Quote
"duniyaa mein gar-che kaam hamein dil-lagi kaa hai apnaa yahaan qiyaam ghaDi do-ghaDi kaa hai kis ne kahaa ki 'ishq tiri chaakari buri jhagDaa to saaraa roz ki is haaziri kaa hai jo she'r kah liye hain inhein ab na chheDiye ab in pe ikhtiyaar kisi aur hi kaa hai us fan mein Thahr Thahr ke karte hain kaam ham jis mein ki saaraa lutf hi barjastagi kaa hai takhliq ke tamaam dar uDkaa diye hain 'arsh' misron pe phir bhi shaaiba saa shaa'iri kaa hai"
