Quote
"jo sang ho ke mulaaem hai saadgi ki tarah pighal rahaa hai mire dil mein chaandni ki tarah mujhe pukaaro to divaar huun suno to sadaa main gunjtaa huun fazaaon mein khaamushi ki tarah main us ko nuur kaa paikar kahun ki jaan-e-khayaal jo mere dil pe utartaa hai shaairi ki tarah kisi ki yaad ne mahkaa diyaa hai zakhm-e-talab sabaa ke haath se masli hui kali ki tarah thakaa huaa huun kisi saae ki talaash mein huun bichhaD gayaa huun sitaaron se raushni ki tarah main apne karb mein ghaltaan vo apne kaif mein gum hai is ki jiit bhi meri shikast hi ki tarah khizaan ke zahr kaa tiryaak agar nahin yaaro gulon ki baat hai be-vaqt raagni ki tarah"







