SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byAbbas Iraqi(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"ghair se rasm-o-raah kyon main ne sunaa diyaa ki yuun us ne pakaD ke haath se mujh ko uThaa diyaa ki yuun mujh ko nikammaa kah diyaa main ne kahaa bhalaa ye kyon aaina le ke haath mein us ne dikhaa diyaa ki yuun murda dilon mein zindagi aati hai kaise aud kar rukh se naqaab-e-zulf ko us ne haTaa diyaa ki yuun pyaar se pesh aa ke jo vajh-e-malaal puchh li mahshar-e-shor se jahaan sar par uThaa diyaa ki yuun dil ko lagi hai Thes gar mujh ko bataa de maajraa qatra-e-ashk aankh se us ne giraa diyaa ki yuun puchhaa hamaaraa haal-e-dil jis ne 'iraaqi' pyaar se apnaa kalaam ek baar paDh ke sunaa diyaa ki yuun"
Abbas IraqiAbbas Iraqi
Quote
"dard-e-dil ke saath hai zakhm-e-jigar kis se kahun ban gai hai aashiqi bhi dard-e-sar kis se kahun mar rahaa huun jaa rahaa huun maut ki aaghosh mein uf khudaa hoti nahin un ko khabar kis se kahun aashiyaan ahbaab ne chhinaa kiyaa be-ghar mujhe haae phir kaaTe hain mere baal-o-par kis se kahun zakhm-e-dil mein phuul hain go rang-o-nikhat kuchh nahin jaise hai jashn-e-charaaghaan be-sharar kis se kahun paa sukun tum ko 'iraaqi' aarzu meri rahi phir rahaa huun ku-ba-ku main dar-ba-dar kis se kahun"
Abbas IraqiAbbas Iraqi