SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byAbdul Aleem Aasi(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"hijaab-e-ganj-e-makhfi mein nihaan the ilaahi ham kahaan aae kahaan the kisi ne bhi na dekhaa ham jahaan the badan the khalq ham maanind-e-jaan the basaan-e-naala sar khinchaa hai baahar ham ahl-e-dard ke dil mein nihaan the nikaalaa karte the baalon ki khaalein kabhi ham bhi khayaal-e-shaairaan the rahe raste mein qadmon se chipat kar magar ham naqsh-e-paa-e-raftagaan the jab us kuche ki haasil thi gadaai khudaa-vand-e-zamin-o-aasmaan the hue zaahir basaan-e-nur-e-baatin dil-e-arbaab dil mein ham nihaan the tire kuche mein jab chalnaa paDaa thaa basaan-e-ashk aankhon se ravaan the kuchh aise nashsha-e-hasti se bahke nahin jaanaa kahaan aae kahaan the saraapaa dard the maanind-e-dil ham maraz the par nasib-e-dostaan the kahaan baat us ki ulfat ki kahaan dil ye dirham ganj-e-makhfi mein nihaan the na dauDe juz sivaae kucha-e-yaar magar ham bhi khayaal-e-dostaan the na kyuun sayyaad vaqt-e-marg aataa ki ham baagh-e-jahaan mein murgh-e-jaan the na hargiz bazm-e-saaqi mein ruke ham magar daur-e-sharaab-e-arghavaan the hamaail the gulu-e-dukht-e-raz mein ke ham dast-e-khayaal-e-maikashaan the rahi raaton ko aksar sair-e-aflaak magar ham tir-e-aah-e-be-kasaan the kahaan Daalaa khalal wasl-e-aduain gajar hi the na ham baang-e-azaan the bahaar-e-baagh hasti thi hamin se nazar se go ba-rang-e-bu nihaan the ayaan aise ke har shai mein nihaan ham nihaan aise ki har shai se ayaan the na thaa maashuq jis mein ghair-e-aashiq ajab khalvat thi vo bhi ham jahaan the uThe ham uTh gayaa pardaa dui kaa hamaare us ke bas ham darmiyaan the chalein zer-e-zamin be baal-o-par aaj kabhi ham taair-e-arsh-aashiyaan the na shukr us kaa kiyaa talvaar khaa kar ki zakhm apne dahaan-e-be zabaan the kuchh aisi thi shab-e-gham ki chaDhaai ki naale shama-e-bazm-e-lamaakaan the gae vo din ke har-dam ye jigar dil lahu ban ban ke aankhon se ravaan the na rahte the Thikaane ek saaat kabhi ham bhi havaas-e-aashiqaan the gulistaan-e-jahaan mein kaun Thahraa jo sarv aae nazar sarv-e-ravaan the khudaa ne un ko pahunchaayaa hadaf tak khadang-e-aah tir-e-be-kamaan the jo us mahfil mein ham jaane bhi paae piyaa-pe aansu aankhon se ravaan the na nikli baat munh se sur-e-shama zabaan aisi thi goyaa be-zabaan the mere pahlu mein kal baiThe the aasi magar jab tak the misl-e-dil tapaan the"
A
Abdul Aleem Aasi
Quote
"kabhi ai haqiqat-e-dilbari simaT aa nigaah-e-majaaz mein ki taDap rahe hain hazaaron dil rah-e-ishq-e-sina-gudaaz mein ye kashish ye jazb ye mo'jiza nigah-e-yatim-e-hijaaz mein ki paDe the saikDon ghaznavi bhi jahaan libaas-e-majaaz mein faqat ek nuqta gunaah kaa sar-e-charkh abr-e-siyah banaa nazar aaiin mujh ko jo vus'atein tiri afv-e-banda-navaaz mein ye nahin ki ham mein nahin hain vo ye nahin ki 'ain hami hain vo magar ik haqiqat-e-maanavi hai nihaan libaas-e-majaaz mein na anaa ghalat thaa na haq-e-ghalat magar itni si ghalati hui ye jo raaz thaa use chaahiye thaa chhupaanaa parda-e-raaz mein jise pi ke piir bane javaan jise pi ke chikh uThe javaan ye vo mai hai saaqi-e-mai-kashaan tiri chashm-e-baada-navaaz mein"
A
Abdul Aleem Aasi
Quote
"husn ki kam na hui garmi-e-baazaar hanuz naqd-e-jaan tak liye phirte hain kharidaar hanuz apni iisaa nafasi key bhi to kuchh sharm karo chashm-e-bimaar ke bimaar hain bimaar hanuz taair-e-jaan qafas-e-tan se to chhuTaa lekin daam-e-gesu mein kisi ke hai giraftaar hanuz ham bhi the roz-e-azal sohbati-e-bazm-e-alast bhulti hi nahin vo lazzat-e-guftaar hanuz saath chhoDaa safar-e-mulk-e-adam mein sab ne lipTi jaati hai magar hasrat-e-didaar hanuz kyaa kharaabaatiyon ko hazrat aasi na mile ke salaamat hai vahi jubba-o-dastaar hunuz"
A
Abdul Aleem Aasi
Quote
"apni hasti se thaa khud main bad-gumaan kal raat ko kuchh na thaa andesha-e-sud-o-ziyaan kal raat ko chaandni barsaat sehn-e-gulsitaan dilkash havaa thiin hujum-e-gham mein ye ranginiyaan kal raat ko vusat-e-takhil ke halqe mein thaa 'arsh-e-barin dekhti thiin chashm-e-dil kaun-o-makaan kal raat ko mil rahe the dast-e-ulfat se mujhe jaam-e-sharaab mehrbaan thaa vo but-e-naa-mehrabaan kal raat ko vo mohabbat ki nigaahein vo mohabbat ke kalaam haan do-baalaa thi adaa-e-dil-sataan kal raat ko har nazar paighaam har andaaz mein raqsaan umiid aur hi thaa us kaa tarz-e-imtihaan kal raat ko iffat-e-ulfat se thi aaina-e-dil ki jilaa varna thaa jazbaat kaa dariyaa ravaan kal raat ko zauq se vo sun rahe the daastaan-e-gham miri ho rahaa thaa inqilaab-e-aasmaan kal raat ko dil ki ik aavaaz thi is bazm mein tafsir-e-gham ho chuke the vo bhi majbur-e-fughaan kal raat ko tafarqe be-aitmaadi dushmani makr-o-fareb thi tiri taa'bir ai hindostaan kal raat ko so chuke the chand hi ghanTon mein arbaab-e-nashaat subh tak thaa saath vo aaraam-e-jaan kal raat ko rang-e-sahbaa chashm-e-nargis mein thaa 'aasi' vaqt-e-subh jaagne se ho rahi thiin khun-fishaan kal raat ko"
A
Abdul Aleem Aasi
Quote
"jabin-e-shauq ko kuchh aur bhi izn-e-saaadat de ki zauq-e-zindagi mahdud sang-e-aastaan tak hai naved-e-rustagaari par abas dil-shaad hotaa hai abhi sad daam ai bulbul-e-qafas se aashiyaan tak hai ye ehsaas-e-taalluq mujh ko miTne bhi nahin detaa ki teri daastaan kaa rabt meri daastaan tak hai taraana chheD vo mutrib ki ruh-e-ishq chaunk uTThe kharosh-e-naala-e-gham kyaa jo soz-e-jism-o-jaan tak hai saraapaa aarzu ban kar kamaal-e-muddaaa ho jaa vo nang-e-ishq hai jo aarzu aah-o-fughaan tak hai zamaana chaahiye takmil-e-zauq-e-lazzat-e-gham ko abhi duniyaa-e-dil mahdud zikr-e-in-o-aan tak hai bayaabaan-e-mohabbat ki navaazish puchhnaa kyaa hai ummid-o-bim ki haalat faqat sud-o-ziyaan tak hai kahaan se laaegi duniyaa hamaari himmatein 'aasi' mohabbat mein qadam apnaa faqat kaun-o-makaan tak hai"
A
Abdul Aleem Aasi
Quote
"us se ummid-e-vafaa ai dil-e-naashaad na kar zindagi apni is armaan mein barbaad na kar gila-e-zaur na kar shikva-e-bedaar na kar zulm sahne kaa mazaa ye hai ki fariyaad na kar khalvat-e-dil hai tire aa ke Thaharne ki jagah teri marzi use barbaad kar aabaad na kar baaghbaan taak mein hai ghaat mein sayyaad hai dekh sair-e-gulshan abhi ai bulbul-e-naashaad na kar kuchh taDapne kaa sisakne kaa mazaa lene de itni taajil mire qatl mein jallaad na kar ab mujhe taaqat-e-parvaaz nahin ai sayyaad rahne de qaid qafas se mujhe aazaad na kar uupri dil se sahi kuchh to tasalli ho jaae saaf inkaar se zaalim mujhe naashaad na kar dar-e-mahbub tak ai bakht mujhe pahunchaa de aur kuchh us se sivaa tu miri imdaad na kar be-dhaDak jaan sabhi ahl-e-vafaa dete hain tu faqat midhat-e-jaabaazi-e-farhaad na kar gham-e-dildaar ne rag rag kaa lahu chuus liyaa mujh se ab chheD tu ai nashtar-e-faulaad na kar laakh dushvaar sahi zabt-e-fughaan ai bulbul magar ik uf bhi to be-marzi-e-sayyaad na kar sadma-e-hijr ke shikvon pe vo bole shab-e-vasl gai guzri hui baaton ko tu ab yaad na kar ai dil us shokh ki tasvir tasavvur mein to khinch kaam maani se na rakh minnat-e-bahzaad na kar 'aasi'-e-be-sar-o-saamaan ko paDaa rahne de apne kuche se uThaa kar use naashaad na kar"
A
Abdul Aleem Aasi
Quote
"vo agar be-hijaab ho jaataa khalq mein inqalaab ho jaataa dil se hoti agar dui maadum zarra bhi aaftaab ho jaataa hashr tak hosh mein na aate 'kalim' vo agar be-naqaab ho jaataa aatish-e-ishq ne jigar phunkaa dil bhi jal kar kabaab ho jaataa tum pilaate jo haath se apne har qadah aaftaab ho jaataa ishq mein lutf hai taDapne kaa ye sukun iztiraab ho jaataa dil lagaanaa savaab thaa lekin ji chhuDaanaa azaab ho jaataa na lagaate buton se dil aasi na zamaana kharaab ho jaataa"
A
Abdul Aleem Aasi
Quote
"usi ke jalve the lekin visaal-e-yaar na thaa main us ke vaaste kis vaqt be-qaraar na thaa koi jahaan mein kyaa aur tarah-daar na thaa tiri tarah mujhe dil par to ikhtiyaar na thaa khiraam-e-jalva ke naqsh-e-qadam the laala-o-gul kuchh aur is ke sivaa mausam-e-bahaar na thaa ghalat hai hukm-e-jahannam kise huaa hogaa ki mujh se baDh ke to koi gunaahgaar na thaa lahad ko khol ke dekho to ab kafan bhi nahin koi libaas na thaa jo ki musta'aar na thaa tu mahv-e-gulban-o-gulzaar ho gayaa 'aasi' tiri nazar mein khayaal-e-jamaal-e-yaar na thaa"
A
Abdul Aleem Aasi