SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"ye dil jo dard-e-mohabbat se be-qaraar nahin vo subh-e-shauq nahin shaam-e-intizaar nahin kisi nigaah mein masti nahin khumaar nahin ye koi aur hain saaqi ye baada-khvaar nahin tumhaari shaakh-e-nasheman mein barg-o-baar nahin bahaar mein bhi tumhaare liye bahaar nahin gulon ki ghunchon ki pazhmurdagi se zaahir hai chaman mein aaj bhi haalaat saazgaar nahin ravish ravish pe ye kaanTe to khair kaanTe hain yahaan to laala-o-gul kaa bhi eatibaar nahin rah-e-khirad mein ba-har-gaam laakh kaanTe hain junun ki raah mein haail ye khaar-zaar nahin tumhaaraa dast-e-junun kyaa abhi nahin uTThaa taayyunaat ke parde jo taar taar nahin ajiib haal hai is gulitaan-e-hasti kaa kabhi bahaar hai is mein kabhi bahaar nahin vo dusron ke liye kyaa baneinge chashma-e-faiz jo aap apne gunaahon pe sharmsaar nahin ye sang-o-khisht jo hon mo'atabar to hon lekin is aadmi kaa bahar-haal eatibaar nahin ye aaj-kal ki bahaarein bhi ruh-farsaa hain vahin sukun hai ba-zaahir jahaan bahaar nahin uThaa ke jaam-o-subu khud unDel lete hain hamaari bazm mein saaqi kaa intizaar nahin ye dekhte ho jo 'amjad' ko mai-kada-bar-dosh vo mai-farosh hai mai-nosh-o-mai-gusaar nahin"
Amjad Ali GhaznawiAmjad Ali Ghaznawi
Quote
"naghma jo mahmil ke baahar hai vahi mahmil mein hai haal mein zaahir hai poshida jo mustaqbil mein hai jis kaa partav gesu-e-shab mein mah-e-kaamil mein hai ik jhalak us husn-e-poshida ki tere dil mein hai jalva-e-yazdaan bhi raqs-e-ahraman bhi dil mein hai aadmi bhi kis qadar uljhan mein hai mushkil mein hai kah rahaa thaa ek divaana ye hangaam-e-safar rah-navardi mein jo raahat hai vahi manzil mein hai hausla-mandaan ghavvaasaan-e-dariyaa ke liye zindagi maujon mein hai jo vo kahaan saahil mein hai apni fitrat par chaman mein khaar-o-gul to hain magar ik tazaad-e-mustaqil is musht-e-aab-o-gil mein hai jaam hai miinaa hai sahbaa-e-junun-afzaa bhi hai saaqiyaa aa jaa ki ik teri kami mahfil mein hai be-rah-o-be-rahnumaa garm-e-safar hai qaafila faaeda kyaa is tarah ki sai-e-laa-haasil mein hai paikar-e-shauq-o-talab ban kar jo hai garm-e-safar har qadam us raah-rau kaa sarhad-e-manzil mein hai marjaa-e-ilhaam ban saktaa hai koshish ho agar ik maqaam aisaa bhi pinhaan aadmi ke dil mein hai aaftaab-e-dil se garmaa aur chamkaa de use zarra-e-haq jo nihaan gard-e-rah-e-baatil mein hai dil to hai naa-aashnaa-e-baada-haa-e-zindagi jaam-o-minaa kaa magar saudaa sar-e-ghaafil mein hai DhunDte rahiye magar 'amjad' ko paa sakte nahin vo to ab ik nuur ke dariyaa-e-be-saahil mein he"
Amjad Ali GhaznawiAmjad Ali Ghaznawi
Quote
"nayaa dil nayaa hausla chaahtaa huun har ik gaam shauq-aashnaa chaahtaa huun na manzil na us kaa pataa chaahtaa huun faqat aap kaa naqsh-e-paa chaahtaa huun vafaaon ke badle vafaa chaahtaa huun miri saadgi dekh kyaa chaahtaa huun jo zauq-e-junun aam kar de jahaan mein main vo naghma-e-jaan-fazaa chaahtaa huun milaa de jo aapas mein logon ke dil ko vatan mein vo aab-o-havaa chaahtaa huun jo uTh kar baras jaae dair-o-haram par fazaaon mein aisi ghaTaa chaahtaa huun har ik rind ke haath mein jaam-e-jam ho kuchh is shaan kaa mai-kada chaahtaa huun gul-o-laala sehn-e-chaman mein khilaa kar bahaaron ke haathon luTaa chaahtaa huun"
Amjad Ali GhaznawiAmjad Ali Ghaznawi
Quote
"ab imtiyaaz-e-jalva-gah-o-jalva-gar kahaan meri nazar mein parda-e-shams-o-qamar kahaan vo dil kaa iztiraab vo saudaa-e-sar kahaan ab is bashar mein koi kamaal-e-bashar kahaan josh-e-junun-e-shauq mein ab ye khabar kahaan manzil kahaan hai raah kahaan raahbar kahaan sadqe thi jis pe rifat-e-arsh-e-barin kabhi vo baal-o-par vo hausla-e-baal-o-par kahaan meri jabin ko khaak-e-dar o sang-e-dar mile un ke harim-e-husn mein divaar-o-dar kahaan aankhein uThaa ke dekh asir-e-shuaa tu dekhaa hai tu ne partav-e-husn-e-bashar kahaan hai naghma-rez saaz-e-hayaat aaj bhi yahaan lekin vo gosh-e-hosh-o-dil-e-baa-khabar kahaan mai bhi vahi hai jaam vahi mai-kada vahi in mai-kashon pe mai kaa magar vo asar kahaan milti thi jis se ghuncha-o-gul ko hayaat-e-nau ab vo nasim-e-subh vo baad-e-sahar kahaan aansu bahaa ke jaan-e-masarrat ki bazm mein tu ne Dubo diyaa mujhe ai chashm-e-tar kahaan vo farsh-e-khaak aur kahaan ye maqaam-e-quds laae mujhe kahaan se mire baal-o-par kahaan ab to har ek khair hai 'amjad' asir-e-shar is daur-e-gham mein maarka-e-khair-o-shar kahaan"
Amjad Ali GhaznawiAmjad Ali Ghaznawi
Quote
"rang-o-bu phuul mein kali mein nahin husn bhi ab vo chaandni mein nahin aadamiyyat jo aadmi mein nahin gham kaa ehsaas ab kisi mein nahin zahr-bar-lab har ek gul hai aaj zindagi phuul ki hansi mein nahin baada-e-intiqaam pi pi kar aadmi jaise aap hi mein nahin dushmani kaa bhi past hai me'yaar ab bulandi bhi dosti mein nahin mai-kadon mein hai zikr-e-dair-o-haram kaif-o-masti jo mai-kashi mein nahin ab payaam-e-sukun o raahat-e-dil laala-o-gul ki taazgi mein nahin ziist us ki hai ek marg-e-davaam zindagi jis ki zindagi mein nahin kaun kis kaa gila kare 'amjad' nur-e-insaaniyat kisi mein nahin"
Amjad Ali GhaznawiAmjad Ali Ghaznawi
Quote
"are ye adl ye insaaf al-amaan un kaa ki har zamin miri aur har aasmaan un kaa dilon mein jin ke gham-e-ahl-e-kaarvaan na rahaa pahunch sakegaa na manzil pe kaarvaan un kaa hazaar kaaba-e-imaan vahin-vahin pe bane qadam paDaa thaa chaman mein jahaan-jahaan un kaa asir-e-jalva-e-manzil ki qaid ki khaatir bichhegaa daam-e-asiri kahaan kahaan un kaa dilon ko jiit ke shaahanshah-e-jahaan ban jaa ki ye jahaan hai teraa na ye jahaan un kaa kahaan pe kijiye sajda ki ban gai 'amjad' jabin-e-shauq miri sang-e-aastaan un kaa"
Amjad Ali GhaznawiAmjad Ali Ghaznawi
Quote
"dil nahin dil kaa iztiraab nahin saaghar-e-jam nahin sharaab nahin daur ye daur-e-inqilaab nahin barq mein bhi to pech-o-taab nahin barq to hai magar sahaab nahin dhuup hai aur aaftaab nahin shauq-e-naakaam hi sahi lekin husn bhi aaj kaamyaab nahin din mein taariki-e-shab-e-gham hai ye haqiqat hai koi khvaab nahin ai nasim-e-sahar chaman mein kyon laala-o-gul mein aab-o-taab nahin aadmi aadmi kaa dushman hai ik tamaasha hai inqalaab nahin is ko maahaul ne kharaab kiyaa aadmi fitratan kharaab nahin baaghbaan shaakh-e-gul se hai naaraaz barq ab murid-e-itaab nahin sahn-e-gulshan mein aaj abr-e-karam ek ham hain ki faizyaab nahin kuchh dinon se na jaane kyon dil mein ik khalish si hai iztiraab nahin ab mire un ke darmiyaan 'amjad' koi parda nahin hijaab nahin"
Amjad Ali GhaznawiAmjad Ali Ghaznawi
Quote
"saudaa-e-shahaadat na ho jis sar mein vo sar kyaa jis mein na haraarat ho na harkat vo sharar kyaa nikhat ho na rangat to chaman mein gul-e-tar kyaa jab ilm-o-hunar ho na bashar mein to bashar kyaa jhuk jaae adu kaa bhi na sar jis pe vo dar kyaa maahaul masarrat kaa na ho jis mein vo ghar kyaa siine se guzarti hui baatin mein pahunch kar jo aalam-e-dil ko na badal de vo nazar kyaa khurshid-ba-kaf aae shab-e-shauq to kyaa shab jo shaam lapeTe hue aae vo sahar kyaa insaan ke dukh mein jo kabhi kaam na aae phir us ki duaaon kaa haram mein bhi asar kyaa insaan ko jo divaana-e-insaan na banaa de is daur mein vo dars-gah-e-ilm-o-hunar kyaa ai be-khabar is qalb-e-munavvar ke muqaabil ye raushni-e-laal-o-guhar shams-o-qamar kyaa vo chashm-e-taghaaful ho ki ho chashm-e-inaayat divaane ko saaqi ki nigaahon ki khabar kyaa afsurdagi-e-ghuncha-o-gul ko jo baDhaa de gulzaar mein vo baad-e-sabaa baad-e-sahar kyaa dariyaa ko jo ik nuur kaa dariyaa na banaa de gumnaam tah-e-aab vo taabinda guhar kyaa ik bhiiD si dekhi to kahaa ham-safaron se dekho zaraa baDh kar to ye 'amjad' kaa hai ghar kyaa"
Amjad Ali GhaznawiAmjad Ali Ghaznawi
Quote
"nayaa dil nayaa hausla chaahtaa huun har ik gaam shauq-aashnaa chaahtaa huun na manzil na us kaa pataa chaahtaa huun faqat aap kaa naqsh-e-paa chaahtaa huun vafaaon ke badle vafaa chaahtaa huun miri saadgi dekh kyaa chaahtaa huun jo zauq-e-junun aam kar de jahaan mein main vo naghma-e-jaan-fazaa chaahtaa huun milaa de jo aapas mein logon ke dil ko vatan mein vo aab-o-havaa chaahtaa huun jo uTh kar baras jaae dair-o-haram par fazaaon mein aisi ghaTaa chaahtaa huun har ik rind ke haath mein jaam-e-jam ho kuchh is shaan kaa mai-kada chaahtaa huun gul-o-laala sahn-e-chaman mein khilaa kar bahaaron ke haathon luTaa chaahtaa huun"
Amjad Ali GhaznawiAmjad Ali Ghaznawi
Quote
"shiddat-e-gham se jo khaamosh zabaan hoti hai dil ki har baat nigaahon se bayaan hoti hai yahi shabnam jo gul-o-ghuncha ki jaan hoti hai baaz auqaat gulistaan pe giraan hoti hai bas vahin saahil-e-ummid ubhar aataa hai kashti-e-dil ba-khushi gharq jahaan hoti hai ahl-e-dil ahl-e-yaqin ahl-e-amal ke aage raah dushvaar bhi dushvaar kahaan hoti hai kashti-e-umr hai tufaan-e-havaadis mein magar gharq hoti hai ye zaalim na ravaan hoti hai ham to divaana-e-manzil hain hamein kyaa maalum subh hoti hai kahaan shaam kahaan hoti hai kah do gulchin se ki phulon ko sanbhal kar toDe inhin phulon mein nihaan barq-e-tapaan hoti hai"
Amjad Ali GhaznawiAmjad Ali Ghaznawi
Quote
"kahin laal-o-gohar paidaa kahin shams-o-qamar paidaa tajalli aap kar leti hai har-su jalva-gar paidaa jo hoti hai kisi mein garmi-e-qalb-o-jigar paidaa to us ki chashm-e-tar karti hai miTTi se guhar paidaa ye parde husn ke hain imtihaan-e-shauq ke saamaan yahi parde to karte hain jahaan mein parda-dar paidaa jo musht-e-khaak mein ho jaae shaahin kaa jigar paidaa to aasaani se ho sakte hain us ke baal-o-par paidaa ye kyon be-nur ho jaati hai chashm-e-nargis-e-binaa chaman mein jab kabhi hotaa hai koi dida-var paidaa duaa-e-maghfirat kaaba mein Dhaa kar kaaba-e-dil ko kahin aisi duaaon mein bhi hotaa hai asar paidaa sar-e-bazm-e-azal kuchh muzmahil dekhaa jo insaan ko to dil mein kar diyaa us ke mohabbat kaa sharar paidaa ab aise mai-kade mein 'amjad'-e-sarmast rahtaa hai man-o-tu kaa tanaaza hai na jis mein shor-o-shar paidaa"
Amjad Ali GhaznawiAmjad Ali Ghaznawi