Ghazal
The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy
Featured Poets
All Poets →Trending Ghazals
Meer Hasan
aankhon mein hain haqir jis-tis ke
nazron se gir gae hain ham kis ke
dil kaa hamdam ilaaj mat kar ab
zakhm marham-pazir hain is ke
· · ·
Meer Hasan
aankhon se khuun apne ye kahtaa nahin na jaae
par saath us ke lipTaa huaa dil kahin na jaae
itni to chaahiye tujhe paas-e-shikasta-dil
jo aave tere yaan so vo andohgin na jaae
· · ·
Meer Hasan
dariyaa mein Duub jaave ki yaa chaah mein paDe
ai ishq par na koi tiri raah mein paDe
mat puchh jaur-e-gham se dil-e-naa-tavaan kaa haal
bijli to dekhi hogi kabhi kaah mein paDe
· · ·
Meer Hasan
aaj dil be-qaraar hai kyaa hai
dard hai intizaar hai kyaa hai
jis se jaltaa hai dil jigar vo aah
shoala hai yaa sharaar hai kyaa hai
· · ·
Meer Hasan
nigah se chashm se naaz-o-adaa se
khudaa mahfuz rakkhe har balaa se
kisi ki bevafaai se mujhe kyaa
main apne kaam rakhtaa huun vafaa se
· · ·
Meer Hasan
jald husn-o-jamaal jaataa hai
nahin rahtaa ye haal jaataa hai
jab talak dekhtaa nahin us ko
dil mein kyaa kyaa khayaal jaataa hai
· · ·
Meer Hasan
nazar karo vahdat o kasrat baham shaamil hain shishe mein
agar shisha hai mahfil mein to ye mahfil hai shishe mein
dil-e-naazuk mein aashiq ke nahin hai sakht-jaani ye
fusun-e-fikr se utri hui ik sil hai shishe mein
· · ·
Meer Hasan
ham na tanhaa us gali se jaan ko kho kar uTh gae
saikDon yaan zindagi se haath dho kar uTh gae
dekhne paae na ham ashkon kaa apne kuchh samar
tukhm goyaa yaas ke ye the jo bo kar uTh gae
· · ·
Meer Hasan
duur se baagh-e-jahaan dikhlaa ke divaana kiyaa
muttasil jaane na paayaa main ki viraana kiyaa
dekhte hi mai ko saaghar kaa na kheinchaa intizaar
maare jaldi ke main apnaa haath paimaana kiyaa
· · ·
Meer Hasan
sab ko hai manzur us rukhsaar-e-gul-gun ki taraf
dekhtaa hai kaun meri chashm-e-pur-khun ki taraf
saath naaqa ke khudaa jaane kidhar ram kar gai
gard-e-mahmil bhi na pahunchi aah majnun ki taraf
· · ·
Meer Hasan
us ke kuche se sabaa gar idhar aa jaati hai
dil ke naalon ki mufassal khabar aa jaati hai
garche us zulf se kuchh kaam nahin ab to vale
saanp ke kaaTe ki si ik lahr aa jaati hai
· · ·
Meer Hasan
dil bichhaD kar jo chalaa us but-e-maghrur talak
dekhtaa main bhi gayaa us ke taiin duur talak
jaan jaave ki na jaave rahe sar yaa na rahe
chhoDne ke nahin ham tujh ko to maqdur talak
· · ·
Meer Hasan
diid ki sadd-e-raah hai ye mizha
khaar-e-paa-e-nigaah hai ye mizha
nit taqaatur hi us se rahtaa hai
rag-e-abr-e-siyaah hai ye mizha
· · ·
Meer Hasan
ai gard-baad tarf-e-chaman Tuk guzaar kar
bulbul ke par paDe hain gulon par nisaar kar
aae the aish ke liye so tu na yaan milaa
phir gham-kada ko uTh chale ham apne haar kar
· · ·
Meer Hasan
mil gae apne yaar se ab ki
haz uThaayaa bahaar se ab ki
lakht-e-dil barg-e-dil ki tarz jhaDe
mizha ki shaakh-saar se ab ki
· · ·
Meer Hasan
na milaa vo nifaaq ke maare
kyaa karein ham vifaaq ke maare
jab tak aave hai aave tu ham to
mar chuke ishtiyaaq ke maare
· · ·
Meer Hasan
kaun kartaa hai sar-e-zulf ki baatein dil mein
ji pe kaTti hain ajab tarah ki raatein dil mein
koi tarkib mulaaqaat ki banti nahin aur
vasl ke roz kiyaa karte hain ghaatein dil mein
· · ·
Meer Hasan
vasl kaa aish kahaan par gham-e-hijraan to hai
lab-e-khandaan to nahin dida-e-giryaan to hai
aarzu aur to kuchh ham ko nahin duniyaa mein
haan magar ek tire milne kaa armaan to hai
· · ·
Meer Hasan
na rahaa gul na khaar hi aakhir
ik rahaa husn-e-yaar hi aakhir
ab jo chhuTe bhi ham qafas se to kyaa
ho chuki vaan bahaar hi aakhir
· · ·
Meer Hasan
ne fiqh na mantiq ne hikmat kaa risaala hai
is fann-e-mohabbat kaa nuskha hi niraalaa hai
khatra hai mujhe ab to chup rahne se bhi apne
kyaa hai ki na sozish hai vo aah na naala hai
· · ·
Meer Hasan
jab talak tiir tiraa aave hai nakhchir talak
le ye nakhchir hi aa pahunchaa tire tiir talak
dast-o-paa maare bahut chaah-e-zanakh mein dil ne
haath lekin na gayaa zulf ki zanjir talak
· · ·
Meer Hasan
chashm-e-tar raat mujh ko yaad aai
apni auqaat mujh ko yaad aai
naala-e-dil par aah ki main ne
baat par baat mujh ko yaad aai
· · ·
Meer Hasan
mazaa be-hoshi-e-ulfat kaa hoshyaaron se mat puchho
azizaan khvaab ki lazzat ko be-daaron se mat puchho
hamein kuchh dakhl in baaton mein sunte ho nahin mutlaq
haqiqat bevafaai ki vafaadaaron se mat puchho
· · ·
Meer Hasan
is Dar se main ne zulf ki us ki na baat ki
jaati hai duur duur tak aavaaz raat ki
dekhaa jab aankh khol ke misl-e-habaab tab
maalum kaaenaat hui kaaenaat ki
· · ·







