SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"ajiib shakhs hai tevar hai baaghiyaana saa banaae rakhtaa hai suuli pe aashiyaana saa ajiib shauq hai shauq-e-visaal bhi us kaa gulaal chehra tabassum hai faatehaana saa nigaah-e-naaz liye khvaab khvaab surat hai har aadmi hai yahaan gum-shuda fasaana saa tasavvuraat ke but TuTte bikharte hain har ik jumud pe lagtaa hai taaziyaana saa taDapti machhli ki aankhein phaDak gai si hain ghazab kaa saadh rahaa hai koi nishaana saa zamaana-saaz qalandar hai kis khayaal mein gum aur us ke zer-e-qadam hai paDaa zamaana saa jhukaae rakhti hai us ke kalaam ki quvvat libaas Daal rakhaa hai phaTaa-puraanaa saa kisi ne maut ki parchi pe likh diyaa 'ulfat' ye zindagi se taaaruf hai ghaaebaana saa"
Ashhad Karim UlfatAshhad Karim Ulfat
Quote
"ik diyaa jal rahaa hai havaa tez hai dil magar kaanptaa hai havaa tez hai 'aarizon ke par pankh kyaa ho gae shauq mahv-e-duaa hai havaa tez hai ek jhonke mein khushbu kahaan uD gai kaun saa gul khilaa hai havaa tez hai dasht-dar-dasht uDti hui khaak mein zindagi laapata hai havaa tez hai kah rahi hain samundar ki khaamoshiyaan mere siine mein kyaa hai havaa tez hai mast haathi se baadal kahaan kho gae chiyunTiyon si ghaTaa hai havaa tez hai kaun rotaa hai vaqt-e-sahar dil dukhaa ik sisakti sadaa hai havaa tez hai kyaa vo aayaa ki zanjir hilne lagi yaa miraa vaahima hai havaa tez hai is bulandi se guzre to aisaa lagaa kyaa khuli si fazaa hai havaa tez hai ham kahaan jaa rahe hain zamin chhoD kar ye safar kaun saa hai havaa tez hai"
Ashhad Karim UlfatAshhad Karim Ulfat
Quote
"du'aa-e-dast-e-fazilat se sar ki raunaq hai hamaare ghar ke buzurgon se ghar ki raunaq hai dar-o-divaar se kilkaariyaan nikalti huiin abhi bhi sahn mein buDhe shajar ki raunaq hai hari-bhari hai ye chaukhaT kisi ke qadmon se hamaari nim-shabi bhi sahar ki raunaq hai zamaana dekh chukaa hai jalaal suraj kaa ye shaam surma-e-nur-e-nazar ki raunaq hai vo apne lutf se miTTi mein jaan Daaltaa hai ye chaak-e-husn-e-jahaan kuza-gar ki raunaq hai sukut-e-shab bhi abhi tak muraaqabe mein hai hamaari chhat kisi gard-e-safar ki raunaq hai ye bistare ki haraarat ye Dolti zanjir kivaaD tohfa-e-baab-e-asar ki raunaq hai"
Ashhad Karim UlfatAshhad Karim Ulfat
Quote
"unche peDon ke niche hansi rah gai kaali parchhaain mein chaandni rah gai surkh gaalon pe aansu ke qatre gire phuul se honT par tishnagi rah gai ai khudaa teri duniyaa mein sab kuchh to hai dil dhaDaktaa hai kyon kyaa kami rah gai kis ne tasvir khinchi hai aavaaz ki duur se bolti zindagi rah gai sar-e-shaam tezi se rukhsat hui raat ke haath mein raushni rah gai gahri khaamoshiyon mein shikan thi bahut niind aankhon tale jaagti rah gai sard raaton ki peshaaniyaan chuum kar barf si subhon mein kapkapi rah gai saare auraaq dimak-zada the magar vaqt ke saaz par shaairi rah gai harf aayaa nahin meri 'ulfat' pe kyon jaan-ba-haq ho gae jaan-kani rah gai"
Ashhad Karim UlfatAshhad Karim Ulfat
Quote
"saans chaDhti hui utarti hui zindagi TuTti bikharti hui har taraf maut hi ki dastak hai dil ki aavaaz kyon hai marti hui gahri taarikiyon mein jugnu si aankh khulti hai apni Darti hui kalima-e-haq labon pe jaari rakh raushni si ho kuchh ubharti hui kyaa qayaamat kaa din nikal aayaa jalte suraj se garm dharti hui sabr surat bhi phuul jaisi hai dekhiye aag mein nikharti hui ik tajalli zarur aaegi dhund ke phaile par katarti hui pyaari pyaari si baat ulfat ki fikr ke saare zakhm bharti hui"
Ashhad Karim UlfatAshhad Karim Ulfat
Quote
"kisi ke 'ishq ki shiddat abhi junun mein hai ubaal khaati nigaahon kaa dard khuun mein hai khayaal-o-khvaab ke kuchh vaahime se uDte hain vo ek ghunne ki aavaaz main ke nuun mein hai ye kis ne phuul khilaayaa hai sang-rezon mein baDe kamaal ki miTTi khat-e-funun mein hai ye zindagi ki chamak aur dhaDkanein dil ki ki 'aks Tuut gayaa aaina sukun mein hai kabhi kabhi kahin paagal vo baDbaDaataa hai bataao kaun haqiqat ke andarun mein hai guzarnaa paDtaa hai 'ashhad' se ho ke ulfat tak chalo kahin koi apnaa kisi butun mein hai"
Ashhad Karim UlfatAshhad Karim Ulfat
Quote
"lahu kaa josh aksar kholte paani mein rahtaa hai bahut khud-sar hai baaghi 'ishq naadaani mein rahtaa hai mire dushman Dubone ke liye bechain rahte hain ye tinkaa shaan se dariyaa ki tughyaani mein rahtaa hai kahaan hai misra'-e-avval dimaaghon se pare ho kar musalsal zehn khoyaa misra'-e-saani mein rahtaa hai kahaan kunj-e-qafas kaa daagh aur daam-e-havas ai dil badan kaa qarz-e-hijrat chaak-daamaani mein rahtaa hai kisi shaitaan ne us kaan mein shira lagaayaa hai vo meraa dost hai aur dushman-e-jaani mein rahtaa hai hamaare faqr-o-faaqa se ye duniyaa khauf khaati hai hamaari khaak kaa charchaa to sultaani mein rahtaa hai"
Ashhad Karim UlfatAshhad Karim Ulfat
Quote
"ye surkh lafz miri zaat se nikalte hain ki she'r shiddat-e-jazbaat se nikalte hain ye aankhein laal gulaabi yunhi nahin hotin dilon ke dard to haalaat se nikalte hain hamaare khvaab to raushan tumhaare naam se hain hazaar rang khayaalaat se nikalte hain ye din ke saare ujaale kahaan se aate hain kisi ne Thiik kahaa raat se nikalte hain tumhaare haath ki lambaai aur baDh jaae bahut se kaam to sadqaat se nikalte hain vafaa ki raah mein sunnat hai sabr-e-ayyubi salaam zulf ki khairaat se nikalte hain tumhaare haath ki 'azmat ko chumte hain ham hamaare qad to isi haath se nikalte hain hamaare munh mein tumhaari zabaan rakkhi hai ye miThe ras inhin naghmaat se nikalte hain zamaana rang badaltaa hai gham na kar 'ulfat' sunahre pal bhi to lamhaat se nikalte hain"
Ashhad Karim UlfatAshhad Karim Ulfat
Quote
"phir ek she'r savaalon mein gum hai kis ke liye dimaagh dil ke havaalon mein gum hai kis ke liye ye zindagi ke masaail hain aur kuchh to nahin shab-e-daraaz ujaalon mein gum hai kis ke liye main us ke vaaste paagal nahin huaa phir bhi junun-e-'ishq misaalon mein gum hai kis ke liye ye kis ke honT ki lazzat kaa lams jaagaa hai sharaab-e-did piyaalon mein gum hai kis ke liye hai kaisi dhund darakhton ki hansti shaakhon par nazar kaa chaand khayaalon mein gum hai kis ke liye sunahri yaad ki kuchh titliyaan si uDti hain safed phuul vo baalon mein gum hai kis ke liye sunaai deti hain kuchh siskiyon ki aavaazein taDapti aah bhi naalon mein gum hai kis ke liye sharik-e-dard vahi hai vahi hai sabr-shanaas usi kaa zikr kamaalon mein gum hai kis ke liye kisi ki zarra-navaazi kaa mol kyaa 'ulfat' faqir chaahne vaalon mein gum hai kis ke liye"
Ashhad Karim UlfatAshhad Karim Ulfat
Quote
"ik baar sunoge nahin sau baar sunoge dil dard kaa baazaar hai kyaa yaar sunoge parbat ki tarah unche khaDe log hain gunge tum apni hi aavaaz ko har baar sunoge jin shor se labrez hain khaamosh nigaahein un chikhte sannaaTon ko be-kaar sunoge divaaron mein dafnaai gai hain kai baatein har iinT mein afsaana-e-divaar sunoge alfaaz ne rukh badlaa hai kaaghaz se nikal kar akhbaar paDhoge nahin akhbaar sunoge is daur mein insaan ke haalaat na puchho dil murda huaa zehn hai bimaar sunoge ulfat ki ye aavaaz dabi hai na dabegi har saans mein hai jiine ki lalkaar sunoge"
Ashhad Karim UlfatAshhad Karim Ulfat
Quote
"zindagi baandhi gai hai jab havaa ki Dor se main ne tufaan ko dabaa rakhaa hai apni or se roz-o-shab ki aaDi tirchhi si kai parchhaaiyaan shaam jaise baiThi ho kaajal lagaa kar bhor se thartharaate honT par kuchh TuTte alfaaz hain dil dhaDaktaa jaa rahaa hai aur bhi kuchh zor se surkh aankhon ki lakiron ne nichoDaa dil kaa khuun ret ke zarron ko suraj dekhtaa hai ghaur se zulm ki taaqat alag hai sabr ki taaqat alag dard kaa rishta vafaa se hai sitam kaa jaur se kaun suntaa hai kisi key saans ke naghmon key dhun sab ne apnaa raag chheDaa apne apne taur se vaqt gardish kar rahaa hai suui ki ik nok par ham bhi laD kar ji rahe hain kaise naazuk daur se"
Ashhad Karim UlfatAshhad Karim Ulfat
Quote
"aap naaraaz hain aur ham bhi to sharminda hain donon din-raat taDapte hain magar zinda hain shaakh-e-mizhgaan pe ubhar aae hain kuchh naqsh-e-jamaal zehn ki khaak mein chehre kai taabinda hain shabnami raat ke phulon ne utaare hain libaas garm poshaak mein suraj ke numaainda hain dil ki dhaDkan bhi vahi saans ke naghme bhi vahi har rag-o-reshe tire naam ke saazinda hain surkh aankhon ne jalaa rakkhe hain paani ke charaagh kuchh sitaare bhi sar-e-shaam darakhshanda hain amn ki bhiik bhi milti nahin jiine ke liye jaane kis mulk ke ujDe hue baashinda hain dekhiye haal-e-pareshaan ko ulaT kar 'ulfat' ham kisi maazi ke khoe hue aainda hain"
Ashhad Karim UlfatAshhad Karim Ulfat