Quote
"jahaan dar thaa vahaan divaar kyuun hai alag naqshe se ye meamaar kyuun hai khudaa aazaad thaa haakim ki had se khudaa ke shahr mein sarkaar kyuun hai bahut aasaan hai mil-jul ke bahnaa nadi aur dhaar mein paikaar kyuun hai hazaaron rang ke phulon se khinch kar banaa hai shahd to bekaar kyuun hai kisi bhi samt se aa kar parinde sajaaein jhiil to aazaar kyuun hai tiri mahfil mein sab baiThe hain aa kar hamaaraa baiThnaa dushvaar kyuun hai banaa kar rakh tu ghar achchhaa rahegaa tu maalik ban kiraae-daar kyuun hai tumhaare saath ham aage baDhe the hamaari piiTh par talvaar kyuun hai khudaa se kyaa raqaabat hai sanam ki rah-e-masjid nazar mein khaar kyuun hai ibaarat mein na kar tahrif bejaa hamaare naam se bezaar kyuun hai parinde ko jo mauqa do dikhaa de bandhe par kaa safar laachaar kyuun hai paDosi ho to phal yaa phuul laate tumhaare haath mein hathiyaar kyuun hai zamin phaili hui hai aasmaan tak bas ik TukDe pe yuun takraar kyuun hai"







