SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"sadaaqat ki yahaan izzat nahin hai vafaadaari ki kuchh qimat nahin hai jahaan se vo gayaa thaa main vahin huun magar jiine mein vo lazzat nahin hai zabaan pe talkhiyaan aankhon mein ghussa magar kirdaar mein khissat nahin hai vaqaar apnaa nahin kotaah lekin tire rutbe si bhi qaamat nahin hai rahe miTTi ki khushbu yaad har-dam to saansein rokti ghurbat nahin hai jahaalat mein pali duniyaa mein shaayad taaqqul se baDi neamat nahin hai chalaa chal sar uThaa kar yaar 'naaqid' lagi ab tak koi tohmat nahin hai"
Aditya Pant NaaqidAditya Pant Naaqid
Quote
"aasuda dil mein uThne lagaa iztiraab kyaa is zindagi mein ho gayaa shaamil shitaab kyaa qaasid ke haath apnaa ye paighaam saunp kar phir sochte raho ki ab aae javaab kyaa us kaa hai fazl zarra jo chamke ba-saan-e-zar hai varna kyaa ye maah bhi aur aaftaab kyaa hai niind se koi bhi taalluq nahin miraa har dam ye chashm-e-vaa mein ubhartaa hai khvaab kyaa kyaa fath-yaab ho sakaa hai koi tegh se phir bhi hai darmiyaan-e-mamaalik ziraab kyaa hogaa jo e'tibaar taammul rahegaa kyaa kaamil supurdagi ho to sharm-o-hijaab kyaa mumkin kahaan ho haath mein 'naaqid' tire quraan kaafir bataa hai saamne tere kitaab kyaa"
Aditya Pant NaaqidAditya Pant Naaqid
Quote
"dekhein ab kyaa dil-jalon se bol bole jaaeinge laag hi se phuuT kyaa dil ke phaphole jaaeinge hai yahaan paimaana maal-o-naqd hi lekin vahaan zarf ki mizaan par hi log tole jaaeinge mashal-e-maazi dikhaa sakti hai mustaqbil ki raah hai ye kunji jis se saare qufl khole jaaeinge yaad rakhne ke liye lamhe guzishta vaqt ke ab kitaab-e-maazi ke panne TaTole jaaeinge tauba tauba kis qadar munh se Tapakti hai shakar is zabaan se miThe miThe zahr ghole jaaeinge ruuh ki bosidgi ko dafn karne ke liye dekhiyegaa badle kis kis tan ke chole jaaeinge hai saraahaa khuub ye paivand-kaari kaa hunar rishta-dar-rishta sabhi ab pech khole jaaeinge peing baDhti jaae amraai mein jyuun jyuun din chaDhe shaam hote tak utaare sab hinDole jaaeinge lijiye divaan-e-'naaqid' aap hi ke naam hai ham kahaan in be-tuke ashaar ko le jaaeinge"
Aditya Pant NaaqidAditya Pant Naaqid
Quote
"hai kyaa khizaan mein mumkin sahraa mein baagh nikle zulmat ko jo miTaae aisaa charaagh nikle shor-e-safir-e-bulbul se gunjtaa thaa kal tak kyuun aaj mere ghar mein rone ko zaagh nikle daagh-e-qamar se aakhir jab aashnaa huaa main jitne raqib paae un mein na daagh nikle Dartaa thaa main na aae vaqt-e-firaaq mujh par kuchh vasl se tire ab haul-e-dimaagh nikle ho justuju mein jis ki hai vo mazaar kaisaa kyaa apni qabr kaa tum lene suraagh nikle main thak chukaa huun 'naaqid' targhib-e-zindagi se chaahun ufuq se aakhir roz-e-faraagh nikle"
Aditya Pant NaaqidAditya Pant Naaqid
Quote
"apnon ki TuTti hui tasvir dekh li aghyaar ki bhi chaah mein taasir dekh li aayaa nahin hai hosh nigaahon ko ab talak bikhre hue jo khvaabon ki taabir dekh li kyaa maangtaa main teri pashemaani kaa subut aankhon se bahte ashkon mein taazir dekh li ab tak dikhe parinde asir-e-qafas magar sayyaad ke bhi haath mein zanjir dekh li thaa jis ke pech-o-kham pe ye saaraa jahaan fidaa lo ham ne bhi vo zulf-e-girah-gir dekh li 'naaqid' hai be-zabaan khaDaa dar pe naama-bar chehre pe us ke aap ki tahrir dekh li"
Aditya Pant NaaqidAditya Pant Naaqid
Quote
"vo ku-e-yaar ko jaate hain be-niyaaz nahin hain sang-e-dil hi vahaan koi dil-navaaz nahin hai mukhtasar saa hi qissa hayaat kaa logo kisi ke hisse ki to umr kuchh daraaz nahin dikhaae raah magar kaisaa aaftaab hai vo ho jis ko mashriq-o-maghrib mein imtiyaaz nahin buri nahin hai khud-aaraai par ye Thiik nahin ki samjho khud saa jahaan mein hai sarfaraaz nahin ye aabshaar se maghmum chashm se jo gire kareinge kyaa kaho patthar kaa dil gudaaz nahin kareinge sajde jahaan par dikhe tiraa paikar hai but-parasti ko darkaar jaa-namaaz nahin ghurub-o-sharq hain taqdir-khur magar mujh ko nasheb hi nazar aataa hai ab faraaz nahin nikaal naqs magar itnaa yaad rakh 'naaqid' hai nukta-chini se mujh ko bhi ehtiraaz nahin"
Aditya Pant NaaqidAditya Pant Naaqid
Quote
"baazu-e-naa-tavaan mein jumbish to dekhiye sham-e-fasurda se uThi sozish to dekhiye apne hi daaeron mein sabhi dauDte phirein is daur ki riyaazat-e-varzish to dekhiye mazlum par hi lagte hon ilzaam jab yahaan is dahr mein fuzul ki pursish to dekhiye barson se gunge-pan ki hamein milti rahi daad ham par hukumaton ki navaazish to dekhiye aasudgi jahaan pe numaayaan thi ab talak barpaa hai kis qadar vahaan shorish to dekhiye bhaTke jo apni raah se saalaar-e-qaafila saabit-qadam hujum ki larzish to dekhiye maangi nahin thi mahr-e-tavajjoh kabhi magar be-vajh ye sazaa ye nikohish to dekhiye le kar zamin ke TukDe ye 'dushyant' se udhaar khud apnaa ghar banaane ki koshish to dekhiye"
Aditya Pant NaaqidAditya Pant Naaqid
Quote
"sunaa tu ai baaghbaan haal-e-tabiat-e-gul na jaane kyon aaj maatami hai navaa-e-bulbul ye Thiik hai aadmi mein thoDaa rahe tavakkul magar usi ke sahaare zinda rahe na bilkul charaagh kab tak yahaan jalegaa ye kaun jaane havaa ki raftaar tai karegi jale ki ho gul main jaaun kyunkar nikal ke sehra se raah-e-gulshan na aalam-e-rang bhaae mujh ko na nikhat-e-gul tulua hogi sahar dahaan-e-falak se aakhir vagarna taariki hi azal se rahi tasalsul ye baais-e-be-rukhi jo 'naaqid' samajh mein aaya vo khair-andeshi hi thi maanaa jise taghaaful"
Aditya Pant NaaqidAditya Pant Naaqid
Quote
"lab-e-khaamosh mein pinhaan hai koi raaz nahin zindagi saaz hai jis mein koi aavaaz nahin kyuun na aaghosh-e-takhaiyul mein main uDtaa hi rahun dar-haqiqat hai mujhe khvaahish-e-parvaaz nahin mere kirdaar mein hai neki badi par bhaari kyuun vo kar paae badi ko nazar-andaaz nahin ye taalluq jo kiyaa qata huaa qissa tamaam ye nai daastaan kaa nuqta-e-aaghaaz nahin ru-ba-ru aaine ke jaaun to dikhtaa hai mujhe ajnabi shakhs jo ham-shakl-o-ham-aavaaz nahin huun to hargiz nahin paaband-e-qavaaed 'naaqid' apni aavaargi pe mujh ko magar naaz nahin"
Aditya Pant NaaqidAditya Pant Naaqid