SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byAfzal Hazarvi(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"hairat kaa imkaan banaataa rahtaa huun kuchh manzar viraan banaataa rahtaa huun koi to in mein phuul sajaane aaegaa saaraa din guldaan banaataa rahtaa huun patthar jaise khvaab sajaaun aankhon mein miTTi ke armaan banaataa rahtaa huun ik adnaa saa shaa'ir huun main laakhon mein apni ik pahchaan banaataa rahtaa huun ban jaati hai jab us ki tasvir to phir honTon par muskaan banaataa rahtaa huun gaanv ki jab jab yaad sataati hai 'afzal' khet shajar dahqaan banaataa rahtaa huun"
Afzal HazarviAfzal Hazarvi
Quote
"yaadon ki jaagir na hoti to main yaaro kyaa kartaa gar us ki tasvir na hoti to main yaaro kyaa kartaa us ke dam se raanjhaa thaa main vo hi miri pahchaan bani vo gar meri hiir na hoti to main yaaro kyaa kartaa qaail karnaa kaam thaa mushkil par vo qaail ho hi gayaa lahje mein taasir na hoti to main yaaro kyaa kartaa meraa kaam tamaam thaa varna us ke nek iraade se haathon mein shamshir na hoti to main yaaro kyaa kartaa andar se main TuTaa-phuTaa ek khanDar viraana thaa zaahir jo taamir na hoti to main yaaro kyaa kartaa zulmat-e-shab mein raushan 'afzal' ik nanhaa saa jugnu thaa itni bhi tanvir na hoti to main yaaro kyaa kartaa"
Afzal HazarviAfzal Hazarvi