SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byAhmad Ziya(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"har qadam par mere armaanon kaa khuun zindagi teraa kahaan tak saath duun aandhiyon ki zad mein hai meraa vajud aur main divaar ki tasvir huun kaun ho tum aur kahaan se aae ho sochtaa huun apne saae se kahun rang ki duniyaa se main uktaa gayaa phul-rut mein zahr pi kar so rahun chaahtaa huun tum ko khushbu ki tarah ab ki main aavaaz hi aavaaz huun ab koi meraa nahin mere sivaa aaj apne-aap dil ko toD luun main ki paighambar nahin 'ahmad-ziyaa' kaun saa paighaam is duniyaa ko duun"
Ahmad ZiyaAhmad Ziya
Quote
"fikr ke saare dhaage TuuTe zehn bhi ab maazur huaa ab ke bahaar ye kaisi aai kaisaa ye dastur huaa kal-purzon kaa ruh-e-ravaan ye aur vo sarmaae ki jonk lekin us ki nazron mein ye dharti kaa naasur huaa din ki safedi teri nazar mein raat ki kaali chaadar hai raat kaa khuni andhiyaaraa bhi teri nazar mein nuur huaa jab se dekhaa hai kheton mein main ne zaalim dhuup kaa ruup tab se teri zulf kaa saaya duur bahut hi duur huaa zulm ko us ne zulm kahaa hai jabr ko us ne jabr kahaa yaani 'ziyaa' ab 'ziyaa' nahin hai vaqt kaa vo mansur huaa"
Ahmad ZiyaAhmad Ziya
Quote
"pyaar kiyaa thaa tum se main ne ab ehsaan jataanaa kyaa khvaab huiin vo pyaar ki baatein baaton ko dohraanaa kyaa raah-e-vafaa hai ham-safro pur-azm raho haan tez chalo chaar qadam pe manzil hai ab raah se vaapas jaanaa kyaa sang-zani o taana-zani is daur kaa sheva hai yaaro apne dil mein khoT nahin jab duniyaa se ghabraanaa kyaa mai-khaane mein daur chale main ik ik buund ko tarsaa huun saaqi bhi hai meri nazar mein shisha kyaa paimaana kyaa mere dil ko toD ke aakhir kyaa khoyaa kyaa paayaa hai shahr-e-sanam mein rahne vaalo shishe se Takraanaa kyaa basti basti parbat parbat vahshat ki hai dhuup 'ziyaa' chaaron jaanib viraani hai dil kaa ik viraana kyaa"
Ahmad ZiyaAhmad Ziya