa aae ho to Thahro koi zinda nahin hotaa kyuun kar ye kahun husn kaa nashsha nahin hotaa hotaa to bahut hai magar itnaa nahin hotaa kuchh kahiye to sharmaa ke jhukaa lete hain gardan bhule se bhi ab vaada-e-fardaa nahin hotaa milte hain vo dil surkh hui jaati hai chuTki naazuk hain bahut khun-e-tamannaa nahin hotaa deti hai mazaa mai kaa hamein talkhi-e-tauba jab haath mein paimaana-e-sahbaa nahin hotaa vo hashr ke din kushte ko Thukraa chuke sau-baar kuchh jaan si paD jaati hai zinda nahin hotaa boli ye tamannaa jo ruke vo dar-e-dil par ghar aap kaa hai aap se pardaa nahin hotaa tiron ko jagah dete hain jo siine mein apne un logon ke ai jaan kaleja nahin hotaa sahraa se qadam ghar ki taraf khaak uThaaun kaanTe se judaa paanv kaa chhaalaa nahin hotaa baiThe nazar aate hain vahi teri gali mein jin kaa kahin duniyaa mein Thikaanaa nahin hotaa furqat mein hai kyuun nazaa ki taklif gavaaraa mar jaaein 'riyaaz' aap se itnaa nahin hotaa"
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
"jab tak mizaaj-e-dost mein kuchh barhami rahi goyaa bujhi bujhi si miri zindagi rahi jis par nigaah-e-lutf-e-karam aap ki rahi hairat se har nigaah use dekhti rahi go main rahaa kashaakash-e-dauraan se ham-kanaar lekin mire labon pe hansi khelti rahi laayaa hai ishq ne mujhe aise maqaam par khud-aagahi rahi na khudaa-aagahi rahi josh-e-junun ne manzil-e-maqsud paa liyaa aql-e-salim dekhti hi dekhti rahi sab kuchh mujhe 'khayaal' ki duniyaa mein mil gayaa lekin tumhaare husn-e-nazar ki kami rahi"
"aaina toD de rihaa kar de bevafaa ik yahi vafaa kar de rishta-e-dard toD de dil se rang ko phuul se judaa kar de zindagi-bhar tujhi ko chaahaa hai qarz kuchh to miraa adaa kar de de rahaa hai zakaat-e-husn agar mire haq se zaraa baDhaa kar de muddatein ho gaiin tujhe dekhe ab to milne kaa silsila kar de phir koi gul khile sar-e-mizhgaan phir dar-e-khvaab koi vaa kar de ik sitaare ko bakhsh kar mire khvaab phir use meraa aaina kar de baiThtaa jaa rahaa hai jaan kaa ghubaar ab use mujh se maavaraa kar de ai faqir-e-dayaar-e-laili-jaan mire haq mein bhi kuchh duaa kar de"