Quote
"khush-rang kis qadar khas-o-khaashaak the kabhi zarre bhi zeb-o-zinat-e-aflaak the kabhi ab DhunDte hain raah-e-takhaatub ke silsile kyaa ham vahi hain tum se jo bebaak the kabhi go de sake na soz-e-darun kaa hamaare saath ye dida-haa-e-khushk bhi namnaak the kabhi kuchh aur bhi aziiz hui hain nishaaniyaan daaman vo taar taar hain jo chaak the kabhi ham ne junun se pahle kiyaa thaa tumhein pasand achchhaa to ham bhi saahab-e-idraak the kabhi ab dhuup hai ki chhaanv mile umr ho gai mausam mizaaj-e-dost ke chaalaak the kabhi"







