SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byAvinash Pandey(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"tumhaare jism kaa saaya paDaa nahin hogaa dayaar-e-gham mein ujaalaa huaa nahin hogaa zaraa si baat samajhne mein ek umr lagi vo khud-parast hai vo baa-vafaa nahin hogaa bahut khamosh-nafas thaa guzarne vaalaa bhi so us ki maut kaa shohra huaa nahin hogaa tire khayaal kaa baadal baras gayaa thaa vahaan so jism-o-jaan kaa sahraa tapaa nahin hogaa use yaqin hai kitnaa ki us ke jaane se koi bhi shakhs akelaa huaa nahin hogaa ye ho bhi saktaa hai duniyaa kaa koi maalik ho magar ye tai hai kitaabi khudaa nahin hogaa jo us ko qatl kiyaa us ke chaarasaazon ne 'junun' ke dard kaa darmaan huaa nahin hogaa"
Avinash PandeyAvinash Pandey
Quote
"ab intishaar ki hasrat nahin kharaabe ko jo aa rahe ho to aao ye ghar basaane ko tiraa vajud miri zaat ke liye kyaa hai khudaa kaa aasraa jaise kisi abhaage ko zamaane bhar ke masaail mein aise uljhe hain hamaare haal kaa kuchh gham nahin hamaare ko khat us ko likhte agar khat mein us ko kyaa likhte ravaana ham ne tahi kar diyaa lifaafe ko gai ruton mein kai phuul aae the un par ab ek barg nahin hai badan chhupaane ko main khul ke kar nahin saktaa thaa apnaa dukh zaahir koi samajh bhi na paayaa mire ishaare ko har ik ke bas kaa kahaan hai sameTnaa vahshat junun na jaan faqat khaak ke uDaane ko"
Avinash PandeyAvinash Pandey
Quote
"aql jis pahlu se chaahe ziist samjhaae ise dil kaa ye 'aalam ki har lamhe se khauf aae ise dasht kaa raahi bhaTak kar aa gayaa hai shahr mein qais koi ho to apne saath le jaae ise sar-ba-zaanu yaad kaa zindaani hai baiThaa huaa koi miThi yaad aae aa ke sahlaae ise ye hi sab ko dars detaa hai qaraar-o-sabr kaa ye hi bekal ho uThe to kaun samjhaae ise bulbul-e-muztar ki qismat jaag jaae ek din chhu ke gul baad-e-sabaa chhu kar guzar jaae ise ajnabi ek shahr mein hai ajnabi logon ke biich kaun pahchaane ise aur le ke ghar jaae ise tum ko gar bimaar ki hai fikr kuchh aisaa karo ye baDi taklif mein hai niind aa jaae ise ai junun ab dil kaa koi aur maskan DhunD lo hai pari-chehra koi jo aa ke le jaae ise"
Avinash PandeyAvinash Pandey
Quote
"khush-dili se bazm-e-duniyaa se guzar jaaeinge ham ai dil-e-be-e-aasraa ik roz mar jaaeinge ham meri kashti ke musaafir sab samajhte hain ye ramz Duub jaaeinge agar to paar utar jaaeinge ham ik musalsal be-dili yaa ik mukammal be-khudi apni haalat ko agar dekhein to Dar jaaeinge ham jism-e-faani shukriya teraa hamein taskin hai ek din dasht-e-balaa ke paar utar jaaeinge ham ghar kise kahte hain kumba kis balaa kaa naam hai in savaalon mein agar uljhe to mar jaaeinge ham jama karte karte khud ko aane lagtaa hai khayaal phir se koi haadisa hogaa bikhar jaaeinge ham"
Avinash PandeyAvinash Pandey
Quote
"aankhon se jin ki ashk nikalte nahin vo log rone lagein agar to sambhalte nahin vo log vo log jin se dard kaa rishta thaa ustuvaar duniyaa badal gai hai badalte nahin vo log aabaad jin ke dam se hue koh aur dasht kyaa hotaa gar gharon se nikalte nahin vo log vo jin pe chaDh gayaa kabhi dard-o-alam kaa rang bazm-e-tarab ke rang mein Dhalte nahin vo log ushshaaq par zamaane kaa ye jaur ye sitam haathon mein ik kali bhi masalte nahin vo log ahl-e-qalam se shaah ko hai masala to ye qissa kahaaniyon se bahalte nahin vo log"
Avinash PandeyAvinash Pandey
Quote
"raqs karte hain miri aankh mein manzar kyaa kyaa dekhtaa rahtaa huun main khvaab ke baahar kyaa kyaa vaqt zaalim ne bhulaa diin hamein kaisi baatein haae maazi ke khazine mein the gauhar kyaa kyaa ik tire naam kaa aanaa thaa zabaan par aur bas ham pe barse hain har ik samt se patthar kyaa kyaa ghar se baahar ko nikalnaa bhi to ghar aanaa bhi din guzarte hain mire ranj uThaa kar kyaa kyaa ab jo aa pahunche hain tujh tak to nahin kahte ham raah mein khaai hai ushshaaq ne Thokar kyaa kyaa ek arsa huaa dekhaa hi nahin us jaanib jaane tabdil huaa hai mire bhitar kyaa kyaa jaane kyaa kaifiyyat-e-dil hai hamaari imroz naam rakkhe hain junun kaif badal kar kyaa kyaa"
Avinash PandeyAvinash Pandey
Quote
"vasl ki zid se uThein hijr ko royaa na karein besh-qimat hain ye lamhe inhein khoyaa na karein naasehaa aur bataa ham ko ki kyaa kyaa na karein din mein soyaa na karein raat ko jaagaa na karein manzil-e-zikr rukh-e-yaar se aage kuchh ho ham se to ho nahin saktaa ise sochaa na karein ham ko rahnaa hai isi qarya-e-kam-nazraan mein sakht mushkil hai yahaan rah ke dikhaavaa na karein jhuuT sau baar kahaa jaae to sach lagtaa hai mashvara ye hai ki khud par bhi bharosa na karein yaar kahte hain ki ye taur-e-junun achchhaa nahin us ki tasvir ko aankhon se lagaayaa na karein ham nahin kar sake logon ki nazar ko qaabu laDkiyon se kaho baarish mein yuun bhigaa na karein ab jidhar dekhiye ik mahshar-e-khubi hai bapaa aarzu kis ki karein kis ki tamannaa na karein kaif hain aap koi majnun-o-farhaad nahin paa-barahna nigah-e-khalq mein aayaa na karein"
Avinash PandeyAvinash Pandey
Quote
"yaad karne ko yuun to kyaa kuchh hai kab hamaaraa jiyaa huaa kuchh hai aur to kuchh nahin hamaare paas par tumhaaraa chhuaa huaa kuchh hai ek hi vaaqia thaa phir bhi yaad tum ko kuchh mujh ko dusraa kuchh hai itnaa maahir hai duniyaa-daari mein sochtaa kuchh hai boltaa kuchh hai apni palkon ko muund le naadaan saamne kuchh hai dekhtaa kuchh hai andarun roz mujh se kahtaa hai jiite jaane se muddaaa kuchh hai ? maut jab aai tab huaa maalum bujhti aankhon mein khvaab saa kuchh hai us ko jab dekhte hue dekhaa tab khulaa ham pe dekhnaa kuchh hai soch lete hain us ko vaqt-ba-vaqt jiite rahne mein faaeda kuchh hai tum ne dekhaa hai haal duniyaa kaa tum ko lagtaa hai kyaa khudaa kuchh hai ?"
Avinash PandeyAvinash Pandey
Quote
"kisi but kaa ye dil shaidaa nahin hai hamaare sar mein ye saudaa nahin hai khudaa kyaa hai ye batlaanaa kaThin thaa so batlaayaa ki vo kyaa kyaa nahin hai tum imaan laao vo rasta saral hai saral tahqiq kaa rasta nahin hai khudaa hotaa ye main bhi chaahtaa huun meraa chaahaa khudaa kartaa nahin hai khudaa kyaa hai ye muusaa ne bataayaa sunaai detaa hai dikhtaa nahin hai yahi taarif hai us ki ki us ko kisi ne aaj tak dekhaa nahin hai khudaa ke ishq mein ho hamd likho kisi ne bhi tumhein rokaa nahin hai azal se ilm hai imaan kaa dushman bahut kuchh jaannaa achchhaa nahin hai khirad-mandon pe is ko chhoD pyaare junun ye masala teraa nahin hai"
Avinash PandeyAvinash Pandey