SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byAfzaal Firdaus(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"kar bhi luun agar khvaab ki taabir koi aur siine mein utar jaaegi shamshir koi aur ab ashk tire rok nahin paaeinge mujh ko ab Daal mire paanv mein zanjir koi aur main shab se nahin din ki halaakat se Daraa huun ab mere liye bhejnaa tanvir koi aur ab teri mohabbat se bhi kuchh kaam na hogaa ab DhunD mare vaaste iksir koi aur ai mere musavvir nahin ye main to nahin huun ye tu ne banaa Daali hai tasvir koi aur is baar mujhe ishq kaa aazaar nahin hai is baar mohabbat mein hai dil-gir koi aur"
Afzaal FirdausAfzaal Firdaus
Quote
"Duub gayaa hai ek sitaara aankhon mein Thahar gayaa hai naqsh tumhaaraa aankhon mein pathraai hain aankhein gham ki shiddat se rukaa huaa hai mausam saaraa aankhon mein vo logon ke saath hansi mein shaamil thi phail gayaa lekin maskaaraa aankhon mein main ne us ki aankhon mein chehra dekhaa us ne apnaa ruup sanvaaraa aankhon mein bahut dinon se ham ko niind nahin aai tum ne kaisaa khvaab utaaraa aankhon mein chaaron jaanib paani ki pahnaai hai kahin nahin hai koi kinaaraa aankhon mein liye hue phirtaa huun ek zamaane se tere chehre kaa lashkaaraa aankhon mein"
Afzaal FirdausAfzaal Firdaus
Quote
"main khaak mein mile hue gulaab dekhtaa rahaa aur aane vaale mausamon ke khvaab dekhtaa rahaa kisi ne mujh se kah diyaa thaa zindagi pe ghaur kar main shaakh par khilaa huaa gulaab dekhtaa rahaa khaDaa thaa main samundaron ko ok mein liye hue magar ye shakhs ajiib thaa saraab dekhtaa rahaa vo us kaa mujh ko dekhnaa bhi ik tilism thaa magar main aur ik jahaan pas-e-naqaab dekhtaa rahaa vo gahri niind soi thi main niind se laDaa huaa so raat bhar sahaab o maahtaab dekhtaa rahaa siyaah raat mein rafiq dushmanon se jaa mile main hauslon ki TuTti tanaab dekhtaa rahaa"
Afzaal FirdausAfzaal Firdaus
Quote
"jab apnon se duur paraae des mein rahnaa paDtaa hai saan-gumaan na hon jis kaa vo dukh bhi sahnaa paDtaa hai khud ko maarnaa paDtaa hai is aaTe daal ke chakkar mein do kauDi ke aadmi ko bhi saahab kahnaa paDtaa hai banjar hoti jaati ho jab pal pal yaadon ki vaadi dariyaa ban kar apni hi aaankhon se bahnaa paDtaa hai mahrumi ki chaadar oDhe tanhaa qaidi ki maanind khaalam-khaali divaaron ke andar rahnaa paDtaa hai baatein karni paDti hain divaar pe baiThe kavve se is chiDiyaa se saare din kaa qissa kahnaa paDtaa hai"
Afzaal FirdausAfzaal Firdaus
Quote
"is tarah sataayaa hai pareshaan kiyaa hai goyaa ki mohabbat nahin ehsaan kiyaa hai tujh ko hi nahin mujh ko bhi hairaan kiyaa hai is dil ne baDaa ham ko pareshaan kiyaa hai sochaa thaa ki tum dusron jaise nahin hoge tum ne bhi vahi kaam miri jaan kiyaa hai har roz sajaate hain tiri yaad ke ghunche aankhon ko tire hijr mein gul-daan kiyaa hai mushkil thaa bahut mere liye tark-e-taalluq ye kaam bhi tum ne miraa aasaan kiyaa hai ye dil kaa nagar aise to viraan thaa kab se laa-raib ise aap ne sunsaan kiyaa hai ye izzat-o-naamus sabhi us ki ataa hai vo jis ne gaDariye ko bhi sultaan kiyaa hai"
Afzaal FirdausAfzaal Firdaus