Quote
"jo tire aastaan ke maare hain asl mein kahkashaan ke maare hain log milte hain phuul khilte hain aur ham tum khizaan ke maare hain kuchh hain jin ko zamin ne toDaa hai aur kuchh aasmaan ke maare hain baat ahl-e-zabaan ki mat kariye ye to saare zabaan ke maare hain gham hai ham ko bhi bevafaai kaa ham bhi ik mehrbaan ke maare hain hiir raanjhaa ki lailaa majnun hon ye to bas daastaan ke maare hain ab to itnaa yaqin hai ham ko ham 'ananyaa' ke maare hain"







