SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byAslam Aazad(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"ajiib shakhs hai mujh ko to vo divaana lage pukaartaa huun to us ko miri sadaa na lage guzar rahaa hai mire sar se jo havaa ki tarah kabhi kabhi to vahi lamha ik zamaana lage gali mein jis pe har ik samt se chale patthar mujhe vo shakhs kisi tarah bhi buraa na lage mizaaj us ne bhi kaisaa ajiib paayaa hai hazaar chheD karun par use buraa na lage hamaare pichhe vo chup-chaap baiThaa rahtaa hai main sochtaa huun magar kuchh mujhe pataa na lage isi khayaal se shaayad hai band vo khiDki ThaThurti shaam ki us ko kahin havaa na lage sunaaein kis ko yahaan aap-biti ai 'aslam' hamein to apni hi har baat khud fasaana lage"
Aslam AazadAslam Aazad
Quote
"jagmagaati khvaahishon ne mujh ko andhaa kar diyaa qurbatein bakhshin to mahrum-e-tamannaa kar diyaa ab to apne aap ko bhi yaad ham aate nahin intishaar-e-zaat ne yuun reza-reza kar diyaa shisha-e-dil mein sukun kaa aks bhi baaqi nahin kin aziyyat-naak lamhon se shanaasaa kar diyaa naa-tavaan darvaaze buDhi khiDkiyaan lau de uThin reshmi pardon ne ek ik ghar ko nangaa kar diyaa narm sargoshi na qadmon ki shanaasaa aahaTein gaanv ki galiyon ko 'aslam' kis ne tanhaa kar diyaa"
Aslam AazadAslam Aazad
Quote
"aankhon se main ne chakh liyaa mausam ke zahr ko lekin vajud sah na sakaa us ke qahr ko pheinkaa thaa kis ne sang-e-havas raat khvaab mein phir DhunDhti hai niind usi pichhle pahr ko miTTi ke sab makaan zamin-doz ho gae naqshe mein ab talaash karo apne shahr ko dariyaa-e-shab kaa TuuT gayaa hai sukut aaj muddat ke baa'd dekh ke kirnon ki nahr ko saae ke saath vaqt ke dauDaa vo der tak palkon mein phir chhupaa liyaa lamhon ke qahr ko paimaana-e-gulaab ko honTon se chuum kar muTThi mein qaid kar liyaa khushbu ki lahr ko"
Aslam AazadAslam Aazad
Quote
"har su hai taariki chhaai tum bhi chup aur ham bhi chup kis ne aisi shama jalaai tum bhi chup aur ham bhi chup kis jaanib hai apni manzil doraahe par aa pahunche kis ne aisi raah bataai tum bhi chup aur ham bhi chup dasht-e-tapaan mein jaane kab se dil ne di hain aavaazein koi bhi aavaaz na aai tum bhi chup aur ham bhi chup raah kisi ki takte takte taare bhi ab raakh hue subh ki devi bhi muskaai tum bhi chup aur ham bhi chup dard ke be-paayaan sahraa mein duur talak hai sannaaTaa zakhm-e-dil ne li angDaai tum bhi chup aur ham bhi chup"
Aslam AazadAslam Aazad
Quote
"vo kyaa hai kaun hai ye to zaraa bataa mujh ko ki jis ne sang mein tabdil kar diyaa mujh ko main kho na jaaun kahin dasht-e-naa-muraadi mein tu apni aaankhon ki aaghosh mein chhupaa mujh ko kisi tarah na tilism-e-sukut TuuT sakaa vo de rahaa thaa bahut duur se sadaa mujh ko main dusron ki malaamat kaa bojh sah lungaa magar tu apni nazar se na yuun giraa mujh ko main tere saamne phir sar-buland ho na sakun gunah ki ret mein is tarah mat dabaa mujh ko badan ki aag ko oDhaa hai chaadaron ki tarah mili hai khuub mire jurm ki sazaa mujh ko"
Aslam AazadAslam Aazad
Quote
"kahin pe qurb ki lazzat kaa iqtibaas nahin tire khayaal ki khushbu bhi aas-paas nahin hazaar baar nigaahon se chuum kar dekhaa labon pe us ke vo pahli si ab miThaas nahin sajaa ke botalein Table pe muntazir hon magar qarib o duur nigaahon ke vo gilaas nahin samundaron kaa ye namkin paani kaise piyun piyaasaa huun magar itni ziyaada pyaas nahin ye aur baat ki mujh se bichhaD ke khush hai magar vo kaise kah de ki main in dinon udaas nahin tumhaare kapDe kahin gard mein na aT jaaein ye khushk patton kaa bistar hai sabz ghaas nahin bujhi bujhi sahi ye dhuup kam nahin 'aslam' ab is ke baad kisi raushni ki aas nahin"
Aslam AazadAslam Aazad
Quote
"yaadon kaa lams zehn ko chhu kar guzar gayaa nashtar saa mere jism mein jaise utar gayaa maujon kaa shor mujh ko Daraataa rahaa magar paani mein paanv rakhte hi dariyaa utar gayaa pairon pe har taraf hi havaaon kaa raqs thaa ab sochtaa huun aaj vo manzar kidhar gayaa do din mein khaal-o-khat mire tabdil ho gae aaina dekhte hi main apne se Dar gayaa apnaa makaan bhi thaa usi moD par magar jaane main kis khayaal mein auron ke ghar gayaa us din miraa ye dil to bahut hi udaas thaa shaayad sukun hi ke liye dar-ba-dar gayaa main sang huun na aur vo shisha hi thaa magar 'aslam' jo us ko haath lagaayaa bikhar gayaa"
Aslam AazadAslam Aazad
Quote
"jagmagaati khvaahishon kaa nuur phailaa raat bhar sehn-e-dil mein vo gul-e-mahtaab bikhraa raat bhar ek bhulaa vaaqia jab dafatan yaad aa gayaa aatish-e-zauq-e-talab ne phir jalaayaa raat bhar doston ke saath din mein baiTh kar hanstaa rahaa apne kamre mein vo jaa kar khuub royaa raat bhar niind ke sahraa mein paani ki tarah gum ho gayaa main ne us ko khvaab mein har samt DhunDaa raat bhar dhuup ke baadal baras kar jaa chuke the aur main oDh kar shabnam ki chaadar chhat pe soyaa raat bhar niind ki komal fasilein aandhiyon mein bah gaiin main ne apne khvaab ki laashon ko Dhoyaa raat bhar narm bistar par shikan ki kirchiyaan bikhri rahin main ne 'aslam' ik ajab saa khvaab dekhaa raat bhar"
Aslam AazadAslam Aazad
Quote
"raasta sunsaan thaa to muD ke dekhaa kyuun nahin mujh ko tanhaa dekh kar us ne pukaaraa kyuun nahin dhuup ki aaghosh mein leTaa rahaa main 'umr bhar mehrbaan thaa vo to misl-e-abr aayaa kyuun nahin ek panchhi der tak saahil pe manDlaataa rahaa muztarib thaa pyaas se lekin vo utraa kyuun nahin qurb ki qaus-e-quzah kamre mein bikhri thi magar raat bhar rang-e-tamannaa phir bhi nikhraa kyuun nahin mujh ko patthar mein badalte chaahe khud ban jaate vo mom khvaahish-e-tifl-e-tamannaa ko jagaayaa kyuun nahin us ko tanhaa paa ke 'aslam' raat apne room mein qatra-e-khun-e-havas aankhon mein aayaa kyuun nahin"
Aslam AazadAslam Aazad
Quote
"hamaari yaad unhein aa gai to kyaa hogaa ghaTaa idhar ki udhar chhaa gai to kyaa hogaa abhi to bazm mein qaaem hai do dilon kaa bharam nazar nazar se jo Takraa gai to kyaa hogaa dhaDak rahaa hai sar-e-shaam hi se dil kam-bakht visaal-e-yaar ki subh aa gai to kyaa hogaa ye sochtaa huun ki dil ki udaas galiyon se tumhaari yaad bhi katraa gai to kyaa hogaa surur aa gayaa rindon ko dekhte hi subu jo mai-kade pe ghaTaa chhaa gai to kyaa hogaa vo baat jis se dhuaan uTh rahaa hai siine se vo baat lab pe agar aa gai to kyaa hogaa vafaa kaa dam na bharo dosto tum 'aslam' se tumhein jo vaqt pe jhuTlaa gai to kyaa hogaa"
Aslam AazadAslam Aazad
Quote
"uDte lamhon ke bhanvar mein koi phanstaa hi nahin is samundar mein koi tairne vaalaa hi nahin saalhaa-saal se viraan hain dil ki galiyaan ek muddat se koi is taraf aayaa hi nahin aankh ke ghaar mein hain saikDon saDti laashein jhaank kar un mein kisi ne kabhi dekhaa hi nahin duur tak phail gai TuTte lamhon ki khalij vaqt kaa saaya mire sar se utartaa hi nahin silsila rone kaa sadiyon se chalaa aataa hai koi aansu miri palkon pe Thahartaa hi nahin jalte aakaash ki Dhalvaan pe suraj kaa vajud ik pighaltaa huaa laavaa hai ki bujhtaa hi nahin"
Aslam AazadAslam Aazad
Quote
"kisht-e-dil viraan sahi tukhm-e-havas boyaa nahin khvaahishon kaa bojh main ne aaj tak Dhoyaa nahin us ki aankhon mein bichhaa hai surkh tahriron kaa jaal aisaa lagtaa hai ki ik muddat se vo soyaa nahin khvaab ki anjaan khiDki mein nazar aayaa thaa jo zehn ne us chehra-e-maanus ko khoyaa nahin ek muddat par mile bhi to na milne ki tarah is tarah khaamosh ho munh mein zabaan goyaa nahin main ne apni khvaahishon kaa qatl khud hi kar diyaa haath khun-aalud hain in ko abhi dhoyaa nahin dekh kar honTon pe mere muskuraahaT ki lakir vo samajhte hain ki 'aslam' main kabhi royaa nahin"
Aslam AazadAslam Aazad