SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byAlamgir Khan Kaif(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"but-parasti pe jo apnaa dil-e-naashaad aayaa sang-rezo mein nazar husn-e-khudaa-daad aayaa meri dar tak jo kabhi vo sitam-ijaad kiyaa paanv chaukhaT pe na rakhe the ki ghar yaad aayaa 'arsh se aa ke farishton ne sanbhaalaa mujh ko girte girte jo tiraa naam mujhe yaad aayaa aaina taaq se utraa hi khudaa khair kare naaz-o-andaaz sikhaane unhein ustaad aayaa baa'd marne ke lahad mein jo lagaa hone 'azaab yaad kyaa kyaa na mujhe vo sitam-ijaad aayaa to amaan dahr mein ulfat se huaa main paidaa 'ishq hamraah mire surat-e-ham-zaad aayaa dil mein go laakh the shikve magar un ke aage aise khoe gae kuchh bhi na hamein yaad aayaa be-sutun par jo kabhi jaaun main vo 'aashiq huun naqsh-e-shirin se sadaa aai ki farhaad aayaa is qadar khauf-e-asiri hai mire gulshan mein apne saae ko samajhtaa huun ki sayyaad aayaa meri vahshat se na un ko kahin saudaa ho jaae puchhte phirte hain ik ek se fassaad aayaa qumriyon ke liye suuli se sivaa sarv huaa sair-e-gulshan ko jo vo ghairat-e-shamshaad aayaa oDh kar surkh dupaTTa mujhe maaraa us ne ban ke mirrikh miri qatl ko jallaad aayaa arghavaan zaar-e-chaman khet banaa kushton kaa aaj gulzaar mein aisaa koi jallaad aayaa aur to kaun musibat mein khabar letaa hai jab kaleja bhi na munh ko dam-e-fariyaad aayaa meri vahshat ne mire ghar ko banaayaa baazaar kabhi fassaad sudhaaraa kabhi haddaad aayaa 'kaif' kaa haal 'ajab thaa gham-e-tanhaai se bach gae jaan jo us dam vo pari-zaad aayaa"
A
Alamgir Khan Kaif
Quote
"'ishq jab baaryaab hotaa hai khaana-e-dil kharaab hotaa hai saaf un se javaab hotaa hai roz qaasid kharaab hotaa hai jism-e-khaaki ko chhoDti hai ruuh ye gharaundaa kharaab hotaa hai jo hi makhluq shaan-e-khaaliq hai ek kaa bhi javaab hotaa hai naama-bar kahte hain na likho khat muft kaaghaz kharaab hotaa hai dekh lenaa ye gumbad-e-gardun koi din mein kharaab hotaa hai pijiye pijiye sharaab kahin dil-e-sozaan kabaab hotaa hai ham se marte huon ko ai qaatil zabh karnaa savaab hotaa hai ai qayaamat na kar ziyaada shor 'aashiqon se hisaab hotaa hai dekh kar tifl-e-ashk ko bole aisaa laDkaa kharaab hotaa hai hijr mein aa ke mere aankhon mein kyaa pareshaan khvaab hotaa hai raham ai girya-e-shab-e-furqat khun-e-chashm pur-aab hotaa hai faatiha paDh ke ronaa turbat par yaar ham par 'azaab hotaa hai un ke rukh ke huzur khajlat se aaina aab aab hotaa hai dekh kar aahuvaan-e-chashm sanam zohra-e-sher aab hotaa hai hashr mein kyon hujum hai utnaa kyaa koi be-naqaab hotaa hai 'kaif' tauba karo mohabbat se naam-e-ulfat kharaab hotaa hai"
A
Alamgir Khan Kaif
Quote
"dil mein jamaal-e-yaar ki tanvir dekhiye is aaine mein surat-e-tasvir dekhiye rusvaa tamaam khalq mein hon yaa zalil hon kyaa din dikhaae naala-e-shab-gir dekhiye banda kahaan janaab kahaan ye makaan kahaan maqsum dekhiye miri taqdir dekhiye ab ke jo haul-e-dil ho to ye kijiye ilaaj siine pe rakh ke yaar ke tasvir dekhiye darvaaza kholiye mujhe ghar mein bulaaiye kab se hilaa rahaa huun main zanjir dekhiye hai qasr-e-tan mein raasha-e-piri se zalzala girti hai koi dam mein ye taamir dekhiye kuche mein aap ke mire miTTi kharaab hai barbaad ho rahi hai ye iksir dekhiye jallaad se kaho ki na puchhe vasiyyatein hoti hai mere qatl mein taakhir dekhiye mahshar mein bhi huaa na miraa un kaa faisla tul-e-kalaam-o-vusat-e-taqrir dekhiye dil aap kaa to kyaa hai abhi arsh tak hile manzur ho to aah ki taasir dekhiye bimaar ho ke bosa-e-unnaab-e-lab liyaa mujh ko na dekhiye miri tadbir dekhiye jab bosa maangtaa huun main karte ho hujjatein itne se munh pe aur ye taqrir dekhiye piiri mein ham ko ishq-e-mizha kaa khayaal hai hoti hai ye kamaan hadaf tiir dekhiye manzur imtihaan hai bakhshish kaa aap ke kartaa huun kis umiid pe taqsir dekhiye"
A
Alamgir Khan Kaif
Quote
"khoe na kis tarah se tiraa eatibaar jhuuT ik sach agar zabaan pe hai to hazaar chhuT kartaa hai aadmi ko bahut be-vaqaar jhuuT chhuDvaa de mujh se ai mire parvardigaar jhuuT haq haq na kis tarah se kahun un se haal-e-dil sach kaa to eatibaar nahin darkinaar jhuuT chhuptaa hai us sanam se kahin ishq-e-saakhta iisaa se koi khaak bataae bukhaar jhuuT main naqsh-e-paa-e-ghair ko pahchaantaa huun khuub khaao na mere sar ki qasam ai nigaar jhuuT dil ki taDap se raat ko bijli bhi maat thi kahtaa nahin hai yaar tiraa be-qaraar jhuuT kyunkar yaqin ho tere dahaan-o-kamar kaa yaar saabit kiyaa hai main ne tiraa laakh baar jhuuT chhoDungaa main rikaab na ho kar ghubaar bhi is mein samajh zaraa bhi na o shahsavaar jhuuT kyaa faaeda agar ho koi be-chhuri halaal karte ho kyon bahaana-e-said-o-shikaar jhuuT haq haq rahe zabaan pe mansur ki tarah bole na daar par bhi tiraa jaan-nisaar jhuuT aashiq ko rote dekh ke vaada vafaa kiyaa chhoD aati aaj jaa ke vo dariyaa ke paar jhuuT allaah jaantaa hai jo bande buton ke hain bolein na mar ke bhi vo miyaan-e-mazaar jhuuT sach-much kiyaa jo vaada-e-vasl aaj yaar ne munh se nikal gayaa mire be-ikhtiyaar jhuuT sach to ye hai ki khauf-e-junun se havaa ho ruuh sun luun jo aamad-aamad-e-fasl-e-bahaar jhuuT laanaa yaqin na 'kaif' ke aqvaal-o-feal kaa guftaar is ki jhuTi hai sab kaarobaar jhuuT"
A
Alamgir Khan Kaif
Quote
"taare banaae kyon falak-e-pir ke liye kyaa the charaagh khaana-e-zanjir ke liye naala yunhi zarur hai taasir ke liye taqdir jaise shart hai tadbir ke liye shorish mein dil hai zulf-e-girah-gir ke liye divaana ghul machaataa hai zanjir ke liye qaht-e-junun yahi hai to paaband ishq ke tarseinge ek daana-e-zanjir ke liye rakh denaa paas hijr mein khanjar bhi zahr bhi ye hai ilaaj maut ki taakhir ke liye roghan charaagh-e-tur kaa darkaar hai hamein o yaar-e-khub-ru tiri tasvir ke liye mil jaae maangne se agar bhiik bhi mujhe dar dar phirun main paaraa-e-taqdir ke liye vo shahsavaar tu hai ki mikaal-o-jibrail dauDe tere rikaab mein tauqir ke liye umr-e-ravaan ke vaaste laazim hai daagh-e-ishq raushan charaagh karte hain rahgir ke liye afsaana khuub hai miri zanjir-o-tauq kaa haddaad ko bulaaiye tahrir ke liye pahle to mere qatl ki qaatil ko fikr thi ab soch mein hai laash ki tashhir ke liye Thahraa na ek bhi mire dil ke javaab mein naqshe hazaaron kaabe ki taamir ke liye khat kaa na dhyaan ulfat-e-abru mein chaahiye nuqsaan morche se hai shamshir ke liye chaahe agar farogh to chup baiTh bazm mein kab hai zabaan shama ki taqrir ke liye us shama-ru ki bazm gulistaan se kam nahin minqaar-e-andalib ho gul-gir ke liye abru kaa husn aur bhi afshaan se baDh gayaa jauhar se aabru hui shamshir ke liye siina bhi saamne hai jigar bhi hai saamne kyaa kyaa hadaf hain yaar tire tiir ke liye mujh rind kaa bane jo pas-e-marg maqbara khisht-e-khum-e-sharaab ho taamir ke liye baad-e-fanaa yaqin hai na miTTi nasib ho taalib huun aasmaan se jo iksir ke liye majnun ke baad tauq-o-salaasil hamein mile ham ne tabarrukaat ye sab piir ke liye ghar mein khudaa ke shaan-e-yadullaah dekhnaa dosh-e-nabi pe paanv the tasvir ke liye piite sharaab khvaab mein dekhaa hai 'kaif' ko pir-e-mughaan saa piir ho taa۔bir ke liye"
A
Alamgir Khan Kaif
Quote
"ham khudaa kahte hain sab jis ko sanam kahte hain tum na kahnaa use allaah jo ham kahte hain ranj kahte hain kise kis ko alam kahte hain ham to is ko bhi tiraa fazl-o-karam kahte hain paD ke bimaar ayaadat ko bulaayaa tujh ko dekh o rashk-e-masihaa ise dam kahte hain log dete hain tire qad ko alam se tashbih ham tiri zulf ko daamaan-e-alam kahte hain apni bimaar se ab tak to hai sujaa-phulaa haath paanv pe chaDh aaya hai varam kahte hain sar bhi kaT jaae to ai yaar na khaaein kabhi ham jis ko kahte hain qasam ham use sam kahte hain jo janaaza hai vo insaan ko nasihat-gar hai vaaz kyaa raah-rav-e-mulk-e-adam kahte hain khol kar naama-e-aamaal to apnaa dekhein maal-o-asbaab ko jo log raqam kahte hain us ne bheji hai jo ye phuul ki botal ham ko ham use nakhl-e-mohabbat ki qalam kahte hain qissa-e-ishq ko kab ek zabaan kaafi hai kabhi karte hain bayaan vo kabhi ham kahte hain chashm-o-abru-e-butaan shaikh-o-barahman dekhein dair kahte hain ise is ko haram kahte hain mere nazdik to ye kam nahin izzat meri mujh ko vo banda-e-be-daam-o-diram kahte hain sifat-e-kaatib-e-taqdir ke likhne vaale arsa-e-hashr ko maidaan-e-qalam kahte hain log kahte hain jise pamba-e-minaa saaqi rind-e-mai-khvaar use abr-e-karam kahte hain saail-e-bosa ko tum ne na diyaa haae javaab kuchh na kuchh munh se bashar laa-o-na'am kahte hain 'kaif' hai yaad jinhein kalima-e-mutu har dam apni is hasti-e-faani ko adam kahte hain"
A
Alamgir Khan Kaif
Quote
"tamaam din mujhe kaif-e-sharaab rahtaa hai buland chaar-pahar aaftaab rahtaa hai khulaa ye vaada-e-fardaa ai hashr se ham ko kahin bhi husn miyaan-e-naqaab rahtaa hai tire gale ko kahun kis tarah bahisht ai huur yahaan to jaan pe har dam azaab rahtaa hai vo aashiqon ko baraabar kahaan samajhte hain kisi pe lutf kisi par itaab rahtaa hai tiri talaash mein jo koi sari'us-sair kab ek jaa sifat-e-maahtaab rahtaa hai ghurur badr ko kyaa ho kamaal par apne jahaan mein kis kaa hamesha shabaab rahtaa hai miri taraf se vo karvaT badal sake sote mein visaal mein bhi mujhe iztiraab rahtaa hai ghash aate hain mujhe paiham firaaq saaqi mein evaz sharaab ke khum mein gulaab rahtaa hai zamaana-e-vasl to furqat bhi koi dam ki hai har ek shai ko yahaan inqalaab rahtaa hai tumhaari aariz-e-rangin ko jab se dekhaa hai chaman mein zard gul-e-aaftaab rahtaa hai vo bahr-e-husn hai jaise kinaara-kash ham se dam apni aankhon mein shakl-e-habaab rahtaa hai miraa shabaab kaa piiri mein bhuul jaataa hai sahar ko yaad bhalaa kab ye khvaab rahtaa hai hosh jis ke hi dair-o-haram mein logon ko hamaare dil mein vo khaana-kharaab rahtaa hai visaal mein ho maza kyon na baada-khvaari kaa hamein lihaaz na un ko hijaab rahtaa hai ye daur-e-baada hai imsaal bazm-e-aalam mein ki dast-e-'kaif' mein jaam-e-sharaab rahtaa hai"
A
Alamgir Khan Kaif
Quote
"miltaa nahin kisi ko tu o khaanumaan-kharaab phirtaa hai justuju mein tiri ik jahaan kharaab kyunkar na dil siyaah kare ishq-e-zulf-e-yaar hotaa hai rafta rafta dhuein se makaan kharaab daam-o-qafas mein jaa ke phansaa huun main peshtar sau baar ho chukaa hai miraa aashiyaan kharaab khud-rafta kar diyaa hai ye josh-e-bahaar ne phirte hain bu-e-gul ki tarah baaghbaan kharaab bose ke chaaT par na ziyaada lagaaiye karte hain aap kis liye meri zabaan kharaab le chal juun khudaa ke liye aur samt ko naaqis yahaan zamin hai yahaan aasmaan kharaab vahshat mein khel hai mujhe zanjir toDnaa haddaad se kaho na kare beDiyaan kharaab main bosa maangtaa huun vo dete hain gaaliyaan yaan bhi zabaan kharaab hai vaan bhi zabaan kharaab hirs-o-havaa se hai dil-e-gham-gin bharaa huaa le jaaun pesh-e-yaar main kyaa armughaan kharaab dushnaam agar yunhi mujhe degaa to raat-din bigDegaa kyaa miraa tiri ho ke zabaan kharaab miltaa hai kab vo yusuf-e-gum-gashta dekhiye phirtaa huun misl-e-gard rah-e-kaarvaan kharaab dariyaa ke aage asl nahin musht-e-khaak ki kyaa ho ghubaar-e-jism se ruh-e-ravaan kharaab niklegaa khat zarur tiri ru-e-saaf par ik din bahaar-e-baagh karegaa khizaan kharaab ghabraa ke kah na yaar se ai dil gham-e-firaaq qisse kaa lutf kyaa hai agar ho bayaan kharaab ai 'kaif' us ke vaaste aalam tabaah hai yusuf ki justuju mein hai ye kaarvaan kharaab"
A
Alamgir Khan Kaif