Quote
"har samt gunjtaa huaa aavaaza hai miraa khush huun bahut ki zakhm abhi taaza hai miraa Thokar lagaataa huun to nikalte hain raaste divaar jis ko kahte ho darvaaza hai miraa kuchh bhi nahin hai mere liye teri kaaenaat aur hai bhi kuchh agar to bas andaaza hai miraa aage nikal gayaa huun main apne vujud se bikhraa huaa fazaaon mein shiraaza hai miraa nashsha utar rahaa hai to ab sochtaa huun main ye zindagi nahin hai ye khamyaaza hai miraa"







