SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byAyyub Akhtar(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"mohabbat se tu ne bulaayaa main aayaa faqat ek lamha lagaayaa main aayaa tumhaare liye she'r taaza kahaa aur use zer-e-lab gungunaayaa main aayaa tiri diid ki dil mein jaagi tamanna masarrat se rukh tamtamaayaa main aayaa mohabbat bharaa khat milaa thaa tumhaaraa use jab paDhaa muskuraayaa main aayaa badalti hui rut ki rangin adaa se nayaa valvala ek paayaa main aayaa bahaaron ne chupke se kaanon mein aa kar mohabbat kaa naghma sunaayaa main aayaa miri be-qaraari kaa 'aalam 'ajab thaa nahin chain bin tere paayaa main aayaa"
Ayyub AkhtarAyyub Akhtar
Quote
"sar pe chhat do vaqt roTi aur kapDe kaa savaal kar diyaa hai ek muflis ne baDaa kitnaa savaal zindagi ki ne'maton par meraa koi haq nahin thaa javaan beva ke honTon par faqat itnaa savaal baar-e-khaatir gar na ho to 'arz bas itni si hai puchh lein kyaa aap se ham koi man-chaahaa savaal the diye aankhon mein jo ummid ke vo bujh gae rad jo us ne kar diyaa jab meraa chhoTaa saa savaal jis ko apni ‘ilmiyat kaa zo'm thaa had se sivaa gung ho kar rah gayaa vo jab sunaa meraa savaal"
Ayyub AkhtarAyyub Akhtar
Quote
"sar pe jo saaebaan mayassar hai sab ko ye bhi kahaan mayassar hai kaise kah duun ki chhat nahin sar par mujh ko jab aasmaan mayassar hai sar pe saaya hai jin ke maaon kaa un ko jaa-e-amaan mayassar hai aao chalte hain apne gaanv mein ab sabhi kuchh vahaan mayassar hai mil rahi hai gharib ko roTi aur kapDaa makaan mayassar hai be-gharon kaa vo dard kyaa jaane jis ko ik aashiyaan mayassar hai naaz ham ko bajaa vatan par hai ham ko sab kuchh yahaan mayassar hai aur kyaa chaahiye hamein 'akhtar' mahfil-e-dostaan mayassar hai"
Ayyub AkhtarAyyub Akhtar