SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byAdeeb Damohi(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"naaz raston ke uThaate hue thak jaataa huun main tiri bazm mein aate hue thak jaataa huun phir nae gham ki zarurat hai miri ghazlon ko roz ki baat bataate hue thak jaataa huun zindagi tujh se bhi ab ruThne ko dil chaahe baarhaa tujh ko manaate hue thak jaataa huun lab-kushaai to karo tum bhi mire haq mein kabhi main tumhaaraa huun bataate hue thak jaataa huun qarz kam-zarf se lene mein hai nuqsaan bahut us kaa ehsaan chukaate hue thak jaataa huun ilm hotaa hai haqiqat mein jahaalat kaa javaab main to asbaaq paDhaate hue thak jaataa huun dil kaa vo mail magar saaf nahin hotaa 'adib' haath dushman se milaate hue thak jaataa huun"
A
Adeeb Damohi
Quote
"jo bhi kirdaar se likhi jaae zindagi kyon na vo paDhi jaae daftar-e-gham mein aa ke baiThaa huun aaj koi ghazal kahi jaae zehn kaa bojh kuchh to halkaa ho gard yaadon ki saaf ki jaae zindagi ke hisaab mein gum huun hal paheli ye kaise ki jaae chand lamhe hi khinch lo is se zindagi shaam si Dhali jaae lab ke khulte hi kaan khul jaaein aise lahje mein baat ki jaae be-tahaasha hai bhiiD khud mujh mein ab jagah aur kis ko di jaae dil kaa shisha jo toD kar rakh de baat vo kyon kahi suni jaae jis ko dekho is intizaar mein hai shor uTThe to khaamushi jaae sirf urdu zabaan hai jo 'adib' ras mohabbat kaa gholti jaae"
A
Adeeb Damohi
Quote
"apne takhayyulaat kaa naqsha nikaal ke ghazlein kahin hain khuun pasina nikaal ke ghar ko kiyaa thaa saaf kisi kaa miTaa ke ghar afsos kar rahaa huun main jaalaa nikaal ke tum ko qalandari ki hai dil mein jo aarzu rakhni paDegi dil se ye duniyaa nikaal ke ab us ki asliyat hai zamaana ke saamne chehre se us ne rakh diyaa chehra nikaal ke maujon se laDnaa us ki thi 'aadat isi liye vo aa gayaa kinaare pe rasta nikaal ke dil bujhte bujhte meraa achaanak chamak uThaa ye kaun khinch laayaa ujaalaa nikaal ke aankhein tarerte hue vo dekhte hain ab rakkhaa thaa jin ko apnaa kaleja nikaal ke puchho na be-zamiron se kaise bache 'adib' le aae apne aap ko zinda nikaal ke"
A
Adeeb Damohi
Quote
"chaand suraj na sahi koi sitaaraa hotaa rahnumaai ke liye koi hamaaraa hotaa ham ne kirdaar jo andar se sanvaaraa hotaa phir to baahar bhi bahut khuub nazaaraa hotaa aap jhuTaa hi sahi rishta banaae rakhte Dubne vaale ko tinke kaa sahaaraa hotaa us ne bhejaa hai mohabbat ke liye duniyaa mein kaash is baat ko sinon mein utaaraa hotaa jis mein taa'lim mohabbat ki milaa karti ho kaash aisaa bhi kahin koi idaara hotaa har musibat se nikal saktaa huun tadbiron se kaash taqdir se bachne kaa bhi chaara hotaa sab ki aankhon mein samaa jaati vo tasvir 'adib' chaand ke 'aks mein jo 'aks tumhaaraa hotaa"
A
Adeeb Damohi
Quote
"main nahin baiTh ke ashkon ko bahaane vaalaa main huun tadbir se taqdir banaane vaalaa aise anjaam se ham sab ko sabaq lenaa hai jal gayaa aag mein khud aag lagaane vaalaa zakhm khaa kar bhi parinda na rukaa uDtaa rahaa haath maltaa hi rahaa tiir chalaane vaalaa us ke ehsaan se allaah bachaae mujh ko kitnaa kam-zarf hai ehsaan bataane vaalaa TuTnaa lafz hi mujh par hai qayaamat jaisaa main huun miTTi ke khilaunon ko banaane vaalaa kaise jiitaa hai zaraa soch ke dekho to 'adib' apne ehsaas ko siine mein dabaane vaalaa"
A
Adeeb Damohi
Quote
"surkh aankhein hain zard manzar hai zindagi ret kaa samundar hai surat-e-haal puchh lo ham se dil hai ghamgin aankh bhi tar hai kaise manzil na ho qarib mire jab miraa hi shuur rahbar hai main ye khud bhi nahin samajh paayaa qarz kis ki nazar kaa mujh par hai main andheron mein kho nahin saktaa ishq se dil miraa munavvar hai ru-ba-ru aaine ke mat jaanaa haath mein aaine ke patthar hai ek tufaan hai us ki khaamoshi zindagi us ki ik samundar hai rab salaamat rakhe khudi meri ye imaarat bhi aaj jarjar hai jis kaa hotaa nahin dilon mein qiyaam aadmi vo 'adib' be-ghar hai"
A
Adeeb Damohi
Quote
"mohabbat nae rang dikhlaa rahi hai ghamon se khushi ki mahak aa rahi hai mohabbat unhein ab miri bhaa rahi hai ki achchhe dinon ki khabar aa rahi hai mohabbat hi ban kar ba-rang-e-‘ibaadat qarib-e-khudaa ham ko pahunchaa rahi hai mohabbat zarurat hai duniyaa ki lekin vo meri mohabbat ko Thukraa rahi hai koi daur ho dosto saari duniyaa hamaari vafaa se shanaasaa rahi hai rah-e-‘aashiqi mein baDi muddaton tak miri zindagi bhi tamaasha rahi hai hamein kah diyaa bevafaa kaise tum ne ye duniyaa hamaari qasam khaa rahi hai mariz-e-mohabbat hai kis ke havaale na tum aa rahe ho na maut aa rahi hai miri khasta haalat pe sau baar afsos 'adib' aap ko bhi hansi aa rahi hai"
A
Adeeb Damohi
Quote
"tire ehsaas ko chhu kar lagaa hai tu mere paas hai aksar lagaa hai havaaein tak mo'attar hain vahaan ki jahaan bhi 'ishq kaa mimbar lagaa hai qaraar aaegaa mere jism ko ab miraa kaanTon-bharaa bistar lagaa hai miTaa Daalaa khud apne aap ko tab mohabbat mein miraa number lagaa hai ahaata kar nahin paayaa main us kaa vo meri soch ke baahar lagaa hai du'aaein baanTtaa hai har kisi ko shahanshaahon se vo baDh kar lagaa hai 'adib' aa jaae na khushiyon kaa suraj shab-e-gham ko isi kaa Dar lagaa hai"
A
Adeeb Damohi
Quote
"khushi ko paane kaa nuskha badal ke aae hain ham apne dil ki tamanna badal ke aae hain hamaari khubiyaan kaise unhein nazar aaein ki vo nazar nahin chashma badal ke aae hain rivaayaton ko banaate nahin hain husn-e-ghazal ke ham ghazal kaa maqaala badal ke aae hain javaaharaat ke daane hain taar sone ke nae shikaari hain pinjra badal ke aae hain vo muflison ki thi basti isi liye shaayad khilaune vaale bhi rasta badal ke aae hain havaaein apne Thikaanon ko lauT jaaeingi ham apni khiDki kaa parda badal ke aae hain 'adib' farq nahin dost aur dushman mein ki dost bhi to mukhauTaa badal ke aae hain"
A
Adeeb Damohi