SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byAiman Amritsari(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"hijaab vaalon se vo be-hijaab ho na sakaa vo saamne thaa magar be-naqaab ho na sakaa vajud-e-khaak kaa insaan khitaab ho na sakaa ye zarra ghair-e-karam aaftaab ho na sakaa karam vo tuur pe ik be-niyaaz-e-jalva par vo be-niyaazi thi jis kaa javaab ho na sakaa uThaa ke parda chhupaa kasrat-e-tajalli mein vo be-naqaab huaa be-naqaab ho na sakaa tamaam umr rahe dekhte hayaat ke khvaab hamaari aankhon mein ye khvaab khvaab ho na sakaa rahi fareb-e-tasavvur ye raftani duniyaa saraab jaise kabhi ju-e-aab ho na sakaa zamir zaahir-o-baatin se ho gayaa aagaah kharaab baada-e-irfaan kharaab ho na sakaa mire karim ne bakhshaa isi bahaane se mire gunaahon kaa jab kuchh hisaab ho na sakaa abhi kami hai tire zauq-e-ishq mein 'aiman' lahu huaa tiraa aansu sharaab ho na sakaa"
A
Aiman Amritsari
Quote
"dast-kash hon na mai-e-gul ke khush-aashaam abhi ki labaalab hain mah-o-mehr ke do-jaam abhi zehn mein saaqi hai mai-khaana hai hai jaam abhi hosh kahtaa huun ise hosh kaa kyaa kaam abhi mujh ko darkaar na hai kufr na islaam abhi sidhe sidhe hi chale aate hain paighaam abhi tu bhi baaqi tiri rahmat bhi hai baaqi saaqi rahne de hai mai-e-isyaan se baDaa kaam abhi khaal-o-gesu se hai ye silsila-e-raaz-o-niyaaz daana sad-daana ho ye daam ho sad-daam abhi ziist ke khvaab ki taabir abhi baaqi hai ibtidaa dekh chuke hai magar anjaam abhi rah-rav-e-ishq abhi duur hai mearaaj-e-habib rashk-e-manzil na huaa raah mein har gaam abhi zarra-zarra hai ik aatish-kada-e-nur kalim dekh agar tu na ho aatish-zada-e-baam abhi imtiyaaz-e-man-o-tu raaz-e-khafi hai lekin khaasgaan ke liye kahtaa huun sar-e-aam abhi aks ko zo'm hai be-misli-e-rang-o-bu kaa turfa ye hai ki muqaabil hai vo gulfaam abhi raaz-goi tiri 'aiman' hai gunaah-e-akbar maang le afv ki us kaa hai karam aam abhi"
A
Aiman Amritsari
Quote
"ilaahi mahshar mein bahr-e-pursish jab ek darbaar aam hogaa miri baghal mein suraahi hogi zabaan par teraa naam hogaa nasib tujh ko nahin ye neamat to zahmat-e-tur kar gavaaraa yahaan to hote hain roz jalve kalim tujh ko kalaam hogaa nigah rahe aasmaan pe teri hai taair-e-arsh-aashiyaan tu nazar mein jis ki zamin hogi vahi giraftaar-e-daam hogaa qubul kar markaz-e-haqiqat tiraa makaan laa-makaan hai ai dil majaaz ke daaere mein aakar fuzul paaband-e-naam hogaa harim-e-kaaba-o-dair donon hain qaabil-e-ehtiraam lekin nazaaa-e-baaham ke hon na markaz to phir dili-ehtiraam hogaa tu nashsha-e-zohd kaa hai taalib tujhe kahaan vajd-e-jaavedaani jo rind-e-mast-e-mudaam hogaa vo raazdaar-e-davaam hogaa shuur kahte hain jis ko aaqil vo roz mehvar badal rahaa hai jo aa gayaa jaada-e-junun mein sukun mein us kaa qiyaam hogaa na hongi hal mushkilaat 'aiman' fuzul sab koshishein hain teri khudaa se imdaad ki duaa kar baghair is ke na kaam hogaa"
A
Aiman Amritsari
Quote
"jo na mujh se teri saaqi rah-e-iltifaat hoti to na kaaenaat-e-masti miri kaaenaat hoti tujhe rang-e-ishq miltaa to mujhe thaa ganj-e-raahat jise log maut kahte vo miri hayaat hoti vo khataa pe milti jannat jo amal ke naam likh di ye hai aur baat zaahid vo kuchh aur baat hoti rahe qaid aarzu mein thi yahaan ki yaa vahaan ki jo najaat us se milti to kahin najaat hoti tiri yaad jis mein hoti tiraa qurb jis mein miltaa usi din ko din samajhte vahi raat raat hoti yahi hai subut-e-duniyaa ki hai aaj kal nahin hai na ye be-subut hoti na ye be-sabaat hoti tu khataa par apni 'aiman' kabhi munfail to hotaa tujhe bakhsh deti rahmat jo ye ek baat hoti"
A
Aiman Amritsari
Quote
"soz-e-dil baDhne na paae aankh tak ai zabt-e-gham aag bhaDkaa degaa ye is khaana-e-khas-posh mein chupke chupke main piye jaataa huun ulfat mein sarishk hain balaa ki garmiyaan is aatish-e-khaamosh mein ranj-o-raahat ek se hain mujh ko misl-e-khaar-o-gul maadar-e-giti ne paalaa un ko ik aaghosh mein aaqibat-bar-pusht ye hai aaqibat-bardosh vo farq ye hai ek munim ek khirqa-posh mein sakhtiyon mein parvarish paate hain ahl-e-rang-o-bu gul palaa karte hain aksar khaar ki aaghosh mein ai karim 'aiman' ke isyaan aaj kar is ke sipurd teraa dariyaa-e-karam lahraa rahaa hai josh mein"
A
Aiman Amritsari
Quote
"na mujhe idhar ki talaash hai na mujhe udhar ki talaash hai ye talaash sab dil-e-be-khabar dil-e-be-khabar ki talaash hai hai azal se dil mein muqim tu tiri bhuul hai tiri justuju koi justuju hai ye justuju tujhe apne ghar ki talaash hai rahi darmiyaan jo dui to kyaa jo nazar na ek hui to kyaa na ho imtiyaaz nigaah mein mujhe us nazar ki talaash hai dar-e-dair hai jo kisi kaa dar dar-e-kaaba hai jo kisi kaa sar jo baham ho donon kaa aastaan mujhe aise dar ki talaash hai ye hai khud hijaab tiri khudi tiraa vahm hai tiri gumrahi tu khud aap apnaa hai rahnumaa tujhe raahbar ki talaash hai tu hai shaikh taalib-e-zaahidi miri dastgir hai be-pari miri be-pari mire baal-o-par tujhe baal-o-par ki talaash hai jo gulon ke husn mein hai ayaan dil-e-andalib mein hai nihaan jo hai kaar-gaah-e-jahaan ki jaan mujhe us sharar ki talaash hai jo khizaan mein khufta hain shorishein vahin hashr-o-nashr-e-bahaar hain ye vo raaz-e-fitrat-e-ghaib hai jise dida-var ki talaash hai yahi ek raaz hai hasti-e-gul-e-nau-damida kaa ai sahar ki payaam-e-ghuncha ko gul-kade mein payaambar ki talaash hai tujhe ham-nashin hai us aab-o-gil ke tilism mein gham-e-barhami mujhe us ke naqsh-o-nigaar mein kisi kuza-gar ki talaash hai rahe us ki rahmat-e-aam par hi nigaah-e-'aiman'-e-munfail yahi ek daaman-e-khaas hai jise ashk-e-tar ki talaash hai"
A
Aiman Amritsari
Quote
"vo hasin jalva-ba-dosh hai koi parda hai na naqaab hai tiraa parda hai tiri pardagi ye hijaab teraa hijaab hai tiri chashm-e-mast ke daur mein koi jaam jaam-e-sharaab hai jo hai ahl-e-did vo mast hai jo hai ahl-e-dil vo kharaab hai jo taqaazaa thaa to vo tuur thaa jo talab thi to vo zuhur thaa na taqaazaa hai na talab hai ab na savaal hai na javaab hai ise saath le chalo rahbaro ki zaraa nai hai rah-e-adam ye savaar-e-umr-e-ravaan miraa sar-e-raah paa-ba-rikaab hai use khel samjhaa to bach rahaa na samajh sakaa to ulajh gayaa use aankh khol ke dekhnaa tiri zindagi kaa ye khvaab hai na hai khauf ahl-e-kitaab se na hiraas ahl-e-hisaab se vo karam hai mere karim kaa na hisaab hai na kitaab hai kisi ilm se na ise gharaz na kisi adab se hai vaasta tiraa dard jis kaa hisaab hai tiraa husn jis ki kitaab hai dil-e-pur-havas tujhe sair-e-hasti-e-be-sukun ki majaal kyaa ki misaal-e-mauj-e-ravaan hai ye tiri chashm chashm-e-habaab hai na ulajh numaaish-e-dahr ke kabhi daam-e-naqsh-o-nigaar mein jo nigaar hai vo parida hai jo hai naqsh naqsh-bar-aab hai vahi nuur jis se hain nuur nuur hazaaron nayyar-o-mehr-o-maah jo usi ke saae mein aa gayaa faqat us ko diid ki taab hai ba-khulus 'aiman'-e-be-navaa usi aastaan pe jabin jhukaa koi be-muraad nahin gayaa shah-e-do-jahaan ki janaab hai"
A
Aiman Amritsari