SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byAnwar Shadani(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"paas baiThe raho kuchh der bahal jaane do dil-e-divaana machaltaa hai machal jaane do Daal do tum miri aankhon mein sharaabi aankhein meri hasrat mire armaan nikal jaane do tum to apne rukh-e-raushan se haTaa do aanchal chaandni raat jo Dhalti hai to Dhal jaane do raaz khul jaaegaa gulshan ke nigahbaanon kaa ai bahaaro hamein gulshan se nikal jaane do gham ye hai un ki nigaahein na badal jaaein kahin gar badaltaa hai zamaana to badal jaane do dusre daur ke aaghaaz se pahle yaaro laDkhaDaate hue rindon ko sambhal jaane do husn vaalo dil-e-'anvar' se kinaara na karo husn ki shama pe parvaane ko jal jaane do"
Anwar ShadaniAnwar Shadani
Quote
"zindagi be-sar-o-saamaan hai qissa kyaa hai jis ko dekho vo pareshaan hai qissa kyaa hai zulf aariz pe pareshaan hai qissa kyaa hai saaya-e-kufr mein imaan hai qissa kyaa hai aaj ke daur mein bas chaak-garebaan honaa tere divaanon ki pahchaan hai qissa kyaa hai yaa tire husn ki tanvir se raushan hai jahaan yaa mire ishq kaa irfaan hai qissa kyaa hai zohd shibli-o-ghazaali kaa hayaa haafiz ki haath mein 'mir' kaa divaan hai qissa kyaa hai azmat-baad-e-bahaari mujhe taslim magar phuul sharminda-e-ehsaan hai qissa kyaa hai apne anjaam se kyon aaj kaa insaan 'anvar' jaante bujhte anjaan hai qissa kyaa hai"
Anwar ShadaniAnwar Shadani
Quote
"paDe jo kaam to dil se kisi kaa saath na de vo aadmi nahin jo aadmi kaa saath na de charaagh vo hai andheron ko jo kare raushan vo kyaa charaagh hai jo raushni kaa saath na de chaman mein ab to ye haalat hai ham-nashinon ki ki jaise koi qafas mein kisi kaa saath na de andheraa chhaa nahin saktaa kabhi ujaale par tumhaari zulf agar tirgi kaa saath na de khudaa kare o mire dil ko toDne vaale tiraa shabaab tiri naazuki kaa saath na de gham-e-zamaana se Takraa sake ye naa-mumkin agar sharaab miri zindagi kaa saath na de agar kahin unhein be-parda dekh le 'anvar' yaqin hai chaand kabhi chaandni kaa saath na de"
Anwar ShadaniAnwar Shadani
Quote
"jaante hi nahin khushi kyaa hai gham ke maaron ki zindagi kyaa hai faisla kar diyaa zamaane ne dosti kyaa hai dushmani kyaa hai maa-sivaa ik hasin ghaflat ke baagh mein phuul ki hansi kyaa hai ek ke gham ko dusraa samjhe aur manshaa-e-dosti kyaa hai jaante hain tumhaare divaane azmat-e-chaak-daamani kyaa hai zulf-o-rukhsaar saaghar-o-minaa jaane ye sher-o-shaaeri kyaa hai inkisaar-o-khulus-o-hamdardi aur mearaaj-e-zindagi kyaa hai chaudhvin shab ke chaand mein 'anvar' aks un kaa hai chaandni kyaa hai"
Anwar ShadaniAnwar Shadani
Quote
"koi khush hai koi naakaam hai aisaa kyon hai hai kahin subh kahin shaam hai aisaa kyon hai jin ki aankhon mein khaTaktaa thaa main kaanTe ki tarah un ke honTon pe miraa naam hai aisaa kyon hai chaahe jis ki ho khataa koi bhi mujrim ho magar tire divaanon pe ilzaam hai aisaa kyon hai husn ki anjuman-aaraaiyaan taslim magar ishq aavaara-o-badnaam hai aisaa kyon hai aaj har shakhs ko har moD pe har mahfil mein shikva-e-gardish-e-ayyaam hai aisaa kyon hai main bhi mamnun huun saaqi kaa magar mere liye koi saaghar na koi jaam hai aisaa kyon hai jab hai be-parda koi saahab-e-jalva 'anvar' raushni sirf lab-e-baam hai aisaa kyon hai"
Anwar ShadaniAnwar Shadani
Quote
"martabe husn ke kam hon ye zaruri to nahin aap ki bazm mein ham hon ye zaruri to nahin vo to maqsum hi kuchh aur huaa karte hain sab ki taqdir mein gham hon ye zaruri to nahin yuun bhi divaane sar-e-raah bhaTak sakte hain aap ki zulf mein kham hon ye zaruri to nahin aashnaa muflis-o-naadaar ki majburi se zehn-e-arbaab-e-karam hon ye zaruri to nahin vo to kuchh raaste makhsus huaa karte hain har jagah naqsh-e-qadam hon ye zaruri to nahin chashm-e-saaqi kare rah rah ke ishaare 'anvar' aur phir hosh mein ham hon ye zaruri to nahin"
Anwar ShadaniAnwar Shadani
Quote
"suntaa hai mere ham-nashin kahti hai ye bahaar kyaa phulon se dosti na kar phulon kaa e'tibaar kyaa baazi-e-dil ki maat par baDh gae aur hausle husn ki jiit jiit kyaa ishq ki haar haar kyaa husn pe naaz kijiye aap magar na bhuliye husn to chaDhti dhuup hai dhuup kaa e'tibaar kyaa de ke chaman ko apnaa khuun maangtaa kab huun khun-bahaa main huun bahaar ke liye mere liye bahaar kyaa lazzat-e-intizaar mein kho gae ham to ai 'nadim' apnaa bhi intizaar hai un kaa hi intizaar kyaa dil mein hai anvar aaj bhi aatish-e-gham se raushni milti hai is maqaam par sarhad-e-nur-o-naar kyaa"
Anwar ShadaniAnwar Shadani
Quote
"ho jaate hain jab aap bhi hairaan dekh kar hanstaa huun apnaa chaak garebaan dekh kar phulon kaa rang-o-rup nikhartaa chalaa gayaa naazuk labon pe aap ke muskaan dekh kar ik bevafaa kaa pyaar mujhe yaad aa gayaa daur-e-khizaan mein baagh ko viraan dekh kar chalte hain jab vo naaz se kahti hai yuun bahaar ai dilrubaa sambhal ke miri jaan dekh kar ahl-e-vafaa ko apni vafaaon pe naaz hai jaur-o-sitam pe un ko pashemaan dekh kar kuchh to khudaa ke vaaste batlaao kyaa huaa bechain huun main tum ko pareshaan dekh kar anvar janaab-e-shaikh ki niyyat badal gai baazaar mein sharaab ki dukaan dekh kar"
Anwar ShadaniAnwar Shadani
Quote
"kabhi to pyaar se legaa vo naam apnaa bhi qubul hogaa kisi din salaam apnaa bhi kabhi to ham bhi rag-e-gul se kaaT dein patthar jahaan mein kuchh to ho mashhur naam apnaa bhi koi to jhaankegaa meri taraf dariche se kisi nigaah mein hogaa maqaam apnaa bhi is aarzu mein sar-e-raah baiTh jaataa huun vahaan se laaegaa qaasid payaam apnaa bhi vo jis ke dil mein jagah hai musaafiron ke liye ye kyaa zarur kare intizaam apnaa bhi machi hain shahr mein jis ke khulus ki dhumein vo shakhs kuchh to kare intizaam apnaa bhi mujhe yaqin hai saaqi ke lutf par 'anvar' sharaab-e-husn se bhar degaa jaam apnaa bhi"
Anwar ShadaniAnwar Shadani
Quote
"yuun hi kab tak miri taqdir mein bal aaeinge aaj ki baat pe kahte ho ki kal aaeinge paanv jab jazb-e-mohabbat ke nikal aaeinge vaadi-e-husn-o-javaani mein khalal aaeinge chal tu le kar hamein ai masti-e-zauq-e-sajda munh pe khaak-e-dar-e-mahbub hi mal aaeinge hausla shart hai haalaat se maayus na ho raaste khud hi chaTaanon se nikal aaeinge karvaTein letaa hai jab dard-e-mohabbat dil mein koi chupke se ye kahtaa hai sambhal aaeinge jab bahaar aaegi phulon pe shabaab aaegaa tazkire meri tabaahi ke nikal aaeinge ab na aaegaa koi saani-e-'shaadaan' 'anvar' go bahut ahl-e-sukhan ahl-e-ghazal aaeinge"
Anwar ShadaniAnwar Shadani