SHAWORDS

ashk jab dida-e-tar se niklaa — Akhtar Imam Rizvi

"ashk jab dida-e-tar se niklaa ek kaanTaa saa jigar se niklaa phir na main raat gae tak lauTaa Dubti shaam jo ghar se niklaa ek mayyat ki tarah lagtaa thaa chaand jab qaid-e-sahar se niklaa mujh ko manzil bhi na pahchaan saki main ki jab gard-e-safar se niklaa haae duniyaa ne use ashk kahaa khuun jo zakhm-e-nazar se niklaa ik amaavas kaa nasiba huun main aaj ye chaand kidhar se niklaa jab uDaa jaanib-e-manzil 'akhtar' ek shoala mire par se niklaa"
Urdu

اشک جب دیدۂ تر سے نکلا ایک کانٹا سا جگر سے نکلا پھر نہ میں رات گئے تک لوٹا ڈوبتی شام جو گھر سے نکلا ایک میت کی طرح لگتا تھا چاند جب قید سحر سے نکلا مجھ کو منزل بھی نہ پہچان سکی میں کہ جب گرد سفر سے نکلا ہائے دنیا نے اسے اشک کہا خون جو زخم نظر سے نکلا اک اماوس کا نصیبہ ہوں میں آج یہ چاند کدھر سے نکلا جب اڑا جانب منزل اخترؔ ایک شعلہ مرے پر سے نکلا

Hindi

अश्क जब दीदा-ए-तर से निकला एक काँटा सा जिगर से निकला फिर न मैं रात गए तक लौटा डूबती शाम जो घर से निकला एक मय्यत की तरह लगता था चाँद जब क़ैद-ए-सहर से निकला मुझ को मंज़िल भी न पहचान सकी मैं कि जब गर्द-ए-सफ़र से निकला हाए दुनिया ने उसे अश्क कहा ख़ून जो ज़ख़्म-ए-नज़र से निकला इक अमावस का नसीबा हूँ मैं आज ये चाँद किधर से निकला जब उड़ा जानिब-ए-मंज़िल 'अख़्तर' एक शो'ला मिरे पर से निकला

ashk jab dīda-e-tar se niklā
Akhtar Imam Rizvi
Akhtar Imam Rizvi
Akhtar Imam Rizvi
poet26 quotes

More by Akhtar Imam Rizvi

View all →
Quote
"jo sang ho ke mulaaem hai saadgi ki tarah pighal rahaa hai mire dil mein chaandni ki tarah mujhe pukaaro to divaar huun suno to sadaa main gunjtaa huun fazaaon mein khaamushi ki tarah main us ko nuur kaa paikar kahun ki jaan-e-khayaal jo mere dil pe utartaa hai shaairi ki tarah kisi ki yaad ne mahkaa diyaa hai zakhm-e-talab sabaa ke haath se masli hui kali ki tarah thakaa huaa huun kisi saae ki talaash mein huun bichhaD gayaa huun sitaaron se raushni ki tarah main apne karb mein ghaltaan vo apne kaif mein gum hai is ki jiit bhi meri shikast hi ki tarah khizaan ke zahr kaa tiryaak agar nahin yaaro gulon ki baat hai be-vaqt raagni ki tarah"
Akhtar Imam RizviAkhtar Imam Rizvi
Quote
"jurm-e-hasti ki sazaa kyuun nahin dete mujh ko log jiine ki duaa kyuun nahin dete mujh ko sarsar-e-khun ke tasavvur se larazte kyuun ho khaak-e-sahraa huun uDaa kyuun nahin dete mujh ko kyuun takalluf hai mire naam pe taaziron kaa main buraa huun to bhalaa kyuun nahin dete mujh ko ab tumhaare liye khud apnaa tamaashaai huun dosto daad-e-vafaa kyuun nahin dete mujh ko main musaafir hi sahi raat ki khaamoshi kaa tum sahar ho to sadaa kyuun nahin dete mujh ko jins-e-baazaar ki surat huun jahaan main 'akhtar' log shishon mein sajaa kyuun nahin dete mujh ko"
Akhtar Imam RizviAkhtar Imam Rizvi
Quote
"chaandni ke haath bhi jab ho gae shal raat ko apne siine par sambhaalaa main ne bojhal raat ko raat bhar chhaayaa rahaa ghar ki fazaa par ik hiraas dastakein detaa thaa dar par koi paagal raat ko chaandni mein ghul gayaa jab dil ki maayusi kaa zahr main ne khud kafnaa diyaa saayon mein komal raat ko karb ke laave ubalte the sukun ke aas-paas uf vo nindein vo giraan-khvaabi ki daldal raat ko aaj phir dhundlaa gai 'akhtar' miri shaam-e-firaaq sochtaa huun aaj phir barseinge baadal raat ko"
Akhtar Imam RizviAkhtar Imam Rizvi
Quote
"vo khud to mar hi gayaa thaa mujhe bhi maar gayaa vo apne rog miri ruuh mein utaar gayaa samundaron ki ye shorish usi kaa maatam hai jo khud to Duub gayaa mauj ko ubhaar gayaa havaa ke zakhm khule the udaas chehre par khizaan ke shahr se koTi to pur-bahaar gayaa andheri raat ki parchhaaiyon mein Duub gayaa sahar ki khoj mein jo bhi ufuq ke paar gayaa vo raushni kaa musaafir main tirgi kaa dhuaan to phir bhalaa vo mujhe kis liye pukaar gayaa mein apne soch ke ham-zaad kaa pujaari thaa tiraa jalaal miri aaqibat sanvaar gayaa"
Akhtar Imam RizviAkhtar Imam Rizvi
Quote
"dil vo pyaasaa hai ki dariyaa kaa tamaashaa dekhe aur phir lahr na dekhe kaf-e-dariyaa dekhe main har ik haal mein thaa gardish-e-dauraan kaa amiin jis ne duniyaa nahin dekhi miraa chehra dekhe ab bhi aati hai tiri yaad pa is karb ke saath TuTti niind mein jaise koi sapnaa dekhe rang ki aanch mein jaltaa huaa khushbu kaa badan aankh us phuul ki tasvir mein kyaa kyaa dekhe koi choTi nahin ab to mire qad se aage ye zamaana to abhi aur bhi unchaa dekhe phir vahi dhund mein lipTaa huaa paikar hogaa kaun be-kaar mein uThtaa huaa parda dekhe ek ehsaas-e-nadaamt se laraz uThtaa huun jab ram-e-mauj miri vusat-e-sahraa dekhe"
Akhtar Imam RizviAkhtar Imam Rizvi

More on Raat

View all →
Quote
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
M
Muztar Muzaffarpuri