SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"jo musht-e-khaak ho us khaak-daan ki baat karo zamin pe rah ke na tum aasmaan ki baat karo kasi ki taabish-e-rukhsaar kaa kaho qissa kisi ke gesu-e-ambar-fishaan ki baat karo nahin huaa jo tulua aaftaab to filhaal qamar kaa zikr karo kahkashaan ki baat karo rahegaa mashghala-e-yaad-e-raftagaan kab tak guzar rahaa hai jo us kaarvaan ki baat karo yahi jahaan hai hangaama-zaar-e-sud-o-ziyaan yahin ke suud yahin ke ziyaan ki baat karo ab is chaman mein na sayyaad hai na hai gulchin karo to ab sitam-e-baaghbaan ki baat karo"
Abdul Majeed SalikAbdul Majeed Salik
Quote
"mire dil mein hai ki puchhun kabhi murshid-e-mughaan se ki milaa jamaal-e-saaqi ko ye tantana kahaan se vo ye kah rahe hain ham ko tire haal ki khabar kyaa tu uThaa sakaa nigaahein na bataa sakaa zabaan se jo unhein vafaa ki sujhi to na ziist ne vafaa ki abhi aa ke vo na baiThe ki ham uTh gae jahaan se main 'adam ke laala-zaaron mein navaa-gar-e-azal thaa mujhe khinch laai zaalim tiri aarzu kahaan se miri sarnavisht mein thaa vahi daagh-e-naa-muraadi jo milaa miri jabin ko tire sang-e-aastaan se bache bijliyon ki zad se vahi taaeraan-e-daanaa jo kaDak chamak se pahle nikal aae aashiyaan se ye hai maajraa-e-vahshat ki milaa suraagh-e-mahmil na ghubaar-e-kaarvaan se na daraa-e-kaarvaan se nahin kuchh samajh mein aataa ye 'ajib maajraa hai ki zamin ke rahne vaalon ko hidaayat aasmaan se shab-e-gham jo aai 'saalik' miTe baatini andhere miraa dil huaa munavvar tab-o-taab-e-jaavedaan se"
Abdul Majeed SalikAbdul Majeed Salik
Quote
"khirad mein mubtalaa hai 'saalik' divaana barson se nahin aayaa vo mai-khaane mein bebaakaana barson se mayassar jis se aa jaati thi saaqi ki qadam-bosi muqaddar mein nahin vo laghzish-e-mastaana barson se ba-yaad-e-chashm-e-yaar ik naa'ra-e-mastaana ai saaqi ki haav hu se khaali hai tiraa mai-khaana barson se tujhe kuchh 'ishq o ulfat ke sivaa bhi yaad hai ai dil sunaae jaa rahaa hai ek hi afsaana barson se kisi ko to musharraf kar de ai zauq-e-jabin-saai taqaazaa kar rahe hain kaa'ba o but-khaana barson se nai sham'ein jalaao 'aashiqi ki anjuman vaalo ki suunaa hai shabistaan-e-dil-e-parvaana barson se koi jauhar-shanaas aae to jaane qadr 'saalik' ki paDaa hai khaak par ye gauhar-e-yak-daana barson se"
Abdul Majeed SalikAbdul Majeed Salik
Quote
"vo hai hairat-fazaa-e-chashm-e-maani sab nazaaron mein taDap bijli mein us ki iztiraab us kaa sitaaron mein madad ai iztiraab-e-shauq tu jaan-e-tamannaa hai nikal ai sabr teraa kaam kyaa hai be-qaraaron mein ye kis kaa naam le kar jaan di bimar-e-ulfat ne ye kis zaalim kaa charchaa rah gayaa timaar-daaron mein zaraa si chheD bhi kaafi hai mizraab-e-mohabbat ki ki naghme muztarib hain barbat-e-hasti ke taaron mein kahaan kaa shaghl ab to daur hai khun-naaba-e-gham kaa vahi qismat mein thi jo pi chuke agli bahaaron mein"
Abdul Majeed SalikAbdul Majeed Salik
Quote
"charaagh-e-zindagi hogaa farozaan ham nahin honge chaman mein aaegi fasl-e-bahaaraan ham nahin honge javaano ab tumhaare haath mein taqdir-e-aalam hai tumhin hoge farogh-e-bazm-e-imkaan ham nahin honge jiyeinge jo vo dekheinge bahaarein zulf-e-jaanaan ki sanvaare jaaeinge gesu-e-dauraan ham nahin honge hamaare Dubne ke baad ubhreinge nae taare jabin-e-dahr par chhaTkegi afshaan ham nahin honge na thaa apni hi qismat mein tulu-e-mehr kaa jalva sahar ho jaaegi shaam-e-gharibaan ham nahin honge agar maazi munavvar thaa kabhi to ham na the haazir jo mustaqbil kabhi hogaa darakhshaan ham nahin honge hamaare daur mein Daalin khirad ne uljhanein laakhon junun ki mushkilein jab hongi aasaan ham nahin honge kahin ham ko dikhaa do ik kiran hi TimTimaati si ki jis din jagmagaaegaa shabistaan ham nahin honge hamaare baad hi khun-e-shahidaan rang laaegaa yahi surkhi banegi zeb-e-unvaan ham nahin honge"
Abdul Majeed SalikAbdul Majeed Salik
Quote
"ham-nafaso ujaD gaiin mehr-o-vafaa ki bastiyaan puchh rahe hain ahl-e-mehr-o-vafaa ko kyaa huaa ishq hai be-guzaar kyuun husn hai be-niyaaz kyuun meri vafaa kahaan gai un ki jafaa ko kyaa huaa ye to bajaa ki ab vo kaif jaam-e-sharaab mein nahin saaqi-e-mai ke ghamza-e-hosh-rubaa ko kyaa huaa ab nahin jannat mashaam-e-kucha-e-yaar ki shamim nikhat-e-zulf kyaa hui baad-e-sabaa ko kyaa huaa tham gayaa daura-e-hayaat ruk gai nabz-e-kaaenaat ishq-o-junun ki garmi-e-hamhama-zaa ko kyaa huaa dasht-e-junun mein ho gai manzil-e-yaar be-suraagh qaafila kis taraf gayaa baang-e-daraa ko kyaa huaa naala-e-shab hai naa-rasaa aah-e-sahar hai be-asar meraa khudaa kahaan gayaa mere khudaa ko kyaa huaa"
Abdul Majeed SalikAbdul Majeed Salik
Quote
"na mohtasib ki na hur-o-jinaan ki baat karo mai-e-kuhan ki nigaar-e-javaan ki baat karo kisi ki taabish-e-rukhsaar kaa kaho qissa kisi ke gesu-e-ambar-fishaan ki baat karo ziyaa hai shaahid-o-shama-o-sharaab se us ki farogh-e-mahfil-e-ruhaaniyaan ki baat karo jo muddaaa ho kisi qibla-e-muraad kaa zikr to aastaana-e-pir-e-mughaan ki baat karo nahin huaa jo tulua aaftaab to filhaal qamar ki baat karo kahkashaan ki baat karo rahegaa mashghala-e-yaad-e-raftgaan kab tak guzar rahaa hai jo us kaarvaan ki baat karo ye qaid-o-said ke andesha-haa-e-be-jaa kyaa chaman ki fikr karo aashiyaan ki baat karo yahi jahaan hai hangaama-zaar-e-sud-o-ziyaan isi ke suud isi ke ziyaan ki baat karo ab is chaman mein na sayyaad hai na gulchin hai karo to ab sitam-e-baaghbaan ki baat karo khudaa ke zikr kaa mauqa nahin yahaan 'saalik' dayaar-e-hind mein husn-e-butaan ki baat karo"
Abdul Majeed SalikAbdul Majeed Salik
Quote
"gham ke haathon mire dil par jo samaan guzraa hai haadisa aisaa zamaane mein kahaan guzraa hai zindagi kaa hai khulaasa vahi ik lamha-e-shauq jo tiri yaad mein ai jaan-e-jahaan guzraa hai haal-e-dil gham se ye hai jaise kisi sahraa mein abhi ik qaafila-e-nauha-garaan guzraa hai bazm-e-doshin ko karo yaad ki is kaa har rind raunaq-e-baar-gah-e-pir-e-mughaan guzraa hai paa-ba-gul jo the vo aazurda nazar aate hain shaayad is raah se vo sarv-e-ravaan guzraa hai nigraani-e-dil-o-dida hui hai dushvaar koi jab se miri jaanib nigaraan guzraa hai haal-e-dil sun ke vo aazurda hain shaayad un ko is hikaayat pe shikaayat kaa gumaan guzraa hai vo gul-afshaani-e-guftaar kaa paikar 'saalik' aaj kuche se tire ashk-fishaan guzraa hai"
Abdul Majeed SalikAbdul Majeed Salik