Quote
"na jaaegaa kisi ke gesuon kaa kham-ba-kham honaa bahut mushkil hai mere shauq ki uljhan kaa kam honaa sanam-khaana ho yaa kaaba jhukaa dungaa jabin apni agar saabit huaa mujh par tiraa naqsh-e-qadam honaa bhalaa kyunkar vo bachtaa aap ke daam-e-mohabbat se muqaddar hi mein thaa jis ke asir-e-ranj-o-gham honaa na itni de ki main bahkun na tishna-lab rahun saaqi ba-qadr-e-zarf saaghar de buraa hai besh-o-kam honaa nazar vaalon se puchho tum bulandi ku-e-jaanaan ki taajjub kyaa hai us kaa ghairat-e-baagh-e-iram honaa faqat ye soch kar aansu bahaataa huun shab-e-furqat kabhi to rang laaegaa miraa ye chashm-e-nam honaa chaman ke gosha gosha mein faqat bijli kaa charchaa hai kuchh aisaa rang laayaa hai miraa jal kar bhasam honaa tah-e-khanjar bhi honTon par mire aaya to ye aaya mubaarak ho sitam-ijaad ko ahl-e-sitam honaa khayaal-e-hur mein din-raat vo badmast rahtaa hai nahin kuchh kaam aaya shaikh kaa ahl-e-haram honaa tavaqqo rahm ki us se na rakh tu ai dil-e-naadaan kabhi mumkin nahin jallaad kaa ahl-e-karam honaa adaa karke rahungaa ek din main is farize ko agar taqdir mein hi likh gayaa hai sar qalam honaa hazaaron ranj-o-gham sah kar bhi main hanstaa huun ai 'ahmar' bashar ke vaaste hai laazmi saabit-qadam honaa"







