SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byAfzal Parvez(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"khush-qismat hain vo jo gaanv mein lambi taan ke sote hain ham to shahr ke shor mein shab-bhar apni jaan ko rote hain kis kis dard ko apnaaein aur kis kis zakhm ko sahlaaein dekhti aankhon qadam qadam par kai havaadis hote hain dil ki dilli luT gai is ke aivaanon mein ghadar machi khuddaari ke mughal shahzaade shahr mein Thaliyaa Dhote hain khush-lahnon ke liye gulshan bhi kunj-e-qafas ban jaae to jabr ke gun gaate hain yaa naghmon mein dard samote hain shaam ne din kaa saath chhuDaayaa raat ne dasht mein aan liyaa aise safar mein rahgiron par saans bhi dubhar hote hain main to apni jaan pe khel ke pyaar ki baazi jiit gayaa qaatil haar gae jo ab tak khuun ke chhinTe dhote hain dil ke ziyaan kaa sabab kyaa puchho un tufaanon ko dekho jin ke bhanvar saahil ke safinon ko bhi aan Dubote hain 'parvez' aaj nahin milti hai khum ke bhaav talchhaT bhi is par turra ye hai ki saaqi nashtar-e-taan chubhote hain"
Afzal ParvezAfzal Parvez
Quote
"main ne dil-e-be-taab pe jo jabr kiyaa hai khuun ho ke meri aankhon se ab chhuT bahaa hai jis ko kisi aazar ne hai patthar se taraashaa ab shumi-e-taqdir se vo meraa khudaa hai us ke sitam-o-jaur kaa ehsaas kise ho us shokh ki surat hi baDi hosh-rubaa hai mujh bekas-o-aavaara ki phir aa gai shaamat suntaa huun ki basti mein kahin qatl huaa hai tum un ko sazaa kyuun nahin dete ki jinhon ne mujrim kaa zamir aur sukun luuT liyaa hai ab daavaa-e-insaaf ki auqaat khulegi khud shaikh mire shahr kaa mukhtaar banaa hai"
Afzal ParvezAfzal Parvez
Quote
"lailaa sar-ba-garebaan hai majnun saa aashiq-e-zaar kahaan hiir duhaai deti hai raanjhe saa yaar-e-ghaar kahaan apnaa khun-e-jigar piite hain tujh ko duaaein dete hain tere maikhaane mein saaqi ham saa baada-khvaar kahaan hijr kaa zulm hamaari qismat vasl ki daulat ghair kaa maal zakhm kise aur marham kis ko dard kahaan hai qaraar kahaan hijr kaa zulm hamaari qismat vasl ki daulat ghair kaa maal zakhm kise aur marham kis ko dard kahaan hai qaraar kahaan pir-e-mughaan kyaa kam thaa mohtasibon kaa bhi ab dakhl huaa miinaa par kyaa guzregi sar phoDeinge mai-khvaar kahaan sunte hain ki chaman mahke bulbul chahke ban lahke hain apne nasheman tak jo na pahunchi aisi bahaar bahaar kahaan kunj-e-mehan hai daar-o-rasan hai zulmat hai tanhaai hai kaun si jaa hai ham-safaro le aai talaash-e-yaar kahaan gul-chinon ko aaj chaman-bandi kaa daavaa hai 'parvez' ab dekhein luT kar biktaa hai kali kali kaa singhaar kahaan"
Afzal ParvezAfzal Parvez
Quote
"gard uDe yaa koi aandhi hi chale ye umas to kisi unvaan Tale ang par zakhm liye khaak male aan baiThe hain tire mahal tale apnaa ghar shahr-e-khamoshaan saa hai kaun aaegaa yahaan shaam Dhale dil-e-parvaana pe kyaa guzregi jab talak dhuup bujhe shama jale ruup ki jot hai kaalaa jaadu ik chhalaavaa ki farishton ko chhale daldalon mein bhi kanval khilte hain nakhl-e-ummid bahar-taur bhale apne hi rain-baseron ki taraf lauT aae hain sabhi shaam Dhale mai-kade mein to nasha baTtaa hai kaun yaan jaanche bure aur bhale raushni dekh ke chundhiyaa jaaein jo andheron mein baDhe aur pale khaar to saif banegaa gul ki ye bhale hi kisi gulchin ko khale raat baaqi hai abhi to 'parvez' baada sar-josh rahe daur chale"
Afzal ParvezAfzal Parvez
Quote
"vaqt ke tufaani saagar mein krodh kapaT ke rele hain lekin aas ke maanjhi har lahza maujon se khele hain pag pag kaanTe manzilon sahraa koson jangal bele hain safar-e-zist kaThin hai yaaro raah mein laakh jhamele hain alakh jamaae dhuni ramaae dhyaan lagaae rahte hain pyaar hamaaraa maslak hai ham prem-guru ke chele hain raahzanon se ghabraa kar sab saathi sangat chhoD gae aur pur-khauf Dagar par garm-e-safar ham aaj akele hain husn ki daulat us ki hai aur vasl ki ishrat bhi us ki jis ne pal pal hijr mein kaaTaa jaur sahe dukh jhele hain baazi-gaah-e-daar-o-rasan mein mai-kada-e-fikr-o-fan mein ham rindon se raunaq hai ham durveshon se mele hain jivan ki komal ablaa kaa svayamvar rachne vaalaa hai aao salaa-e-aam hai sab ko jitne bhi albele hain"
Afzal ParvezAfzal Parvez