Quote
"aashiqon ko ai falak devegaa tu aazaar kyaa dushman-e-jaan un kaa thoDaa hai dil-e-bimaar kyaa rashk aave kyuun na mujh ko dekhnaa us ki taraf TakTaki baandhe hue hai rauzan-e-divaar kyaa aah ne to khema-e-gardun ko phunkaa dekhein ab rang laate hain hamaare dida-e-khun-baar kyaa murgh-e-dil ke vaaste ai ham-safiro kam hai kyuun kuchh qazaa ke tiir se tir-e-nigaah-e-yaar kyaa chal ke mai-khaane hi mein ab dil ko bahlaao zaraa 'aish' yaan baiThe hue karte ho tum begaar kyaa"
A
Aish Dehlvi






