Quote
"baadbaan ko gila havaaon se aur mujh ko hai naa-khudaaon se dushmanon se bhi ab nahin laDtaa pahle laDtaa thaa main havaaon se gaanv mein lag rahaa hai phir melaa bachche bichhDeinge kitne maaon se log mehnat ke beach boeinge jab bhi fursat mili duaaon se habs se bujh gayaa diyaa ghar kaa main bachaataa rahaa havaaon se mere kheton ko is dafa 'aarif' kitni ummid thi ghaTaaon se"







