SHAWORDS

zindagi ik vabaal hai saahab — Habab Hashmi

HomeHabab HashmiGhazal
"zindagi ik vabaal hai saahab ab to jiinaa muhaal hai saahab aap jo kuchh kahein vahi sach hai be-sabab qil-o-qaal hai saahab aap ki be-rukhi hamaare liye zindagi kaa savaal hai saahab gham-e-duniyaa ho yaa gham-e-uqbaa neamat-e-laa-zavaal hai saahab us ne puchhaa hai aaj meraa mizaaj ab tabiat bahaal hai saahab ham mohabbat ki baat karte hain aap kaa kyaa khayaal hai saahab zakhm ab kaise ham dikhaaein 'habaab' ek TeDhaa savaal hai saahab"
Urdu

زندگی اک وبال ہے صاحب اب تو جینا محال ہے صاحب آپ جو کچھ کہیں وہی سچ ہے بے سبب قیل و قال ہے صاحب آپ کی بے رخی ہمارے لئے زندگی کا سوال ہے صاحب غم دنیا ہو یا غم عقبیٰ نعمت لا زوال ہے صاحب اس نے پوچھا ہے آج میرا مزاج اب طبیعت بحال ہے صاحب ہم محبت کی بات کرتے ہیں آپ کا کیا خیال ہے صاحب زخم اب کیسے ہم دکھائیں حبابؔ ایک ٹیڑھا سوال ہے صاحب

Hindi

ज़िंदगी इक वबाल है साहब अब तो जीना मुहाल है साहब आप जो कुछ कहें वही सच है बे-सबब क़ील-ओ-क़ाल है साहब आप की बे-रुख़ी हमारे लिए ज़िंदगी का सवाल है साहब ग़म-ए-दुनिया हो या ग़म-ए-उक़्बा ने'मत-ए-ला-ज़वाल है साहब उस ने पूछा है आज मेरा मिज़ाज अब तबीअत बहाल है साहब हम मोहब्बत की बात करते हैं आप का क्या ख़याल है साहब ज़ख़्म अब कैसे हम दिखाएँ 'हबाब' एक टेढ़ा सवाल है साहब

zindagī ik vabāl hai sāhab
H
Habab Hashmi
Habab Hashmi
poet18 quotes

More by Habab Hashmi

View all →
Quote
"kise bataaein ki zaad-e-safar gayaa kab kaa rahaa hi kyaa hai gham-e-mo'tabar gayaa kab kaa mujhe bhi dekh ki main ek naqsh-e-hairat huun dikhaa ke aaina aaina-gar gayaa kab kaa talaash sahraa-ba-sahraa jise kiyaa main ne vo meri ruuh ke andar utar gayaa kab kaa duaa rahin-e-asar hai ye baat sach hai magar miri duaa se yaqinan asar gayaa kab kaa na sang-e-mil na jaada na koi manzil-e-shauq akelaa main huun miraa ham-safar gayaa kab kaa koi umiid na khvaahish na aarzu baaqi ki mere jism kaa insaan mar gayaa kab kaa 'habaab' ek tanaavar darakht thaa main bhi pa TuuT TuuT ke aakhir bikhar gayaa kab kaa"
H
Habab Hashmi
Quote
"kahaan vo sim-tanaan hain kahaan vo gul-badanaan aziz-az-dil-o-jaan hai hadis-e-laala-rukhaan ye ham se puchho jalaal-o-jamaal kyaa shai hai hamaare gird rahaa hai hujum-e-maah-vashaan miri nigaah ko hai diid ki kahaan fursat hain yuun to jalve hi jalve fazaa mein raqs-kunaan sukun hai kaar-gah-e-zist mein kahaan yaaro kashaan-kashaan liye phirti hai gardish-e-dauraan yahaan to saans bhi lene mein ehtiyaat hai shart ba-qaul 'mir' ye hai kaar-gaah-e-shisha-garaan 'habaab' apne vatan se to duur huun lekin nigaah mein hain sabhi dostaan-e-zinda-dilaan"
H
Habab Hashmi
Quote
"zarra zarra hai ise mehr-e-munavvar na kaho qatra har haal mein qatra hai samundar na kaho but-e-tannaaz ko ikhlaas kaa paikar na kaho dushman-e-mehr-o-vafaa ko fan-e-aazar na kaho kahin phuTi hai kabhi un se vafaa ki khushbu lab-e-maashuq ko auraaq-e-gul-e-tar na kaho rang aur nasl ki tafriq miTaane ke liye maslahat hai ise behtar use kamtar na kaho gham ki jab aanch lagegi to pighal jaaegaa dil to ik shisha hai is shishe ko patthar na kaho saath taqdir ke tadbir zaruri hai 'habaab' bigDe haalaat ko tum apnaa muqaddar na kaho"
H
Habab Hashmi
Quote
"kyaa huaa rangini-e-subh-o-masaa baaqi nahin apne hi ghar mein vo pahli si fazaa baaqi nahin aarzuon kaa koi bhi silsila baaqi nahin masala ye hai ki koi masala baaqi nahin aa gayaa hai ab savaa neze pe dekho aaftaab apnaa saaya bhi zamin par zer-e-paa baaqi nahin manzilein aavaaz deti hain ki ham hain muntazir qaafile vaalon mein lekin hausle baaqi nahin be-mahaabaa us ke aane kaa natija ye huaa aaina-khaane mein koi aaina baaqi nahin kitni mashshaaqi se us ne saaf do TukDe kiye jism mein ab ek bhi tasma lagaa baaqi nahin ham to chhoD aae the gahre naqsh raahon mein 'habaab' vaae-hasrat ek bhi ab naqsh-e-paa baaqi nahin"
H
Habab Hashmi
Quote
"jalva-gar aaj hai vo mehr-e-munavvar ki tarah bakht apnaa bhi chamaktaa hai sikandar ki tarah us ki raftaar hai bas mauja-e-kausar ki tarah guftugu mein hai khanak shisha-o-saaghar ki tarah kis ko yaaraa-e-sukhan hai use ham bhi dekhein vo mukhaatab hai magar daavar-e-mahshar ki tarah kyaa khabar log kise apnaa khudaa kah deinge laakh but ham ne taraashe to hain aazar ki tarah kis pe is daur-e-pur-aashob mein takiya kiije raahzan bhi to nazar aate hain rahbar ki tarah manzil-e-faqr-o-ghinaa kyaa hai ye ham se puchho zindagi ham ne guzaari hai qalandar ki tarah kitne tufaan hain pinhaan koi dekhe to 'habaab' maujzan hai dil-e-shaair bhi samundar ki tarah"
H
Habab Hashmi

More on Zindagi

View all →
Quote
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"is ishq-e-junun-khez mein kyaa kyaa nahin hotaa divaana hai jo qais se lailaa nahin hotaa kuchh hashr lahad par abhi barpaa nahin hotaa aae ho to Thahro koi zinda nahin hotaa kyuun kar ye kahun husn kaa nashsha nahin hotaa hotaa to bahut hai magar itnaa nahin hotaa kuchh kahiye to sharmaa ke jhukaa lete hain gardan bhule se bhi ab vaada-e-fardaa nahin hotaa milte hain vo dil surkh hui jaati hai chuTki naazuk hain bahut khun-e-tamannaa nahin hotaa deti hai mazaa mai kaa hamein talkhi-e-tauba jab haath mein paimaana-e-sahbaa nahin hotaa vo hashr ke din kushte ko Thukraa chuke sau-baar kuchh jaan si paD jaati hai zinda nahin hotaa boli ye tamannaa jo ruke vo dar-e-dil par ghar aap kaa hai aap se pardaa nahin hotaa tiron ko jagah dete hain jo siine mein apne un logon ke ai jaan kaleja nahin hotaa sahraa se qadam ghar ki taraf khaak uThaaun kaanTe se judaa paanv kaa chhaalaa nahin hotaa baiThe nazar aate hain vahi teri gali mein jin kaa kahin duniyaa mein Thikaanaa nahin hotaa furqat mein hai kyuun nazaa ki taklif gavaaraa mar jaaein 'riyaaz' aap se itnaa nahin hotaa"
Riyaz KhairabadiRiyaz Khairabadi
Quote
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
Farooque AdilFarooque Adil
Quote
"jab tak mizaaj-e-dost mein kuchh barhami rahi goyaa bujhi bujhi si miri zindagi rahi jis par nigaah-e-lutf-e-karam aap ki rahi hairat se har nigaah use dekhti rahi go main rahaa kashaakash-e-dauraan se ham-kanaar lekin mire labon pe hansi khelti rahi laayaa hai ishq ne mujhe aise maqaam par khud-aagahi rahi na khudaa-aagahi rahi josh-e-junun ne manzil-e-maqsud paa liyaa aql-e-salim dekhti hi dekhti rahi sab kuchh mujhe 'khayaal' ki duniyaa mein mil gayaa lekin tumhaare husn-e-nazar ki kami rahi"
Faiz Ul Hasan KhayalFaiz Ul Hasan Khayal
Quote
"aaina toD de rihaa kar de bevafaa ik yahi vafaa kar de rishta-e-dard toD de dil se rang ko phuul se judaa kar de zindagi-bhar tujhi ko chaahaa hai qarz kuchh to miraa adaa kar de de rahaa hai zakaat-e-husn agar mire haq se zaraa baDhaa kar de muddatein ho gaiin tujhe dekhe ab to milne kaa silsila kar de phir koi gul khile sar-e-mizhgaan phir dar-e-khvaab koi vaa kar de ik sitaare ko bakhsh kar mire khvaab phir use meraa aaina kar de baiThtaa jaa rahaa hai jaan kaa ghubaar ab use mujh se maavaraa kar de ai faqir-e-dayaar-e-laili-jaan mire haq mein bhi kuchh duaa kar de"
Ayub KhawarAyub Khawar