Quote
"kaaghaz kab tak dhyaan mein rakkhaa jaaegaa aakhir kuDe-daan mein rakkhaa jaaegaa aankhon ki is baar rihaai mumkin hai khvaabon ko zindaan mein rakkhaa jaaegaa sab ko dil ke kamre tak kab laaeinge kuchh logon ko lawn mein rakkhaa jaaegaa baaton se jab peT kaa kamra bhar jaae to phir in ko kaan mein rakkhaa jaaegaa jis ko chaahe honT uThaa kar le jaaein lafzon ko maidaan mein rakkhaa jaaegaa ham kab qabr ki miTTi ke haath aaeinge ham ko to divaan mein rakkhaa jaaegaa"







