SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byAshraf Raza Qadri(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"main jis se bhi ik lamhe ko mansub rahaa huun ye sach hai har us shakhs kaa mahbub rahaa huun ik daur thaa mujh par bhi bahut log fidaa the ik daur mein main khuub bahut khuub rahaa huun mujh ko bhi mayassar thi faqiri ki ye daulat ik 'arse talak yaar main majzub rahaa huun jin logon se milnaa hi mire bas mein nahin thaa kuchh aise hi logon kaa main matlub rahaa huun dariyaa ke talaatum se jo laayaa thaa bachaa kar ab us ki 'inaayat se hi main Duub rahaa huun kuchh aur nayaa ho to dikhaa de mujhe varna duniyaa tiri raunaq se main ab uub rahaa huun ye zindagi ghurbat mein guzaari hai ai 'ashraf' taa-umr magar saahib-e-uslub rahaa huun"
A
Ashraf Raza Qadri
Quote
"muskuraanaa tumhin se sikhaa hai har bahaana tumhin se sikhaa hai gham ke mausam mein hans ke dushman ka dil jalaanaa tumhin se sikhaa hai apne mahbub ki khushi ke liye haar jaanaa tumhin se sikhaa hai mujh ko maa’lum hi na thaa kuchh bhi gungunaanaa tumhin se sikhaa hai chhoTi chhoTi si baat par aksar ruuTh jaanaa tumhin se sikhaa hai gham ka mujh par asar nahin hotaa gham bhulaanaa tumhin se sikhaa hai ham to naa-ahl the magar 'ashraf' dostaana tumhin se sikhaa hai"
A
Ashraf Raza Qadri
Quote
"tiri yaadon mein hi gum-sum rahun ab ye nahin hogaa tire hi husn ke qisse likhun ab ye nahin hogaa anaa ko raund kar khuddaari ko paamaal kar Daalun kisi bhi husn par main mar-miTun ab ye nahin hogaa mire bhi muntazir hain aish-o-aaraaish zamaane mein tire hi hijr mein martaa rahun ab ye nahin hogaa vo jis ne chhoD kar mujh ko kisi kaa haath thaamaa thaa use apnaaun aur us se milun ab ye nahin hogaa bharam jis ne mohabbat kaa sar-e-baazaar toDaa thaa main us ke vaaste aahein bharun ab ye nahin hogaa zaraa bhi qadr jis ne ki nahin meri mohabbat ki main us ki yaad mein dar-dar phirun ab ye nahin hogaa ai 'ashraf' jo miri duniyaa se kaafi duur jaa baiThaa main aise shakhs ko apnaa kahun ab ye nahin hogaa"
A
Ashraf Raza Qadri
Quote
"'ishq kaa diip har ik dil mein jalaao jaanaan husn aur 'ishq ki tafsir bataao jaanaan tum ko divaangi kyaa hai ye samajhnaa ho agar tum bhi majzub ki dahliz pe jaao jaanaan husn ko un ke faqat husn samajhte ho tum pahle duniyaa mein koi misl to laao jaanaan mujh se milne ki tamannaa hai to aa kar mil lo naaz nakhre na mujhe aise dikhaao jaanaan bas sharaf diid kaa ik baar 'inaayat kar do is qadar ab na mire dil ko sataao jaanaan gar tumhein ziist mein taklif nahin chaahiye to tum kisi se bhi yahaan dil na lagaao jaanaan aa gae hain agar 'ashraf' to ye kah do un se phir koi taaza ghazal likh ke sunaao jaanaan"
A
Ashraf Raza Qadri