Quote
"vo jab apne lab kholein shahd fazaaon mein gholein aap ke bhi ho jaaeinge ham pahle apne to ho lein duniyaa se kaT jaaein ham itnaa sach hi kyuun bolein jab jab khud ko qatl karein khanjar gangaa mein dho lein uDnaa ham sikhlaa deinge aap zaraa se par kholein kuchh din halke guzreinge aaj ki shab khul kar ro lein din bhar suraj Dhoyaa hai chaand se lipTein aur so lein"







