SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byAhmad Mahfuz(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"kyaa hijr mein taskin ki surat nahin rahti rahti hai magar teri badaulat nahin rahti ab jaise koi kaam hi ruktaa nahin apnaa ab jaise kisi shai ki zarurat nahin rahti duniyaa se guzar jaate hain duniyaa ki talab mein duniyaa se hamein koi shikaayat nahin rahti vo mauj-e-sad-aavaaz bulaati to hai ab bhi mujh ko hi udhar jaane ki fursat nahin rahti naagin ki tarah raat simaT aati hai dil mein jab saamne ik chaand si surat nahin rahti kahte the bahut dil na lagaa kaar-e-havas mein le dekh ki is shauq mein izzat nahin rahti"
Ahmad MahfuzAhmad Mahfuz
Quote
"past-o-buland saaraa hamvaar kar ke lauTe is baar ham use hi sarshaar kar ke lauTe ab manzil-e-junun ko sar kar ke dekhnaa kyaa nikle to the hazaaron do-chaar kar ke lauTe us arsa-e-havaa kaa ab tak hai bojh dil par achchhaa huaa jo khud ko bezaar karke lauTe kab tak na saaf karte un se hisaab-e-hijraan us baar thaa jo baaqi is baar kar ke lauTe kyaa muft hai ye saudaa jo chaahe us gali mein jaan naqd le ke jaae didaar kar ke lauTe jaate hain log aise thak-haar kar jahaan se ghar apne jaise koi baazaar kar ke lauTe"
Ahmad MahfuzAhmad Mahfuz
Quote
"vahi dil ko hai yaar-e-jaani ke saath jo rishta hai dariyaa kaa paani ke saath hamin rah gae be-zabaani ke saath hue khatm sab us kahaani ke saath baDhaa aur girye se soz-e-darun bhaDakti gai aag paani ke saath kahin ye zamaane ki rau to nahin subuk-sair kyaa hai giraani ke saath har ik aan us kaa alag rang hai use dekhiye kis nishaani ke saath chalo mauj vo bhi kinaare lagi ulajhti bahut thi ravaani ke saath bhiDaa kar to dekho maza aaegaa kisi din nai ko puraani ke saath"
Ahmad MahfuzAhmad Mahfuz
Quote
"khabar sunte to hain us sang-dil ke dil mein aane ki khudaa maalum kyaa surat bane aaina-khaane ki na jaane khaak ho jaane ki lazzat kab mayassar ho abhi to ek muddat se hai khidmat khaak uDaane ki zamin-o-aasmaan kuchh hon to ho pasti bulandi bhi yahaan to roz kaifiyyat badalti hai zamaane ki sahaaraa ishq-e-zor-aavar ne khud hi de diyaa varna kahaan ham aur kahaan taaqat ye koh-e-gham uThaane ki fanaa-aahang shaayad saaz-e-hasti se baraamad ho ki aati hai sadaa taar-e-nafas se jhanjhanaane ki"
Ahmad MahfuzAhmad Mahfuz
Quote
"yaqinan aap ko dhokaa huaa hai vagarna kyaa kabhi aisaa huaa hai ye kis ke husn kaa charchaa huaa hai ki saaraa shahr divaana huaa hai charaagh-e-dard raushan ho udhar bhi idhar hi zakhm kyon taaza huaa hai hamein bhi khaak honaa hai vahaan tak jahaan tak aasmaan phailaa huaa hai main jis se khud kinaara kar chukaa thaa muqaabil phir vahi dariyaa huaa hai kaji hai khud hamaare dekhne mein ki rukh us kaa hi kuchh badlaa huaa hai abhi kyaa jaan ki baazi lagaaein abhi nuqsaan hi kitnaa huaa hai"
Ahmad MahfuzAhmad Mahfuz
Quote
"rah gai thi yahi ik baat bataane ke liye ham to aae the yahaan lauT ke jaane ke liye shauq ne din vo dikhaae hain ki dil jaantaa hai kah diyaa thaa kabhi didaar dikhaane ke liye ab to itnaa bhi nahin yaad ki vo surat-e-khvaab yaad rakhne ke liye thi ki bhulaane ke liye dam-e-khun-rez bhi jaati nahin shokhi un ki mujh se hi kahte hain talvaar uThaane ke liye roz ik rang ubhartaa hai sar-e-safha-e-dard roz ik naqsh banaataa huun miTaane ke liye bahr-e-pur-shor mein ab khush huun ki ik mauj-e-sukut aane vaali hai mujhe paar lagaane ke liye"
Ahmad MahfuzAhmad Mahfuz
Quote
"kyaa karte kahin aur Thikaana hi nahin thaa varna hamein is kuche mein aanaa hi nahin thaa hangaama-e-vahshat thaa jahaan jashn-e-junun mein dekhaa to vahaan koi divaana hi nahin thaa vo dil ki lagi hai ki bujhaae nahin bujhti kal raat gale us ko lagaanaa hi nahin thaa miltaa hai to ab aankh milaa bhi nahin paataa vo khvaab use yaad dilaanaa hi nahin thaa jab dekho usi yaad ke narghe mein paDe ho ye haal agar hai to bhulaanaa hi nahin thaa taariki-e-sahraa mein Daraati hai ik aavaaz yuun dil ko sar-e-shaam bujhaanaa hi nahin thaa vo shakhs jise soch ke aankhon mein gai raat 'mahfuz' use dhyaan mein laanaa hi nahin thaa"
Ahmad MahfuzAhmad Mahfuz
Quote
"kyaa dil kaa ye ilaaqa khaali paDaa rahegaa ham tum na honge to bhi mela lagaa rahegaa zakhmon ko ashk-e-khun se sairaab kar rahaa huun ab aur bhi tumhaaraa chehra khilaa rahegaa band-e-qabaa kaa khulnaa mushkil bahut hai lekin lekin khulaa to phir ye uqda khulaa rahegaa sargarmi-e-havaa ko dekhaa hai paas dil ke is aag se ye jangal kab tak bachaa rahegaa khulti nahin hai yaa rab kyuun niind raftagaan ki kyaa hashr tak ye aalam soyaa paDaa rahegaa yaksar hamaare baazu shal ho gae hain yaa-rab aakhir daraaz kab tak dast-e-duaa rahegaa"
Ahmad MahfuzAhmad Mahfuz