SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byAnjum Khayali(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"mire mazaar pe aa kar diye jalaaegaa vo mere baad miri zindagi mein aaegaa yahaan ki baat alag hai jahaan-e-digar se main kaise aaungaa mujh ko agar bulaaegaa mujhe hansi bhi mire haal par nahin aati vo khud bhi roegaa auron ko bhi rulaaegaa bichhaD ke is ko gae aaj tisraa din hai agar vo aaj na aayaa to phir na aaegaa faqih-e-shahr ke baare meri raae thi gunaahgaar hai patthar nahin uThaaegaa isi tarah dar-o-divaar tang hote rahe to koi apne liye ghar nahin baanegaa hamaare baad ye daar-o-rasan nahin honge hamaare baad koi sar nahin uThaaegaa"
Anjum KhayaliAnjum Khayali
Quote
"aazaar mire dil kaa dil-aazaar na ho jaae jo karb nihaan hai vo numudaar na ho jaae aavaaz bhi deti hai ki uTh jaag mere laal Darti bhi hai bachcha kahin bedaar na ho jaae jab tak main pahunchtaa huun kaDi dhuup mein chal kar divaar kaa saaya pas-e-divaar na ho jaae parda na sarak jaae kahin ai dil-e-betaab vo parda-nashin aur pur-asraar na ho jaae baDhtaa chalaa jaataa hai zamaane se taalluq ye silsila zanjir-e-giraan-baar na ho jaae aaraam se rahtaa hi nahin banda-e-be-daam jab tak kisi mushkil mein giraftaar na ho jaae"
Anjum KhayaliAnjum Khayali
Quote
"ghar mein miTTi kaa diyaa maujud hai raushni se raabta maujud hai chaahiye binaai sunne ke liye baaz rangon mein sadaa maujud hai kab se uDtaa hai ghubaara arz kaa is mein ab kitni havaa maujud hai go bahut mahdud hai jins-e-vafaa phir bhi mere bevafaa! maujud hai umr bhar jangal mein rah saktaa huun main is mein ghar jaisi fazaa maujud hai zikr-e-gumraahi kahaan se aa gayaa raasta hi kaun saa maujud hai naa-khudaa be-khauf ab langar uThaa naav mein ik baa-khudaa maujud hai"
Anjum KhayaliAnjum Khayali