SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byAmber Shameem(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"ik dil-e-daaghdaar rakhte hain ham bhi zakhm-e-bahaar rakhte hain guftugu mein kabhi nahin aati she'r mein jitni dhaar rakhte hain ham sajaate nahin kabhi rukh par zakhm to be-shumaar rakhte hain koi chehra dikhaai de kaise aaine jab ghubaar rakhte hain aatish-e-nim-shab mein jal kar bhi ashk par ikhtiyaar rakhte hain sar jhukaate nahin har ik dar par khud ko ham baa-vaqaar rakhte hain hai buri chiiz maslahat lekin naam ko ham bhi yaar rakhte hain meri khaatir bhi kuchh vafaadaari sab mire gham-gusaar rakhte hain"
Amber ShameemAmber Shameem
Quote
"dasht-dar-dasht raasta ho jaaun apne qad se main kuchh baDaa ho jaaun yaas ki tirgi hai chaaron or is andhere mein ik diyaa ho jaaun mushkilon mein ghiraa rahun lekin koi dekhe to main haraa ho jaaun vo uchhaale miri taraf patthar main kisi taur aaina ho jaaun koi puchhe agar pataa meraa khushbuon ki tarah havaa ho jaaun khaamushi ho muhit 'aalam par aur jangal ki main sadaa ho jaaun sar jhukaa kar chalun zamaane mein dushmanon ke liye balaa ho jaaun rind ho jaaun mai-gusaaron mein paarsaaon mein paarsaa ho jaaun band hai dar yaqin kaa mere koi aae idhar to vaa ho jaaun rang de dhuup se badan meraa taaki kuchh aur main nayaa ho jaaun zindagi mein kashish to ho 'ambar' koi sho'la yaa barf saa ho jaaun"
Amber ShameemAmber Shameem
Quote
"baat 'ambar' vahi hai Dhab ki baat kijiye apni hove sab ki baat baat mein baat ho to qimat hai khaamushi varna hai ghazab ki baat faasle hain na raabte baaqi 'ahd-e-nau hai gai vo tab ki baat raushni khaa gai kitaabon ko be-adab ho gai adab ki baat aadmi aadmi se bargashta aur lab par hai sab ke rab ki baat ham samundar-parast logon mein kaun kartaa hai tishna-lab ki baat baadshaahi kahaan samajhti hai faaqa-masti mein bhi tarab ki baat itnaa aasaan na thaa sukhan 'ambar' tab ki baat aur ye hai ab ki baat"
Amber ShameemAmber Shameem
Quote
"dukh kaa suraj Dhal jaae to achchhaa lagtaa hai hansne kaa mausam aae to achchhaa lagtaa hai hairaani ke jangal mein jab thaam ke meraa haath rasta koi dikhlaae to achchhaa lagtaa hai likhnaa paDhnaa khel tamaashe be-fikri ke din bachpan apnaa yaad aae to achchhaa lagtaa hai dhuup ki chaadar oDhe jab main lauTun daftar se us kaa aanchal lahraae to achchhaa lagtaa hai tanhaai ke ghor andhere mein jab us ki yaad bijli ban kar lahraae to achchhaa lagtaa hai din bhar us kaa chehra dekhun so jaaun jab main khvaab mein bhi vo aa jaae to achchhaa lagtaa hai"
Amber ShameemAmber Shameem
Quote
"'ajab lamha thaa vo jab ye tahayya kar liyaa main ne bhare ghar mein huun lekin khud ko tanhaa kar liyaa main ne agar jhonkaa hai raahat kaa to aandhi ki 'alaamat bhi havaa ki baat par kaise bharosa kar liyaa main ne khudaa hi jaantaa hai hashr kyaa hogaa mire dil kaa ki ik patthar se aaine kaa saudaa kar liyaa main ne kisi se kuchh na kahnaa andar andar TuTte rahnaa yahin se raasta jiine kaa paidaa kar liyaa main ne na tanhaai sataati hai na khauf aataa hai ashkon se inhin ko zindagi kaa isti'aara kar liyaa main ne tiri yaadon ne jab bhi saath meraa chhoDnaa chaahaa khurach kar dil kaa ik ik zakhm taaza kar liyaa main ne"
Amber ShameemAmber Shameem
Quote
"shab-e-gham se guzarne ki shahaadat ham samajhte hain sar-e-mizhgaan jo aansu hain unhein shabnam samajhte hain isi ke dam se aayaa hai taDapne kaa hunar dil ko sitamgar ko bhi ham apnaa sharik-e-gham samajhte hain zaraa si raushni bhi nargha-e-shab toD deti hai ye vo nukta hai jis ko ahl-e-daanish kam samajhte hain nikal aae hain taare aasmaan par main samajhtaa huun mire ahbaab lekin is ko chashm-e-nam samajhte hain miyaan rasta badalnaa to koi maa'ni nahin rakhtaa ta'alluq bojh ban jaae to is ko ham samajhte hain"
Amber ShameemAmber Shameem
Quote
"zindaani-e-hasti huun rihaai nahin deti bachne ki koi raah dikhaai nahin deti sho'la saa lapaktaa hai bahar-gaam nazar mein tahrir ki aavaaz sunaai nahin deti itnaa nazar aataa hai hamein zarf ho jitnaa har shakhs ko har chiiz dikhaai nahin deti shubhaat ke jangal mein hai gum-karda-e-manzil taa-hadd-e-nazar raah dikhaai nahin deti khanjar ki tarah vaar kiyaa karti hai dil par sach baat kabhi apni safaai nahin deti parda hai kuchh aisaa ki nazar aataa hai sab kuchh be-pardagi aisi ki dikhaai nahin deti hasti ki tamannaa mein 'ajab chiiz mili hai mehnat karun jitni bhi kamaai nahin deti goshe mein paDaa huun to ta'ajjub hai tumhein kyon in'aam kabhi talkh-navaai nahin deti"
Amber ShameemAmber Shameem
Quote
"ai qalb-e-naa-subur zaraa intizaar kar phuTegaa shab se nuur zaraa intizaar kar laanaa hai rang nashsha-e-iflaas ko zarur aane de kuchh surur zaraa intizaar kar raah-e-'amal mein Thokarein khaane ke baa'd hi aataa hai kuchh shu'ur zaraa intizaar kar suraj huun baadalon mein chhupaa hai miraa vujud hogaa magar zuhur zaraa intizaar kar lafzon kaa toD joD nahin fann-e-shaa'iri dilli abhi hai duur zaraa intizaar kar raushan hai sach siyaahi-e-zindaan mein aaj bhi ai shahr-e-pur-ghurur zaraa intizaar kar qaid-e-hayaat raah-e-najaat-e-alam nahin manzil abhi hai duur zaraa intizaar kar"
Amber ShameemAmber Shameem
Quote
"saaebaan kyaa abr kaa TukDaa hai kyaa dhuup to maalum hai saayaa hai kyaa apne daaman mein chhupaa le mauj-e-gham qatra qatra zindagi jiinaa hai kyaa khvaab aansu ehtajaaji zindagi puchhiye mat shahr-e-kalkatta hai kyaa tund jhonke sab uDaa le jaaeinge shaakh se TuuTaa huaa pattaa hai kyaa har qadam ik saaneha hai dosto aise mausam mein koi jiitaa hai kyaa meri mahrumi miraa ghussa na puchh barf ki hiddat hai kyaa shoala hai kyaa kyuun dhaDaktaa hai ye dil ambar-'shamim' us ki yaadon se miraa rishta hai kyaa"
Amber ShameemAmber Shameem
Quote
"kisi bhi tarh kaTe ham sabil karte hain abhi to raat hai qissa tavil karte hain 'ajib chiiz hai ahbaab kaa ravayya bhi miri nazar mein mujhi ko zalil karte hain mu'aamalaat ham aapas mein kar lein tai to khuub nahin to aaiye donon vakil karte hain abhi sitaare bahut hain hamaari aankhon mein inhin se shab-basari ki sabil karte hain bayaan mein jo na ho husn lafz-o-maa'ni kaa to jaan-bujh ke misre' saqil karte hain munaafiqon mein ye daulat nahin luTaani hai lo apne dil ke khazaane ko seal karte hain"
Amber ShameemAmber Shameem
Quote
"shaam se pahle ba-andaaz-e-digar shaam ke baa'd ban gayaa 'azm-e-safar dida-e-tar shaam ke baa'd puchh mat nashsha-e-hasti kaa asar shaam ke baa'd mujh ko rahti hi nahin apni khabar shaam ke baa'd ye ta'alluq bhi 'ajab shai hai jahaan bhi main rahun mujh ko detaa hai sadaaein miraa ghar shaam ke baa'd din to ham kaaT liyaa karte hain jaise taise raat kaTti nahin ai dost magar shaam ke baa'd khush-libaasi pe Tiki rahti hain nazrein sab ki dekhtaa koi nahin dida-e-tar shaam ke baa'd shaam se pahle 'ajab dhun mein rahaa kartaa huun risne lagtaa hai har ik zakhm-e-jigar shaam ke baa'd zindagi dasht-e-sa'ubat mein rahe jitni der thakne detaa nahin zulfon kaa safar shaam ke baa'd subh se raat kaa rishta hai to bas itnaa hai be-ghari phail ke ban jaati hai ghar shaam ke baa'd kulfatein kaisi sazaa kaisi ki ban jaati hai har guzargaah tiri raahguzar shaam ke baa'd sabza-e-yaad ubharte hi chale aate hain jagmagaa uThtaa hai is dil kaa khanDar shaam ke baa'd khaana-e-dil main ujaalaa hai unhin se 'ambar' jhilmilaate hain jo palkon pe guhar shaam ke baa'd"
Amber ShameemAmber Shameem
Quote
"ab kahaan koi bashar lagtaa hai ab to saae se bhi Dar lagtaa hai koi kashkol ki khaali khaali koi daaman hai ki tar lagtaa hai us ke aane se main khil uThtaa huun kuchh saliqe kaa ye ghar lagtaa hai ruuh kaa dard chhupaaun kaise ab to chehra bhi khanDar lagtaa hai din ke hangaam to sah letaa huun raat hoti hai to Dar lagtaa hai kuchh to yaaron ne nichoDaa mujh ko kuchh zamaane kaa asar lagtaa hai teri qurbat kaa muqaddas lamha dhuup mein jaise shajar lagtaa hai DhunDhnaa saa’at-e-‘ishrat 'ambar' ab to jangal kaa safar lagtaa hai"
Amber ShameemAmber Shameem
Quote
"sannaaTe ki dhund mein ghar ghar Duub gayaa raat hui to din kaa manzar Duub gayaa jism to ik chaTTaan hai ab bhi baaqi hai ruuh ki miTTi nam thi khanjar Duub gayaa bach niklaa vo niile paani se lekin pichhe thaa dushman kaa lashkar Duub gayaa sahraaon ki vus'at kitni kyaa jaano aankhon mein thi pyaas samundar Duub gayaa giili miTTi par the us ke donon paaon rafta rafta khaak ke andar Duub gayaa mere dil ki gahraai kaa haal na puchh us ne pheinkaa thaa jo patthar Duub gayaa ab ke saavan mein baarish kaa zor na puchh dhire dhire paani mein sar Duub gayaa duniyaa ko suljhaane niklaa thaa lekin apne hi khvaabon mein 'ambar' Duub gayaa"
Amber ShameemAmber Shameem
Quote
"koi to rakkhe vaqaar-e-zindagi meri tarah gham ke mausam mein bhi ho lab par hansi meri tarah sahraa sahraa uD rahi hai ret bhi meri tarah zindagi ko tum ne jhelaa hai kabhi meri tarah main ki taabinda sitaara main ki taariki-e-shab tirgi meri tarah hai raushni meri tarah hai havaa-e-tund ke haathon mein tegh-e-be-niyaam qatl ho jaaegi gul ki taazgi meri tarah mauj-e-gham se jis tarah saahil muraadon kaa kaTe lamha lamha kaT rahi hai zindagi meri tarah mere she'ron ki tarah hai ye jahaan-e-aab-o-gil rang patton mein gulon mein taazgi meri tarah dil kaa aaina hai meri shaa'iri 'ambar-shamim’ mere fikr-o-fan mein hai shaaistagi meri tarah"
Amber ShameemAmber Shameem
Quote
"tasanno' maslahat-koshi adaakaari chamakti hai jahaan-e-kam-nazar mein jins-e-baazaari chamakti hai na-jaane kis maqaam-e-be-amaan tak aa gae hain ham zamin-taa-'arsh chingaari hi chingaari chamakti hai ye tamghe ye libaas-e-faakhira tum ko mubaarak ho gharib-e-shahr ke maathe pe khuddaari chamakti hai havaa ke rukh pe sham'-e-dil jalaanaa meri fitrat hai ki mushkil vaqt mein hi meri ji-daari chamakti hai kharaa khoTaa bataane vaale ab mushkil se milte hain zamaana maslahat kaa hai taraf-daari chamakti hai banaayaa jab se ham ne aashiyaana shaakh-e-naazuk par kabhi bijli lapakti hai kabhi aari chamakti hai"
Amber ShameemAmber Shameem