SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"vo dil-e-naazuk pe zakhmon ki giraani de gayaa taa-qayaamat na miTe aisi nishaani de gayaa meri aankhon ke samundar mein ravaani de gayaa dil ko pyaasaa rakh ke chashm-e-tar ko paani de gayaa laaun main sabr-o-shakebaai kahaan se dosto iztiraabaat-e-judaai jaavedaani de gayaa husn-e-zan rakhtaa thaa pahle vaadiyaan-e-'ishq se mausam-e-gul-rang badlaa bad-gumaani de gayaa thi vafaa ki aas us be-dard se dil ko magar dard bhi dil ko baraae mehrbaani de gayaa pahle aankhon mein vo 'ashraf' phir huaa dil mein muqim dard ke kuchh gul khilaa kar paasbaani de gayaa"
A
Ashraf Kamal Azami Nadvi
Quote
"nahin hai Thiik dikhaave ki shaan rahne de tu rah zamin pe fazaa mein uDaan rahne de tire mahal ki zarurat na thi na hai ham ko hamaare sar pe khulaa aasmaan rahne de na chheD vasl ki baatein na gul na gulshan ki gham-e-firaaq ye aah-o-fughaan rahne de nigaah-e-shauq se mat dekh sar-ba-kaf ho kar sahaa na jaae karam mehrbaan rahne de hai tarjumaan-e-jigar khuub chashm-e-ghammaazi na khol apni mubaarak zabaan rahne de tu mere haath se talvaar chhin le 'ashraf' qalam kaa tiir varaq ki kamaan rahne de"
A
Ashraf Kamal Azami Nadvi
Quote
"sab ko qaail kar rahi hai khush-bayaani aap ki kyaa qayaamat Dhaae hai ghuncha-dahaani aap ki hain nigaahein baaz aur zauq-e-nazar mein shokhiyaan dil mein rakh chhoDi hai main ne ik nishaani aap ki aap mohsin hain hamaare aap kaa ehsaan hai ham-safar apnaa banaayaa mehrbaani aap ki aap ki 'ishva-taraazi aap kaa husn-e-nazar yaad hain kyaa kyaa mujhe baatein puraani aap ki hai taghaaful aaj ham se kal talak the aashnaa kyon khafaa nazrein huiin hain naa-gahaani aap ki dil ke maskan mein jagah di aap ne mehmaan ko shaan rakhti hai anokhi mezbaani aap ki khub-surat hai kitaab-e-zindagi kaa har varaq jab se 'ashraf' ne sunaai hai kahaani aap ki"
A
Ashraf Kamal Azami Nadvi
Quote
"hai TuuTaa dil miraa ab is jahaan se na aataa kaash main aayaa kahaan se vo ham se duur bhaage is tarah se ki shaitaan bhaagtaa jaise azaan se kiyaa faaqa na bechaa ghar puraanaa bahut hai yaad vaabasta makaan se miraa dil hi nahin jab saath mere main kyaa ummid rakhun kaarvaan se kutar degi ajal ik din tiraa par na rakh parvaaz unchi kahkashaan se mire dil ke qarib aa jaao hamdam ghalat-fahmi haTaa do darmiyaan se ghazal-goi ki koshish hai ye 'ashraf' mohabbat hai mujhe urdu zabaan se"
A
Ashraf Kamal Azami Nadvi
Quote
"huaa nilaam ghar aur khaanmaan aahista-aahista chale ham chhoD ke apnaa makaan aahista-aahista mazammat kar rahaa hai is bayaan-e-haq pe har koi huaa hai dushman-e-jaani zamaan aahista-aahista hayaa-o-sharm hain maane' agarche lab-kushaai se nigaah karti hai lekin sab bayaan aahista-aahista bujhaa de tishnagi ai abr-e-baaraan ab ke sahraa ki haTaa rukh se naqaab-e-darmiyaan aahista-aahista vo chashm-e-be-muravvat se mujhe dekhaa kiye yaaro lab-o-lahje mein aaiin sakhtiyaan aahista-aahista dam-e-rukhsat mire jazbaat qaabu se rahe jaate 'ayaan hone lagaa raaz-e-nihaan aahista-aahista shikast-e-kaar-zaar-e-'ishq ki lazzat ko kyaa kahnaa main 'ashraf' aur hotaa huun javaan aahista-aahista"
A
Ashraf Kamal Azami Nadvi
Quote
"haTi chehre se jab un ke naqaab aahista-aahista savaal aahista-aahista javaab aahista-aahista sunaa hai shauq ki sachchaaiyaan vo aazmaate hain rukh-e-raushan se uThti hai naqaab aahista-aahista tiri zulf-e-pareshaan is tarah chehre pe aati hai ki jaise chaand par chhaae sahaab aahista-aahista khizaan kaa khauf hai yaa mausamon ki kaj-adaai hai bahaaron mein bhi murjhaae gulaab aahista-aahista gul-o-bulbul bahut naazaan the sab gulshan ki zinat par magar jaataa rahaa aakhir shabaab aahista-aahista janaab-e-'daagh' ki urdu miri ghazlon kaa aaina murattab hogi ghazlon ki kitaab aahista-aahista 'ajab andaaz rakhtaa hai ye andaaz-e-karam 'ashraf' nigaahein tez hain lekin khitaab aahista-aahista"
A
Ashraf Kamal Azami Nadvi
Quote
"hamaari kam-nasibi ke yahi aasaar lagte hain ham apne aap hi se barsar-e-paikaar lagte hain paDaa jab vaqt apnon ne bhi ham se pher li aankhein jo kal tak jaan-e-jaan the ab vahi aghyaar lagte hain shab-e-yaldaa hai sharminda tiri zulf-e-pareshaan se harif-e-ghuncha-e-nauras lab-o-rukhsaar lagte hain hue jin ke sabab bimaar khud vo ham se kahte hain rukh-e-zebaa pe hai afsurdagi bimaar lagte hain sar-e-mahshar vo bole kheinch kar talvaar-e-mizhgaan ko ye pahle zabh hone ke liye tayyaar lagte hain jo dekhe fan ki shaadaabi mire hasrat se kahtaa hai jigar ke khuun se sinche hue ash'aar lagte hain unhin ke dam se hai qaaem hamaari ziist ki zinat tarahdaari se 'ashraf' bulbul-e-gulzaar lagte hain"
A
Ashraf Kamal Azami Nadvi
Quote
"bujhegi tishna-labi kyaa miri samundar se main apne khvaab sunaataa nahin isi Dar se main phunk phunk ke rakkhun na kyon qadam apnaa sabaq milaa ye mujhe raaste ki Thokar se vo kar rahaa hai malaamat mujhe magar meri zabaan hai band rahi ai khudaa tire Dar se main jaan-ba-haq huaa sahraa-e-tishnagi mein magar vo haath dhote rahe apne aab-e-kausar se ye dil miraa hai mohabbat kaa ek shish-mahal ise na toD tu apni jafaa ke patthar se ridaa-e-aarzu ki bas yahi haqiqat hai chhupaanaa paaon jo chaahaa to haT gai sar se ghamon ki bhiiD se 'ashraf' main is liye bhaagaa ki aas rakhtaa nahin main shikasta lashkar se"
A
Ashraf Kamal Azami Nadvi